Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
Hum dub rahe hai to koi baat nahi…..
Dard mei koi Mausam pyara nahi hota ,
Dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota ,koi dekho to zra meri ye bebasi…,
Hum sbhi k ho jaty hain koi hmara nahi hota
Aaye khuda kiya cheez mohabbat tu ne banai hai, Kisi ko yeh mil jati hai aur koi sehta umar bhar ki tanhai hai, Saath chalne ke khawab dekhte hain Jo log mohabbat main, Koi paa leta hai apni manzil ko aur koi sehta Umar bhar ki judaai hai..
Aye Raat Sony Dy Youn Tang Na Kia Kr,,
Bekaar Sawalon Main Paband Na Kia Kr_,,Iss Ke Siwa Aur Bhi Zamany Ke Kaam Hain,,
Tu Mere Khayalat Be_Dhang Na Kia Kr_,,Dunia Main Aur Log Bhi Basty Hain Tanha,,
Tu Sirf Mere Sath Hi Jang Na Kia Kr_,,Aey Raat Sony De Yun Tang Na kia kr_,,
Mazboot hun, pr itna bhi nahi hun,,Dunia ke sabhi gham to mere sang na kia kr_,,
Aey Raat Sony De,, Yun Tang Na Kiya Kar..
Dukh De Kar Sawaal Karte ho,
Tum Bhi Janam ! Kamaal Karte ho.. Dekh Kar Puchh Liya haal mera,
Chalo Kuchh to Khayaal Karte ho.. Shehar -e- Dil me Ye Udaasiyaan Kaisi,
Ye Bhi mujh se Sawaal Karte ho ??? Marnaa Chaahain to mar nahi Sakte,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho.. Ab Kis Kis Ki misaal Doon tum Ko ?
Her Sitam Be-misaal Karte ho…..!!
Tujhe bhoolne ki koshish mein, Jab dil ye zid pe aa gaya, Main aankh moond ke baith gaya, Tu khayaal pe phir chaa gayi? Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa, Meri nabz Thehar naa jaaye kahin, Tune Waqt kiya mera lamha lamha, Magar maut ko aasaan bana gayi? Meri har daleel ko kiya ansuni, Meri fariyaad bhi to suni nahin, Main Hairaan hu, han Kuch Pareshaan hu, Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi? Mujhe chaand ki kabhi talab na thi, Mujhe suraj ki bhi fikar nahi, Bas aankh kholna hi chahte the hum, Magar Tu roshni hi bujha gayi? Beshak bhoolna tujhe chaha bahut, Hans kar kabhi, ro kar kabhi, De kar ye aansuon ki saugaat mujhe, Tu daaman apna bacha gayi..........
Raat k kisi lamhe me jab tumhari yaad aye.. To batao mujh ki mein kya karon??? Tumhain meethi neend se jaga doon?? Ya tumhare sene pe sar rakh doon?? Tumhari gehri band Aankhoon ko kholun!! Aur un mein sama jaoon?? Ya tumhain bina Aankhain jhapkae dekhta jaon?? darta hoon ye soch kar K kahin ye khuwab toot na jae? K tumhara sath choth na jae.. SUNO !!!!!!!!!!!!! Mujhe tumhare sath guzra hua ek lamha bhi bhulana gawara nahi?.. SUNO!!!!!!!!! Utho aur ek bar mujhe pyar se dekho??? Or mujh ko koho??.. K tum sirf mere ho??
Tanhai hai pyar mein Barbaadi hai pyar mein Aansoon hai pyar mein Bebasi hai pyar mein Gam bhi hai pyar mein Haar bhi hai pyar mein Hamein sab pata hai Lekin kya kare Hum bhi hai pyar mein!