Shayari !!.....

Status
Not open for further replies.
देने वाले अपना पैगाम देकर चले गए
करने वाले तो अपना इशारा करके चले गए
उधर बड़ा बुरा हाल है दिल के गलियारों का
अब उन्हें इंतज़ार है बस आपके इशारों का
 
देने वाले अपना पैगाम देकर चले गए
करने वाले तो अपना इशारा करके चले गए
उधर बड़ा बुरा हाल है दिल के गलियारों का
अब उन्हें इंतज़ार है बस आपके इशारों का

भाई जान आल्ले तो चाल्ये गए तू भी आगे ने हो ले आदे के तेरी सीमाई रह री से
 
Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi…
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi…
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi
 
Dosti koi Farz nahin…Ek Rishta hain yeh.
Raishtey jo Khoon se nahin.. Dil se bandeh.
Dil jo kuch pal ko milen..Milen Jindagi bhar ke liyeh.
Ek Jindagi kabhi poori nahin hoti..Aziz dost ke liyeh.
 
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya
Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya
Kabhi na maangen ga kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya
zindagi teri rah main shab-e-arzo teri chah may
jo ojar gaya wo basa nahi jo bichar gaya wo mila nahi
jo dil-o-nazar ka suroor tha meray paas reh kay bhi door tha
wahi aik gulaab umeed ka meri shakh-e- jaan pay khila nahi
 
samajh na sake dooriyan kyun thi,
zuban per the lafz phir majbooriyon kyun thi,
dilon ki baat agar chaye haqiqat hoti hai,
hamare darmiyan woh khamoshiyan kyun thi,
boone the humne bhi kuch reshmi dhaagon ke khwaab,
humare hisse mein woh kaali dooriyan kyun thi,
idhar honthon per azab si joombish,
udhar kuch raaz dil ke talon mein,
samajh nake na sargoshiyan hawaon ki,
humare hisse mein sehra ki andhiyan kyun thi,
tumhe gurez meri chand baaton se,
main bhi parwaz ki thi hamil,
pahoonch ke mill ke patthar per sochta hoon,
safar tanha tou phir woh dooriyan kyun thi…
 
Ham Se Kia Pochte Ho Hijr Mein Kia Kerte Hein
Tere Laut Aane Ki Din Raat Dua Kerte Hein
Ab Koi Hont Nahi In Ko Churane Ate
Meri Ankhon Mein Agar Ashk Hua Kerte Hein
Teri Tu Jane, Per Ai Jan-E-Tamna Ham To
Saans Ke Sath Tujhe Yad Kerte Hein
Tu Hi Pehloo Mein Nahi Warna December Mein Wahin
Dhoop Mein Beth Ke Akhbar Parha Kerte Hein
Teri Tasveer Laga Lete Hein Ham Seene Se
Phir Tere Khat Se Teri Baat Kerte Hein
Gar Tujhe Chorne Ki Soch Bhi Aye Dil Mein
Ham To Khud Ko Bhi Wahin Chor Diya Kerte Hein
 
Enjoy !!!


1)
Tere Pyaar Mein Paagal Ho Gaya Peter ...
.
.
Waah! Waah!
.
.
Tere Pyaar Mein Paagal Ho Gaya Peter ...
.
.
Waah! Waah!
.
.
.
Ab Hero Honda Splendor, 80 km Prati Litre .. !!


2)
Bahaar Aane Se Pehle Fizaa Aa Gayii ...
.
.
Waah! Waah!
.
.
Bahaar Aane Se Pehle Fizaa Aa Gayii ...
.
.
Waah! Waah!

.
.
.
Phool Ko Khilne Se Pehle Bakri Kha Gayii .. !!


3)
Aatma Chhod Gayii Shareer Puraana ...
.
.
Waah! Waah!
.
.

Aatma Chhod Gayii Shareer Puraana ...

.
.
Waah! Waah!
.
.
.
Didi Tera Devar Deewana .. !!


4)
Saap Ne Piya Bakri Ka Khoon ...
.
.
Waah! Waah!

.
.
Saap Ne Piya Bakri Ka Khoon ...
.
.
Waah! Waah!
.
.
.
Good Afternoon! Good Afternoon! Good Afternoon!!


5)
Yashomati Maiyya Se Bole Nandlala ...
.
.
.
Yashomati Maiyya Se Bole Nandlala ...
.
.
.
.
.
"Maa, Tata Sky Laga Daala To Life Jhingalala ..

!!"
 
Aaj ki Raat toh Jee bhar ke mujhe rone de….
Na jaane kyun hame Aasu bahana nahi Aata…
Na jaane kyun Haal-E-Dil batana nahi Aata…
Kyun Saathi bichad jaate hai hameshaa …
Shayad hame hi saath nibhaana nahi Aata….
 
Tairna hai to smandar mein tairo
nadi naalo mein kya rakha hai?
Pyar karna hai to watan se karo
In bewafa ladkiyo me kya rakha hai
 
Kashish dil ki har cheez bhula deti hai…
Bandh aankhon me sapne saja leti hai…
Sapno ki ek duniya jarur rakhna… Kyun ki…
Hakikat to AKSAR Rula deti hai…
 
Tairna hai to smandar mein tairo
nadi naalo mein kya rakha hai?
Pyar karna hai to watan se karo
In bewafa ladkiyo me kya rakha hai



nice malik bhai...!

Humsafar To Sath Sath Chalte Hain
Raaste To Bewafa Badalte Hain
Tera Chehra He Jab Se Aankhon Me
Meri Ankhon Se Log Jalte Hain

Kya Hu Mai or Kya Samajhte Hai Mujhe Zamane Wale,
Sab Raz Nahi Hote Batane Wale,
Kabhi Tanhaiyo Me Aakar Dekhna,
Kaise Rote Hai Sabko Hasane Wale.


Dil ko aata hai jb bhi khayal unka
Tasweer se puchte hain phir haal unka
wo humse pucha karte thay judai kia hai,
aaj Humari samajh main aaya hai sawal unka


Shayari adat hai meri mein kya karo,
ye Jaroorat ho meri mein kya karo,
Lakh samjata hoon dil ko per samjta nehi,
ye ibadat ho meri mein kya karo.


Ashq mile to,
pee lete hai
ap kehe to,
mar jaye hum,
aap kehe to jee lete hai,
hum to hai,
un phoolo jaise,
jo kaanto mein bhi
jee lete hai.
 
ab toh kuch apni tabiyat bhi khafa lagti hai..,
saans leta hoon toh jakhmo ko hawa lagti hai..
kabhi raaji toh kabhi mujhse khafa lagti hai..
jindagi tu hi bata tu meri kya lagti hai..???

:rockjai raam ji ki.
 
..gam ka ehsaas jinhe hota hai ro sakte hain...
aur gair ke ashq bhi daaman ko bhigo sakte hain...
neend aati nahi fuloo pe khiratmandoon ko..
hum toh deewaane hain kaanto pe bhi so sakte hain.

ek aur dhaasu sa...:

shab-e-firaaq mein ki hai maine neend se baat...
ke ab tu kyun nahi aati hai mujh gareeb ke paas...
toh has ke kehne lagi ke tu hi bata kambakth..
main tere paas rehu ya tere naseeb ke paas..

chalo ek aur ho jaaye...:

gareeb hona bhi ek juram hai jamaane mein..
lagi hai duniya ek faqat mujhe mitaane mein...
tabaah karke mujhe aur loge kya jafar...
bacha nahi hai kuch bhi gareebkhane mein.
 
..gam ka ehsaas jinhe hota hai ro sakte hain...
aur gair ke ashq bhi daaman ko bhigo sakte hain...
neend aati nahi fuloo pe khiratmandoon ko..
hum toh deewaane hain kaanto pe bhi so sakte hain.

ek aur dhaasu sa...:

shab-e-firaaq mein ki hai maine neend se baat...
ke ab tu kyun nahi aati hai mujh gareeb ke paas...
toh has ke kehne lagi ke tu hi bata kambakth..
main tere paas rehu ya tere naseeb ke paas..

chalo ek aur ho jaaye...:

gareeb hona bhi ek juram hai jamaane mein..
lagi hai duniya ek faqat mujhe mitaane mein...
tabaah karke mujhe aur loge kya jafar...
bacha nahi hai kuch bhi gareebkhane mein.


laga sa yu nara to elc main dena padega

leader ko
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top