
Khushi jisne khoji woh dhan le ke lauta
Hasi jisne khoji chaman le ke lauta
magar pyaar ko khojne jo chala woh
na tan le ke lauta , na man le ke lauta
Subah na aayi , shaam na aayi
subah na aayi , shaam na aayi
jis din teri yaad na aayi ...
yaad na aayi ....
subah na aayi .. shaam na aayi ..
Kaisi lagan lagi yeh tujhse
kaisi lagan yeh lagi
hansi kho gayi , khushi kho gayi
aansoo tak sab rehan ho gaye
arthi tak neelam ho gayi
duniya ne dushmani nibhaayi
yaad na aayi ....
subah na aayi .. shaam na aayi ..
Tum mil jaate to ho jaati poori apni ram kahani
khandhar taj mahal ban jata gangajal ankhon ka paani
saanson ne hathkadi lagayi
yaad na aayi ....
subah na aayi .. shaam na aayi ..
Jaise bhi ho tum aa jaao
Jaise bhi ho tum aa jaao
Aa jaao , aa jaao
Jaise bhi ho tum aa jaao

aag lagi hai tan mein aur man mein

ek taar ki doori hai
ek taar ki doori hai
bas daaman aur kafan mein
hui maut ke sang sagaai

yaad na aaye
aa jaao ...
aa jaao ...
aa jaao ...
aa jaao ....
http://www.youtube.com/watch?v=kJ2B9Ru1F4M&feature=related