J
jogiya
Guest
Yuun na mil mujh se, khafaa ho jaise
JOGI JAT
Yuun na mil mujh se, khafaa ho jaise
Saath chal, mauj-e-sabaa ho jaise
Log yuun dekh kar hanns dete hain
Tu mujhe, bhool gayaa ho jaise
Maut bhii aaii to is naaz ke saath
Mujh pay, ehsaan kiyaa ho jaise
Aise anjaan bane baithay ho
Tum ko, kuchh bhi na pata ho jaise
Hichkiyaan raat ko aatii hi rahin
Tu ne phir yaad kiyaa ho jaise
Zindagii beet rahi hai "doston"
Ek bejurm, sazaa ho jaise
JOGI JAT
JOGI JAT
Yuun na mil mujh se, khafaa ho jaise
Saath chal, mauj-e-sabaa ho jaise
Log yuun dekh kar hanns dete hain
Tu mujhe, bhool gayaa ho jaise
Maut bhii aaii to is naaz ke saath
Mujh pay, ehsaan kiyaa ho jaise
Aise anjaan bane baithay ho
Tum ko, kuchh bhi na pata ho jaise
Hichkiyaan raat ko aatii hi rahin
Tu ne phir yaad kiyaa ho jaise
Zindagii beet rahi hai "doston"
Ek bejurm, sazaa ho jaise
JOGI JAT