shayaree KI SHAAM----JOGI JAT

  • Thread starter Thread starter jogiya
  • Start date Start date
Status
Not open for further replies.
J

jogiya

Guest
JOGI JAT KI BHAIYA TAI RAM RAM AER DEKHE UNKI BHANA TAI BHI RAM RAM ;)


aaj jab dil se ye dard saha na gaya
to chala aaya hoon ish mehfil mein,

mohhabbat to shayad aap sabhi ne ki hogi
maga dava hai aisa dokha na khaya hoga.


ye pyar hota kya hai?

kehne wale kehkar chale gayen hain ki................
ye pyar bahut suhana hota hai
ye do dilo ka fasana hota hai

pyar ke liye koi samay nahi hota
isme na hi sharte hoti hain,na hi umeede
na ye din dekhta hai na raat
na ye ghar dekhta hai na bahar
har cheez acchi lagati hai
dil mein ek hi tarana hota hai,
kabhi bhuje bhuje se hote hain hum
kabhi sitaro se baat karte hain,
ye hum use zubaan se nahi samjhate,
ye ankho se samjhana hota hai
uski ek jhalak ke liye dil tadapta hai,
uski aawaz sunne ko dil machalta hai
kitni yaaden,kitni baate,kitne hi gile shikwe,
par sab bhula kar bas use hi apnana hota hai
use kuch galat na kehdoon,darta hai dil,
uski har ek baat ko dil mein dohrana hota hai
ye pyar bada suhana hota hai,
ye do dilo ka fasana hota hai.

bas kuch aisa hi tha mera bhi pyar


JOGI JAT :cool:
 
Yaado na yaad ayo ki bahut udaas hun mein

JOGI JAT ;)

Yaado na yaad ayo ki bahut udaas hun mein
yaado bhool bhi jayo ki bahut udaas hun mein

Dekhi nahi hai aaj tak ansuon ki barsaat aisee
Ghtayo ab baras bhi jayo ki bahut udaas hun mein

Ye ansoo na ban sake mere ghum ki zubaan kabhi
Is khamoshi ko samajh jayo ki bahut udaas hun mein

Mehfil hai apno ki magar raunken hain prayee
shama ab aur na jlayo ki bahut udaas hun mein

Gir gaye hain jo zameen par,Na uth payenge
Dharkano ab ruk bhi jayo ki bahut udaas hoon mein

JOGI JAT :cool:
 
JOGI JAT :cool:


Palkon ke kinare humne bhigoye he nahi,
Woh sochte hai hum roye hi nahi,
Woh puuchte hain khwabo mein kise dekhte ho,
aur hum hain,
unki yaad mein soye hi nahi..............................


JOGI JAT ;)
 
Uski Batein To Phool Hon Jaise

Uski Batein To Phool Hon Jaise
Baki Batein Babool Hon Jaise

Choti Choti Si Uski Do Ankhen
Do Chameli Ke Phool Hon Jese

Uska Hass Kar Najar Jhuka Lena
Sari Shartein Kabool Hon Jaise.

Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi
Sari Batein Fezool Hon Jaise.

Uski Batein To Phool Hon Jaise
Baki Batein Babool Hon Jaise


JOGI JAT
 
Kameenapan hai

BHAI MERE YAAR SATBIR NE YAAH KHOOB KAHI


Mohabbat eke se ho to Bholapan hai,
Do se ho to Apnapan hai,
Teen se ho to deewanapan hai,
Char se ho to Pagalpan hai,
Phit bhi counting na ruke to Kameenapan hai ...


JOGI JAT :rolleyes:
 
yaar Jogiya Jat, Jatland has never been so good as I see it these days..I am enjoying each and everyline of your shairee and poetry...You and hamendra have been too good really at writing....I am trying my best to catch up with you both...magar lagta hai taange jabab dene lagee hain bhai...LOL

RK^2
 
Yaah Kasuti

CHACHA TU TANGA TE SHAYAREE KARA KARE KE Yaah baat te mane aaje bera pate aake aadmi tanga te shayaree karaa karen se. Shayaree te dil te hoya kare se tane koi mahri chachi ke siwa pyar kara ho te aer eeb yaad bhi ho te shayaree aapne aap pe baan jawagee

JOGI JAT ;)
 
Dekhi bhai Jogiya, teri posts ko mera sivai kisi ne bhi to respond nahi kiyaa..aur tu ub meri hi taang kheench raha hai...LOL..arrey bhateeje..jaise shairee me labzon ke meaning alag alag hotte hain, wise hi yahan tanaga ka meaning bhi alag hai...samjha karo bhateeje...

RK^2
 
To Chacha Rk Special--jogi Jat

CHACHA RAM RAM, :cool:
CHACHA TU TE BHATIJE KI BAAT KA BURA MAAN GAYA MANE TE NUE MAJAK KARA THA LE TE HAATH JODE KA MAFI MANG LEWANGE AAPNAI CHACHA HAI.
BAS CHACHA JAT COLLEGE, ROHTAK MEIN PADHA KARTA THA JAB TAI TANG KHECHAN KI AADAT SE PAD GE.

chacha yeh line special tere khater

WHO DIL HI KYA, JO TERE MILNE KI DUA NA KARE,
MEIN TUZKO BHOOL KAR ZINDA RAHOO, KHUDA NA KARE.

RAHEGA PYAR TERA SATH MEIN JINDAGI BAN KAR,
YE AUR BAT, MERI JINDAGAI WAFA NA KARE

SUNA HAI MOHHABBAT USKO DUAYE DETI HAI,
JO CHOT TO KHAYE DIL PAR MAGAR GILA NA KARE

YE THIK HAI MARTA NAHI KOI JUDAI ME,
KUDHA, MAGAR KISI KO KISI SE JUDA NA KARE

WHO DIL HI KYA, JO TERE MILNE KI DUA NA KARE
MEIN TUZKO BHOOL KAR ZINDA RAHOO, KHUDA NA KARE.


JOGI JAT ;)
 
tujhey mere pyaar ka wasta

tujhey mere pyaar ka wasta, ab berukhi se kaam na le
mujhse pyaar to kar, chahe tu mera naam na le

itni bewafaai mat kar itna na tadpa
ki chah kar bhi ye zubaan tera naam na le

saara zamana wakif hain meri tabahi se
mein chup hoon is darr se ki koi tera naam na le

jisey mila ho pyaar mein itna bada gham
kaise wo judaai ke lamhon mein haathon mein jaam na le

berukhi to ek baat hain, ab to ye baat hain ki
wo jaalim hamari nazron se bhi hamara salaam na le


JOGI JAT :D
 
Paimana Liye Betha Hun

JOGI JAT ;)

Youn Badi Der Se Paimaana Liye Betha Hu,
Koi Dekhe To Ye Samjhe K Piye Betha Hu....
Zindagi Bhar K Liye Ruth K Jaane Wale,
Mein Abhi Tak Teri Tasveer Liye Bhetha Hu....

JOGI JAT :cool:

http://www.indiannri.com
 
jogiya said:
JOGI JAT ;)

Youn Badi Der Se Paimaana Liye Betha Hu,
Koi Dekhe To Ye Samjhe K Piye Betha Hu....
Zindagi Bhar K Liye Ruth K Jaane Wale,
Mein Abhi Tak Teri Tasveer Liye Bhetha Hu....

JOGI JAT :cool:

http://www.indiannri.com

Kaisee Itna khoobsurat muskura lete ho..
Kaisee Itna Katil sharma lete ho..
Kanha Se layee ho ye katil addayen..
Kisi ne sikhaaya hai ya bachpan se hi kameene ho
 
jogiya said:
CHACHA RAM RAM, :cool:
CHACHA TU TE BHATIJE KI BAAT KA BURA MAAN GAYA MANE TE NUE MAJAK KARA THA LE TE HAATH JODE KA MAFI MANG LEWANGE AAPNAI CHACHA HAI.
BAS CHACHA JAT COLLEGE, ROHTAK MEIN PADHA KARTA THA JAB TAI TANG KHECHAN KI AADAT SE PAD GE.

chacha yeh line special tere khater

WHO DIL HI KYA, JO TERE MILNE KI DUA NA KARE,
MEIN TUZKO BHOOL KAR ZINDA RAHOO, KHUDA NA KARE.

RAHEGA PYAR TERA SATH MEIN JINDAGI BAN KAR,
YE AUR BAT, MERI JINDAGAI WAFA NA KARE

SUNA HAI MOHHABBAT USKO DUAYE DETI HAI,
JO CHOT TO KHAYE DIL PAR MAGAR GILA NA KARE

YE THIK HAI MARTA NAHI KOI JUDAI ME,
KUDHA, MAGAR KISI KO KISI SE JUDA NA KARE

WHO DIL HI KYA, JO TERE MILNE KI DUA NA KARE
MEIN TUZKO BHOOL KAR ZINDA RAHOO, KHUDA NA KARE.


JOGI JAT ;)

Wonderful...most wonderful...

unke seene me boye hain, kuch beej muhabbat ke
kabhi to ankur banke niklenge, wo bahar seene se

bhateeje! badle me piyaar ke piyaar hi milegaa...bas dil se piyaar karne wala chahiye..

RK^2
 
Jogi Jaat Ki Aaur Te Chore Hamendra Bhai Tai ;)

JOGI JAAT KI AAUR TE CHORE HAMENDRA BHAI TAI ;)

Pyaar ka pehla khat likhney main waqt to lagtaa hai
Naye parindoN ko udney main waqt to lagtaa hai

Jism ki baat nahin thi un ke dil tak jaana tha
Lambi doori taiy karne main waqt to lagtaa hai

Gaanth agar lag jaye to phir rishtey hoN ya dori
Lakh karein koshish khulne main waqt to lagtaa hai

Hum ne ilaaj-e-zakhm-e-dil to dhund liaa lekin
Gehrey zakhmoN ko bharney main waqt to lagtaa hai

Kmina dost ne kaha hum par yaad rakhna dost,
Bada kamina banne mein waqt to lagta hi hai.


JOGI JAT :cool:
 
Chacha Rk Tai

BHAIYA TAI RAM RAM, BHABHIYAN TAI RAM RAM AER DEKHE BHABHI THAREE BHANA TAI BHI RAM RAM,
BHABHI BURA NA MANIYO JARUR PAHUNCHA DIYO

YEH CHAAR LANE CHACHA RK TAI ;)


Zindagi Ki Raho Me Jo Gam Milenge,
Dua Se Hamari Kam Milenge....
Agar Tanha Pao Apne Aapko, Yaad Karma Hame,
Kasam Dosti Ki, Sabse Aage Ham Milenge....

JOGI JAT :cool:
 
par hamse wo sab bhhulaya nahi jaata

RAM RAM BHAIYA NE AAJ PURANE BAATAN KI YAAD AAYE TE YEH THODE SE LANE BHI YAAD AAGAYEE:- ;)

Gali mein chale aaye to hain teri
tere dar tak aaya par nahi jaata
bhhul ke wo to sab baith gayi
par hamse wo sab bhhulaya nahi jaata

sari beeti baatein mujhhe ghher leti hain
tere Ghar ka darwaza khatkhataya nahi jaata
kaun kahta hai vaqt sab bhhula deta hai
hamse wo pal aaj bhi bhhulaya nahi jata

kahne ko to kahte hain tu parayi hai
par wo tujhhse parayapan jataya nahi jaata
jaanta hun mai sab haqikat par
wo jhhuta sa khwaab aankhon se hataya nahi jaata

ho jayega ek din iska bhi faisla
tujhhse dil laga kar mujhhko kya hai mila
wo jo beet gaya lamha barson pahle
wo lamha hamse beetaya nahi jaata

khwaab aankho mein sajakar dikhayi thi jo raah
us raah se laut ke aaya ab nahi jaata
tod ke dil unhe kuchh pata hi nahi
aur hamse ab ye judaya nahi jaata

har ek shaam karti hai hame tanha
wo tera aana hamse bhhulaya ab nahi jaata
mahfil mein rahte hain tasalli dil ko dene ko
tanhai se dil par nahi ghhabrata
jo baat tere dil mein thi ankahi si
wo khhamosh afsana ab bhulaya nahi jaata


JOGI JAT :cool:
 
Jogi Jat

bhaiya tai JOGI JAT KI RAM RAM :cool:

Kya dukh hai samundar ko bataa bhi nahin sakta
Aansoo ki taraha aankh mein aa bhi nahin sakta!

Tu choRh raha hai to khata is mein teri kya
Har Shakhs mera saath nibha bhi nahin sakta!

Lagaa ke dekh le jo bhi hisaab aata ho
Mujhe ghata ke wo ginti mein rah nahin sakta!

Vaise to ek aansoo hi bahakar mujhe le jaaye
Aise koi Toofan hilaa bhi nahin sakta!


JOGI JAT ;)

http://www.indiannri.com
 
Jogi Jat

JOGI JAT :cool:

Muskura do jara khuda ke vaste,

shama-e-mahefil mai roshni kam hai,

tum hamare nahi to kya gum hai,

hum tumhare to hain ye kya kum hai?


JOGI JAT ;)
 
Kabhi yun Bhi Aa

:cool: JOGI JAT :cool:

Kabhi yun Bhi Aa Meri Aankh mein,
Ke meri najar ko khabar na ho,
mujhe ek raat nawaz de,
magar uske baad saher na ho.

woh bara raheem-o-kareem hai,
mujhe yeh sifat bhi ada karein
tujhe bhulne ki dua karoon,
to dua mein meri asar na ho

kabhi din ki dhoop mein jhoom ke,
kabhi shab ke phool ko choom ke,
yun hi saath saath chalein sada,
kabhi khatam apna safar na ho.

mere paas mere habeeb aaah,
zara aur dil ke Qreeb aaah,
tujhe dhadkano mein basalon mein,
ke bichadne ka kabhi dar na ho..


JOGI JAT ;)
 
Wah Bhai Jogi Bahut Badhia. Laagey raho.........
jogiya said:
JOGI JAT :cool:


Palkon ke kinare humne bhigoye he nahi,
Woh sochte hai hum roye hi nahi,
Woh puuchte hain khwabo mein kise dekhte ho,
aur hum hain,
unki yaad mein soye hi nahi..............................


JOGI JAT ;)
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top