Shayari !!.....

Status
Not open for further replies.
Dard Ki Barish Sahi !

Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,

Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,

Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,

Koi Hi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar,
Ab Ke Logon Mein Wafa Hai Kam Zara Aahista Chal….
 
Meri Saadgi !

Bana ajnabi mera humsafar
Or nazar bacha k guzar gaya

Main tha raston say bay khabar
Or usay manzilon ka shaor tha

Na thi or koi bhi ranjishain
Sirf adaton main tazad tha

K usay pasand thi shokhiyan
Or mujhay saadgi say pyar tha
​
 
आदतन तुम ने कर िदये वादे
आदतन हम ने ऐतबार िकया

तेरी राहों में हर बार रुक कर
हम ने अपना ही इन्तज़ार िकया

अब ना माँगेंगे िजन्दगी या रब
ये गुनाह हम ने एक बार िकया
 
itna bada dhoka kyun dia tune o bewafa ha ha ha ha

Itna dard hai ki ro bhi nahi paa rahe hain,hosh gum hain, nahi jaante kahan jaa rahe hain,maine to tumhare siwa duniya bhi nahi dekhi,aaj bhari duniyan mein tanha nazar aa rahe hain........................:(
 
akhir kyun ha ha ha

Aaj unko dekh kar aisa laga,wo humse kuch chupa rahe hain,
Kal tak jo hamari ek nazar ke pyase thay,aaj ham hi se nazrein chura rahe hain.........................:(
 
ek na ek din fook niklni hi thi ha ha ha kis ki

Jab kisi ka dil toot jata hai to wo jism reh jaata hai,rooh nikal jaati hai,,,,,,,jis tarha murjhane ke baad phool to reh jaata hai,,,,,,khushboo nikal jaati hai.............................:(
 
Kuch Sheese Hath Se Chhoot Gaye

Kuch Khud Hi Zakhm Ke Aadi The
Kuch Sheeshe Hath Se Chhoot Gaye ​



Kuch Khud Bhi The Hattas Buhat
Kuch Apne Muqaddar Rooth Gaye​



Kuch Tum Ko Such Se Nafrat Thi
Kuch Hum Se Na Bole Jhoot Gaye​



Kuch Logo Ne Uksaya Tumhe
Kuch Apne Muqaddar Phoot Gaye​



Kuch Khud Itne Mohtaat Na The


Kuch log bhi hamko loot Gaye




Kuch Talkh Haqaiiq The Itne
Ke Khuwab Hi Sare Toot Gaye !!!​

 
bahut achchhi lines likhi hardeep ji..........
Kuch Khud Hi Zakhm Ke Aadi The
Kuch Sheeshe Hath Se Chhoot Gaye ​



Kuch Khud Bhi The Hattas Buhat
Kuch Apne Muqaddar Rooth Gaye​



Kuch Tum Ko Such Se Nafrat Thi
Kuch Hum Se Na Bole Jhoot Gaye​



Kuch Logo Ne Uksaya Tumhe
Kuch Apne Muqaddar Phoot Gaye​



Kuch Khud Itne Mohtaat Na The


Kuch log bhi hamko loot Gaye




Kuch Talkh Haqaiiq The Itne
Ke Khuwab Hi Sare Toot Gaye !!!​

 
Khuda jaane mujhko kya ho gaya hai,aur main yeh kya kar raha hoon,
Jaanta hoon tu meri kismat mein nahi hai,phir bhi tujhe paane ki dua kar raha hoon.....:(
 
ere jaane ke baad khatam apni kahani hai,
.............Teri aur meri alag ab zindagani hai,
..................Tu bhi khush lag rahi hai, main bhi khush lag raha hoon,
........................Phir kyun apni aankhon mein paani hai
 
Nam Palkon ke sang muskurate hain hum,
.........Lamha-lamha dil ko behlaate hain hum,
...............Aap door hain humse to kya hua,
.....................Apne dhadakte dil mein aapki aahat pate hain hum
 
Ye Ashq mere dil ki zubaan hain,Ye geet mere dil ka bayan hai,
geet hoon par kab mujhe apne pe koi naaz tha,gungunaya gaya jis par main toota hua saaz tha......................:(
 
Aankhen aapki ho, par ashq mere,zindagi aapki ho, par sanse meri,
Dil aapka ho, par dhadkan meri,zindagi ke ahkri modh par duaa hogi yehi,
Kafan aapka ho, aur maut meri
 
Tujh se door hone se pehle,
kitni khush haal zindagi thi,
Ab jin mein har waqt aansoo behte hain,
kabhi in aankhon mein bhi khushi thi
 
Meri yehi khwahish thi ki tum hamari zindagi mein aao,
lekin yeh ho na saka aur ab hum apni kismat pe rote hain,
neend to nahi aati hai ratoon ko lekin,
shayad tum kabhi kwaboon mein aao isi ummeed se sote hain
 
:( Jabse maine mahobbat mein dhoka khaya hai,har husn-waale se dar lagta hai,andheron ki to aadat nahi thi hamein,ab ye alam hai ke roshni se bhi dar lagta hai.:(
 
:( Tu nahe tera paigham to aaye,ek koi khat mere naam to aaye,
mana teri nazro main main bewafa hoon,par koi ilzaam mere naam to aaye.:(
 
:( Tere mahobbat ne tarsaya mujhe,yaar tere deedaar ne tarsaya mujhe,
Jo mil hi nahi sakta kabhi,uss gule-gulzaar ne tarsaya mujhe.......:(
 
:( Yaad na karoge to muskura bhi na sakoge,mera khayal dimaag se mitabhi na sakoge,ak baar jo tum mera ghum dekhloge,to saari zindege muskura na sakoge,rooge faryaad karoge, meri wafaaye tum yaad karoge....:(
 
:( Bewafaii ka gam kisee ko batayenge na hum,jo zakhm tune diya hain kisi ko dikhayenge na hum,kaaton mein hum ab jee lenge is tarah,jitna dard tune diya hum ab pee lenge is tarah!!!!!!!!!!!:(
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top