Pyaar kyu tumse hame ho gaya

Status
Not open for further replies.
Praveen (Apr 26, 2004 03:36 p.m.):
Bahut khoob janab aise hi kuch likte raha karo
accha laga
---------------------------------------
Ek Chota sa najrana Hamari haraf se bhi kabooliye
---------------------------------------

"Raat Hote hi Sab Chirago ko bhujha deta hoon
Bus Ek Dil hi kafi hai tumhari Yaad mein Jalne ke liye"

----------------------------------------
----------------------------------------

sukriya parveen ji

santosh benaam
 
"Tere shahar main bhi ghata to chhati hogi,
Arzoo o ki shama to jhilmilati hogi,
Duniya ke samane lakh inkar karo magar
tanhai main to hamari yaad aati hogi"
 
Arz hai...........

Maange khuda ye botal to dedunga doston
Maange khuda ye botal to dedunga doston
Ek yaar dekhe maang kar, masjid na tod doon?
Gar use gumaan hai usne banaayi duniya,
Gar use gumaan hai usne banaayi duniya,
Is baat pe to yaar main duniya bhi chod doon.

------------

ganesh padoda (May 31, 2004 07:55 a.m.):

wah janab...badi ummeed wale ho.....LOL..Hseenon pe aitbaar karte ho ki unhe aapki yaad aati hogee....

Hamare sahar me ghata to roj chaati hai
magar saath me bijli bhi gadgadati hai.
badlon se zameen tak aag ki lakeeron main.
yaaden to kiya, dhadkanen bhi ruk jaati hain..

Rajendra
 
ganesh padoda (May 31, 2004 07:55 a.m.):
"Tere shahar main bhi ghata to chhati hogi,
Arzoo o ki shama to jhilmilati hogi,
Duniya ke samane lakh inkar karo magar
tanhai main to hamari yaad aati hogi"

bahut badhiya ganesh ji

Yeh mat sochana ki bhool jayenge tumhe,
dur reh kar bhi chahenge tumhe
agar dost ban kar raas na aaye,
to ajnabi ban kar bhi yaad aayenge tumhe..

santosh benaam
 
sukhbir dhanda (May 31, 2004 09:49 a.m.):
Arz hai...........

Maange khuda ye botal to dedunga doston
Maange khuda ye botal to dedunga doston
Ek yaar dekhe maang kar, masjid na tod doon?
Gar use gumaan hai usne banaayi duniya,
Gar use gumaan hai usne banaayi duniya,
Is baat pe to yaar main duniya bhi chod doon.

------------

ganesh padoda (May 31, 2004 07:55 a.m.):
"Tere shahar main bhi ghata to chhati hogi,
Arzoo o ki shama to jhilmilati hogi,
Duniya ke samane lakh inkar karo magar
tanhai main to hamari yaad aati hogi"

sukriya sukhbir ji

santosh benaam
 
arz hai.........

maut se darta tha main
maut se darta tha main .....na aaye fariyad karta tha main,
par jab aayi to hairaan reh gayaa....
par jab aayi to hairaan reh gayaa....
ye to roz aati thi .....................................................jab tujhko yaad karta tha main....
 
sukhbir dhanda (Jun 01, 2004 02:13 a.m.):
arz hai.........

maut se darta tha main
maut se darta tha main .....na aaye fariyad karta tha main,
par jab aayi to hairaan reh gayaa....
par jab aayi to hairaan reh gayaa....
ye to roz aati thi .....................................................jab tujhko yaad karta tha main....

bahut khoob sukhbir ji,

santosh benaam
 
for VJ bhai

bhai VJ yu shayari ka panna talle ne daab rehya tha........ hahahha :D:p;)manne sochi kimme isne bhi bhar dega aapne VIJAY bhai saab.................baaki kiisi aur bhai ke dard uuthta ho to woh bhi paste kar diyo........hahahhahahhah killkki.....gagu™
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top