namaskaar kumari shweta dhaka !
shubh prathakaal ! Kaisan ho aap?
aasha karta hu aapne prathakaleen snan karke , ganesh baba ki pooja-archana karke prasad ka bharpoor sevan kar liya hoga.
aaj ka mausam bahut hi kassota hai. badal gadgada laag rhe sai, ar bijli kad-kad karan laag rhe sai, aaj tai pakkam-paaka mhee bursaiga.
aur sab kimme thik-thak sai nai !
aapka aur sabka,
(Acharya) Gagan Dhillon

Hindi hamaari rashtra bhasha hai aur mera keyboard isse nahi jaanta ! ..
Kintu, kehte hain ki koshishe saadhno ki kami ki gulaam nahi hoti, to aaiye aarambh karte hain ek prayaas, ek prayog, shudh hindi me vaartalaap karne ka.....
Yu to hum aam bol chaal me sadaiv hindi bhasha ka prayog karte hai kintu wo shudh hindi se kaafi pare hi hoti hai.
Shudh hindi ka gyan rakhne waale logo ki sankhyaa ungliyo pe gini ja sakti hai, aur aaj ki yuvaa peedhi ke liye shudh hindi ka gyan rakhna ek swapn maatr prateet hota hai !
Ye dhaga samarprit hai hindi bhasha ko.
Koshish karte hai ki hum jo bhi vichaaro ka aadaan pradaan yaha karen, usme shudh hindi ka prayog kiya jaaye. Isse hame anubhav ho jaayega ki shudh hindi ka prayog karna kitna kathin prateet hota hai ! Aaiye thoda prayatna karen, apni kuch trutiyon ko sudhaarne ki aur agrasar hon, kuch vichaarvimarsh kiya jaaye