Meri Tukbandi

Status
Not open for further replies.
Bahut badhia Nashier bhai.
Kya likha hai.
Really inspiring.

handsome_nashier said:
नफरत के दोर मे प्यार करना सीख ले !
बेसब्री छोड दे , इंतजार करना सीख ले !!

िसलिसला सपनो का , प्यार से जोड ले !
प्यार से सपनो को साकार करना सीख ले !!

रोते को हँसाता चल , दर्दे-िदल बाँटता चल !
ऐसा ही जीवन मे व्यवहार करना सीख ले !!

हाथ पर हाथ रख बैठना है बुजिदली !
मुसीबतो से अब तु दो-चार करना सीख ले !!

बोझ बन िजए अगर तो जीना बेकार है !
हो सके तो कम िकसी का भार करना सीख ले !!

वार करना है तो , " निशयर " का अधुरा गान सुन !
दुशमनो के वार को , बेकार करना सीख ले !!

प्यार करना है िजससे !
उसको , अपने प्यार का इजहार करना सीख ले !!

cheers........
 
Chand panktiyan yun hi aa gai dil me.....

Dil to chahata hai tumhen gham-e-sailab dikhlaun
Magar khushiyan tumhari dekh ke baat lab par aati nahi.

Yun berukhi se pesh na aaiye janab
Aakhir dil ka lagana koi buri baat to nahi

Na dosti na mohabbat na hi ye pyar hai
Phir bhir tumse milke dil ko shukoon milta hai.

Begano me wafa ki talash na kar sahil
Tere to apne bhi aksar bewafa nikalte hain.
 
Tumhari yaad me bahate ashqon ko piye jaate hain
Is taraha tumhare bagair hum jiye jate hain
Gham-e-yaar se kabhi shikayat nahi karenge hum
Khud apni hi kismet se shikwa kiye jate hain
Tumhari sab majbooriyan najar-e-sahil hain sanam
Isliye khud ko hi itna majboor kiye jate hain
Mujhe to kuchh hasil nahi gham-e-zindagi se ‘sahil’
Bas tumhari khushiyan dekhne ko jiye jaate hain.
 
jakhar77 said:

वाह वाह !!!!!!!!! क्या बात है बहुत बिढया
Khud apni hi kismet se shikwa kiye jate hain
Bas tumhari khushiyan dekhne ko jiye jaate hain.

वाह वाह !!
 
jakhar77 said:
Chand panktiyan yun hi aa gai dil me.....

Dil to chahata hai tumhen gham-e-sailab dikhlaun
Magar khushiyan tumhari dekh ke baat lab par aati nahi.

Yun berukhi se pesh na aaiye janab
Aakhir dil ka lagana koi buri baat to nahi

Na dosti na mohabbat na hi ye pyar hai
Phir bhir tumse milke dil ko shukoon milta hai.

Begano me wafa ki talash na kar sahil
Tere to apne bhi aksar bewafa nikalte hain.
[/B][/COLOR]

न जाने क्यो नफरत सी हो जाती है
" निशयर "ं पास आने से उनके ,
मोहब्बत को तडफ़ते है हम
दूर चले जाने से िजनके !!
 
Teri yaad aai !

Kal phir halki barish hui aur teri yaad aai
Kahin surili ghazal baji koi aur teri yaad aai.
Surmai shaam hui, phir surkh hua magrib
Chand dekha aasman me aur teri yaad aai
Taron ne sargam chheda, raat ne sur lagaya
Har tare me tu najar aai aur teri yaad aai
Neend ne ki bewafai raat bhar mujhse ‘sahil’
Aankh band ki ek baar aur teri yaad aai.
 
Khushi !

Mann ke kisi kone me udasi chhipi baithi hai
Aaj har khushi tujhse ainthi hai
Dekh us man ke kshitiz par
Ek nai ashaa tere dwar par aane ko hai
Khushi ko pahchan le ab tu pathik
Use apne se bahar mat dhoondh
Khushi wo hai jo tere andar hai
Pata nahi kab wo tera saath chhod de
Phir tu dhoondhta hi rahega
Aage badhkar haath tham le uska
Lautkar wo phir nahi aane wali hai.
 
Tanha hoon..

Tanha hoon, tanha hoon, aaj me tanha hoon
Mehfil jawan hai wahan aur me tanha hoon.
Maikash hain udhar, idhar maikade me bahar hai
Haath me jaam hai mere aur me tanha hoon.
Shaam ki taraha dil me andhera sa ghirne laga
Subah ke ujale hain aur me tanha hoon.
Ek chehra hai jo dil me bas gaya hai “sahil”
Haath me tasweer hai uski aur me tanha hoon
 
Tanahi duur karnne ka koi bahanna banna lo
Iss akele pann ko appna saathi banna lo
Hum bhi akele aur tum bhi akele
Iss mann ko jaisse chaho waisse manna lo.
 
kahaniyan!

Kuchh to bata e-zindagi ye hairaniyan kyun hain
har kadam, har mod par pareshaniyan kyun hain
aansuon ke dhare aur mayoosi ka andhera hai
har pal zindagi me ghamon ki meharbaniyan kyun hain
har taraf tanhaiyan, har taraf mayoosiyan mili
is bhari duniya me mere liye veeraniyan kyun hain
mane to abhi aaghaz kiya hai zindagi ka "sahil"
phir khatm-si hoti hui ye kahaniyan kyun hain.
 
Good stuff indeed!

Jab kahani lagge koi khattam hoti,ek dastan jodd dou
Jinddaggi ki dharra ko,Jee chaha modd dou
Harr kahanni ko badhhane ko kahanni mil hi jatti hei
Aai ristedaar ye niraas karrne wali kahaniyan padhhna chhodd dou
 
Tanha hoon, tanha hoon, aaj me tanha hoon
Mehfil jawan hai wahan aur me tanha hoon.
Maikash hain udhar, idhar maikade me bahar hai
Haath me jaam hai mere aur me tanha hoon.
Shaam ki taraha dil me andhera sa ghirne laga
Subah ke ujale hain aur me tanha hoon.
Ek chehra hai jo dil me bas gaya hai “sahil”
Haath me tasweer hai uski aur me tanha hoon

Saza raha hoga wahan koi daur-e-mehfil aaj
Har taraf khushi ka aalam, aur mein tanha hoon
Mausam ki tarah hi roz rang badalte hai woh
Waada kiya tha aaj aane ka, aur mein tanha hoon
 
Kuchh to bata e-zindagi ye hairaniyan kyun hain
har kadam, har mod par pareshaniyan kyun hain
aansuon ke dhare aur mayoosi ka andhera hai
har pal zindagi me ghamon ki meharbaniyan kyun hain
har taraf tanhaiyan, har taraf mayoosiyan mili
is bhari duniya me mere liye veeraniyan kyun hain
mane to abhi aaghaz kiya hai zindagi ka "sahil"
phir khatm-si hoti hui ye kahaniyan kyun hain.

Har mod par aakar thahar jaati hai ye zindagi
Zindagi ke raste mein ye dushwariyan kyun hai

Ek chaahat ki pyas mein gumon ne gher liya
Mohabbat ne likhi ye bewafaaiyan kyun hai

Kisi humsafar ki talash mein hai bechara dil
Kudrat ne bakshi itni tanhaaiyan kyun hai

Anjaam jaan kar bhi dil laga baithe kisi se
Ye "Vijay" karta intni nadaniyan kyun hai
 
Bas yun hi....

Yaadon ke jharokhe me jab dekhenge tumhen, dil me ek toofan sa uthega
Jab ashqon ke saath bahenge armaan, dil me ek toofan sa uthega
Agar mil gaye zindagi ke kisi mod par, waqt bas wahin thahar jayega
agar milega kahi jahan me sahil se ‘sahil’, Dil me ek toofan sa uthega.
 
aaj kuch aissa mausam hai ki koi sambhle hume
aa rahe hai maikhane se ki koi sambhale humme
raat hai tanha har taraf hai veerana koi sambhale humme
aankoien main hai ashq uss bewafa ke yaadoien ke koi sambhale humme.........
 
One of my first compositon

Dear members,
Today I am going to share one of my first ghazal/nazm that I composed in around 1999. You might like to read it.

Gairon ko chhod rahi apne bhi karte hain daga aksar
Aise saanpon ko aasteen se liptate huye humne dekha hai.
Jamane me bahut kam milte hain mouke wafa ke
Phir bhi dilon se wafa ko jhatakate huye humne dekha hai.
Kar rahe ho gila tum anjaan ki bewafai ka shakir
Waqt padne par apano ko bhi sarakte huye humne dekha hai.
Yun to sabhi karte hain pyar-mohabbat ki baaaten yahan
Unhi dilon me mohabbat ko khatakate huye humne dekha hai.
Dil ki duniya ke lutne par ashq nab baha ‘sahil’
Daulat ke liye dilon ko simatate huye humne dekha hai.
 
Last edited:

puri sacchai....Good one:)
 
dil me jab toofan uthega to samander m bhanwar aajayega
toofan ke bad jab thar jyega pani to
osme mehbob ka chehra saaf nagar ayega
sahil tak pahuch hi jayegi kashti aapki
armano ko sambhal ke rakhna yu ashqo me jaya na karna
onko bhi h apka otna hi intzar ye moti yu baha k jaya na karna:)

Back
Top