Bina bataye usne na jaane kyon ye doori kar di,,,
Bichad ke usne mohabbat he adhoori kar di,,,
Mere mukaddar main gam aaye to kya hua,,,
Khuda ne uski khwaish to poori kar di....
Baad marne ke mere,tum jo kahani likhna,,,
Kaise barbaad hui meri jindgani likhna,,,
Ye bhi likhna ke mere honth hansi ko tarse,,,
Umar bhar aankhon se bahta raha paani likhna....
Ye jashn-e-baharan, ye kahani ek din |
Khushbu se bhari rut, ye suhani ek din ||
Andaz hi jine ka, badal jayega |
'Shadaab' daga degi, jawani ek din ||
झूठी दुआओं मे असर कैसे हो, ख्वाबों की दुनिया मे बसर कैसे हो ...!! बंट गयी हो गर टुकड़ों मे जिंदगी, तो तमन्नाओं का असर कैसे हो ..!! सोच सियासत से भरी है यहाँ, आग जो इधर है, वो उधर कैसे हो ....!! डर हैजी उठूँगा मैं फिर से, पूछ ले यदि मुझसे, वो अगर कैसे हो ..!!
Dil nahin chahta mera hansne ko israar na kar,,,
Aansoo bhi tune diye,chahe to ikraar na kar,,,
Ab to dil chaahta hai din raat andheron main rahna,,,
Roshni jhooth ki de kar mujhe bezaar na kar,,,
Ujde ujde se mazaar ko kahan tak dekhoon,,,
Neend aankhon main bhari hai mujhe bedaar na kar,,,
Kaun baitha hai meri raah take yaad kare,,,
Jaake ab kis-se kahoon mera intzaar na kar,,,
Saans ka bojh uthaun ya use samjhaun,,,
Zinda rahne ki dua dekar sharmsaar na kar....
Dil ka dard chupana kitna mushkil hai,,,
Toot ka phir muskurana kitna mushkil hai,,,
Door tak jab chalo kisi ke saath to phir,,,
Tanha laut ke aana kitna mushkil hai....