Main Mohabbbat Hoon...

Status
Not open for further replies.
Yaad hai.....

yaadon ke sailabon main doob jaana yaad hai
choti choti baaton ko sunna sunana yaad hai
patjhad main bhi lagta tha mausam baharon ka
tumhare intezaar main waqt bitana yaad hai

thakti nahi thi aankhen dekh dekh rasta
naye bahane banake der se tumhara aana yaad hai
kushboo main hawa ki dhoondna tumhari mehak
baarish ki boondon main apne ashka milana yaad hai

kabhi saath baithe baithe yuhi waqt bita dena
kabhi meri har baat par tumhara muskuraana yaad hai
kabhi bin bataye tumhaara sab kuch keh dena
kabhi keh ke bhi baat chupana yaad hai

kuch sunna chahte the hum tumse
par tumhara na keh paana yaad hai
abhi to mile bhi nahi the raaste humare
yun ek mod par raahon ka mud jaana yaad hai

chaha tha ek kahani bane humari
magar panno ka achanak bikhar jaana yaad hai
kahanni na sahi afsana to ban gaya
is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai.
 
bahut khoob......

Bytheway aapki "yaad" achchhii he.
 
Kabhi to teri palkonpe jhilmilaun mein,
tu intezar kare aur aaun mein. Mere Dost,
samundar mein lejakar fareb mat karna,
tu kahe to kinare pe hi dub jaun mein

jee bhar k roye to karar paya,
es daur me kisny sucha pyar paya,
zindgi gujar rahi hai imtihan ke daur sy
ek jakham bhara nahi, dusra tayar paya.....!
 
Last edited:
Dil ka ameer, muqaddar ka gareeb tha....
Milkar bichadna mere naseeb tha....
Chahkar bhi kuch naa kar sake hum....
Ghar bhi jalta raha aur samundar bhi kareeb tha....
 
Ghar bhi jalta raha aur samundar bhi kareeb tha....[/quote]

Labo pe aaj unka naam aa gaya,
pyase k haath jaise jaam aa gaya,
dole kadam to gira unki baahon me jaakar,
aaj hamara peena hi hamare kaam aa gaya.

Status
Not open for further replies.
Back
Top