Aankh hai bhari bhari aur tum
muskuraane ki baat karte ho
jindagi khafa khafa aur tum
dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari ....
mere haalaat aise hain
ki main kuch kar nahi sakta
tadapta hai yeh dil lekin
yeh aahein bhar nahi sakta
jakhm hai hara hara aur tum
chot khaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari ....
jamaane mein bhala kaise
mohabbat log karte hain
wafa ke naam ki ab to
shikayat log karte hain
aag hai bujhi bujhi aur tum
lau jalaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari ....
kabhi jo khwaab dekha to
mili parchaaiyaan mujhko
mujhe mehfil ki khwaahish thi
mili tanhaaiyaan mujhko
har taraf dhuaan dhuaan aur tum
aashiyaane ki baat karte ho
jindagi khafa khafa aur tum
dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari ....
