Bhai Nishant just to correct u there is nothing like good or bad. That all our thoughts. Ur perception ki veg is gud but same time u cant deny that non veg is bad. Aap logo ko jo achha lagta hai khaao par doosro ko achha burra kehna bevakoofi hai.
Aisa nahi hai ki aap(here generalized) hi jaante ho ki non veg mein bimaari , slaughter house glass ke ho toh, unhygenic hai ... ye sabko pata hota hai ... par sabka alag alag taste hota hai... koi bhagwaan ke ek samaan banaye praani samjh ke nahi khata toh kissi ko achha nahi lagta ya fir kissi ke ghar mein bura manna jata hai ... par aisa koi prakarti ka rule nahi hai ki nahi khana chahiye... Prakarti ne hi insaan ko maas khaane waala banaya hai nahi toh gaay bhains type bhi ho sakte the ki sungh ke chodd de ... sher ghass nahi khaayega, gaaye maas nahi khaayegi yaa kuch prajaati ke bandarr dono khaa lenge ... prakarti ne aisa banaya hai toh uske niyam ko chalne do ... no saare kabhi maasahari honge naa saare kabhi shakahaari ... balance bana hua hai bass sab thiek hai.
P.S. Mein shudh shakahaari hoon, not even andda