Shayri (Part 1)

Status
Not open for further replies.
Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle
Her Khwab Toot Jate Hain Sone Se Pehle
Ishq Hai Gunah Ye To Samajh Gaye
Kaash Koi Rok Leta Ye Gunah Hone Se Pehle
​
 
महक कसुती ठावै सै रे तु कूनसा साबन लावै सै र&#

महक कसुती ठावै सै रे तु कूनसा साबन लावै सै रे
होगी गौरी तु सुनले छोरी कती निखरती आवै सै रे
रंग तेरा यो गौरा गौरा
पाछै पङया जाट का छोरा
मेरी गेलया पयार करै नै बनजावैगा तेरा टोरा
छोरी लागै तु घणी कयुट पहरै जब पंजाबी सुट
करै दिल की बोटी तेरै ङुगै चोटी नागन जयु बलखावै सै रे
महक कसुति ठावै तु कुनसा साबन लावै रे
छोरी तेरे होगे घणे दिवाने मिलन के टोवै रोज बहाने
कोई कुलफी लावै कोई पैपसी पयावै बैरन कती निखरती आवै सै रे
महक कसुती ठावै तु कुनसा साबन लावै रे
 
ये सोच कर उसकी हर बात पर यकिन कर लिया
कि इतने हसीन लबों से वो कैसे झूठ बोलती होगी
 
Kaheen sehra kaheen sookhay shajar achey nahi lagtay
Mujhay ab khwabzaaron ke safar achay nahi lagtay

Jawabi khat main Us ne mere barey main ye likha tha
Bura bhi keh nahi saktay magar achay bhi nahi lagtay

Nahi masroof main itna ke ghar ka raasta bhooloon
Koi jab muntazir na ho to ghar achay nahi lagtay

Samandar tairti laashon se ye kehta raha shab bhar
Mujhay bhi doobnay walo, bhanwar achay nahi lagtay

Nahi aisa ke ab parwaz ki taaqat nahi baqi
Meri ummeed ke pannchi ko par achay nahi lagtay

 
Kisi ki Yaad Dil mein Hai Koi Ehsaas baki hai
Badalte Mousamon ke darmian Ek Raaz baki hai

Abhi to mein Safar mein hoon Milegi Manzilein Mujhko
Magar in raaston ke darmian ek Saath baki hai

Kahin par Shaam Dhalti hai Kahin par raat hoti hai
Abhi to Chandni hai Chandni ki raat Baki hai

Chale Aao Kisi Din Tum Hamara Haal bhi Dekho
Hamara Jism Murda hai magar Ek Saans baki hai

Umeed hai Mujhe Phir bhi Milega woh Hamein Ek Din
Khuda par Hai Bharosa ke Khuda Ki Zaat baki hai.

 
Paas aaker bhi faaslay kyon hain
raaz kya hai samajh mein yeh aayaa
uss ko bhi yaad hai koi ab tak
mein bhi tum ko bhula nahin paayaa

 
Teri Yaad Har Pal Hai Satati Hum Kya Karein
Har Lamha Har Pal Pyar Ye Hai Badhati Hum Kya Karein

Tujhe Bhul Jana Ab Bas Mein Nahi Mere
Har Jagah Tu Hi Hai Nazar Aati Hum Kya Karein

Baat Teri Mujhe Manzoor Hai Ishq Mein Bichadna Hi Dastur Hai
Dil Ko Ye Baat Samjh Mein Nahi Aati Hum Kya Karein

Kal Tu Gair Ki Hu Jayegi Ye Humein Maloom Hai
Phir Bhi Mohabbat Teri Dil Se Nahi Jati Hum Kya Karein

Ae Yaar Tujhe Ye Dil Bahot Pyar Hai Karta
Bekali Is Ki Nahi Jaati Hum Kya Karein

Rota Hai Tadapta Hai Tadap Ke Aahe Bharta Hai
Nafees Is Dil Ki Bechaini Jaati Nahi Hum Kya Karein.
 
[FONT=&quot]Naseeb Ke Khel Ko Bhi Ajeeb Tarah Se Khela Hai Hum Ne..[/FONT]
[FONT=&quot]Jo Na The Naseeb Mein Usi Ko Toot Kar Chaha hai humne…[/FONT]​
 
Kabhi jo ker sako aisa
to koshish ker k dekhna..

mujhe..meri tarah chahna..

faqat meri talab kerna..

phir mujhse door ho jana..

main kahon?bhool jao mujhe..

tum roz duaon may mangna..

main tumse her nata tor lon..

tumse her wo haq chheen lon

k tumhare paas agar wo ho

to nuqsan kisi ka na ho
per..
shayad tum jee lo..
per tum chup reh k her ghum pee lo..

aur aisa bhi kerna k..

magar nahi..

tum aisa ker nahi sakti..

meri jagah khud ko rakh nahi sakti..

tum mujhe..meri tarah chah hi nahi sakti?
​
 
Wo Lamhe Jo Mujhe Chuh Kar Nahi Gujre
Wo Lamhe Jo Mujhe Chuh Kar Nahi Gujre,
Wo Waqt Jo Meri Yadoon Mein Nahi Dhala,

Kyon Bhul Nahi Pata Mein,
Kyon Reh Reh Kar Yaad Ata Hai Mujhko.

Wo Raat Jo Meri Ankhoon Mein Saji Hain,
Wo Khushbu Meri Sanson Mein Basi Hain,

Kyon Badalon Si Bhar Ati Hain
Kyon Bundon Si Baras Jati Hain

Wo Sawan Jo Mere Dar Par Aya Hii Nahii,
Wo Barsat Jisne Kuch Barsaya Hii Nahii,

Kyon Uska Intezar Ab bhi Hain,
Kyon Dil Bekrar Ab Bhi Hain

Ashayein Kyon Mit Ti Nahii,
Umeede Kyon Ghat Ti Nahii,

Dhuan Dhuan Dil Kaa Jahan Hain,Mein Heraan Hoon,
Fir Bhii Kyon Arman Jawan Hain,Mein Heraan Hoon
 
[FONT=&quot]Meri chahat mein kami kuch na thi,[/FONT]
[FONT=&quot]jaane kyon woh begane se ho gaye,[/FONT]
[FONT=&quot]woh samjate hain khush hoon main,[/FONT]
[FONT=&quot]lekin mujhe hase to kai jamane ho gaye.[/FONT]​
 
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kya Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo
 
Zindagi ki bheer mein kuch loog bichar jaatey hein
Aisa nahi kay nahi miltey, kabhi mil bhi jaatey hein

Par uchaaltey hein apnoon par keechar yun hi
Kaisi qurbat hai, kaise yeh rishtey naatey hein?

Kuch aise bad naseeb bhi hotey hein jahaan mein
Muhabbat liye chaltey hein, magar dukh hi dukh paatey hein

Us ki be wafaai ki kari dhoop kay baad
Kuch to apni wafa kay bhi saaye aatey hein

Ham laakh ghamoon se choor sahi~
Loog hamein muskuraatey huye hi paatey hein ……
 
सर झुकाओगे तो पत्थर देवता हो जाएगा
इतना मत चाहो उसे, वो बेवफ़ा हो जाएगा

हम भी दरिया हैं, हमें अपना हुनर मालूम है
जिस तरफ भी चल पड़ेंगे, रास्ता हो जाएगा

कितनी सच्चाई से मुझ से ज़िन्दगी ने कह दिया
तू नहीं मेरा, तो कोई दूसरा हो जाएगा

मैं ख़ुदा का नाम लेकर पी रहा हूँ दोस्तो
... ज़हर भी इसमें अगर होगा, दवा हो जाएगा

सब उसी के हैं हवा, ख़ुश्बू, ज़मीनो-आसमाँ
मैं जहाँ भी जाऊँगा, उसको पता हो जाएगा

बशीर बद्र
​
 
तेरी चाहत तो मुकद्दर है मिले ना मिले
राहत जरूर मिल जाती है तुझे अपना सोच कर
 
[FONT=&quot]Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya..[/FONT]
[FONT=&quot]Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chhod Diya !![/FONT]

[FONT=&quot]Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De..[/FONT]
[FONT=&quot]Usi Ka Kaam Tha, Us Ki Raza Pe Chhod Diya !![/FONT]

[FONT=&quot]Ab Us Ki Marzi Bhujha De, Ya Jala De..[/FONT]
[FONT=&quot]Chirag Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chhod Diya !![/FONT]

[FONT=&quot]Aab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum..[/FONT]
[FONT=&quot]Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chhod Diya !![/FONT]

[FONT=&quot]Is Liye To Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko..[/FONT]
[FONT=&quot]Ki Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhod Diya !![/FONT]​
 
फिज़ा में फैल चली मेरी बात की खुशबू ,
अभी तो मैंने हवाओं से कुछ कहा भी नहीं !!
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top