Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Kathhe hoke 6 janne karran lagge bakkwaad
Saang biggadde binna in-nhe aawe konya swaad
Awwei konya sawwaad issi ya rail bannai
Mharri shyayri ki dekho in-nhen KUDHHI thhai

Ke tei jyaiyo samajh nahin tei thhanne karrun report
Mustandyan[not bebes] minttan mein marrun karddi chott
Marrun karddi chott dhikhhe re mei yoh aaya
Jelli chaussangg kadhh obbre manh tei ibbe lyaya

2 janne tei khttkein sein merre ghanne kassut
Je manne ye pajyan tei 10-10 marrun juut
10-10 marrun juut honss mei dyungga inke bhulwaa
Motte-2 kai kutte innke dyunga pachhe chhuttwa.

Innki akkal karnni se ya manne padhhari
Inkki khhossun ga mei pher wei patti chaddari
 
Woh pyar se kahte hain ke intezaar karo
Ab ye dil to kisi ka bhi aitbaar nahin karta
Hum to shaayad intezaar karle qayamat tak
Lekin ye waqt kisi ka bhi intezaar nahin karta

* * * *

Ye pyar koi dil behalaane ka khel nahin
Ek ehsaas hota hai kisi ko apna banaane ko
Shayad unki chaahat ka nazariya badal gaya
Unhe koi aur mil gaya hoga dil bahalaane ko

* * * *

Woh kahten hain ki baat nahi karenge ab
Door rahne se mohabbat parwaan chadhegi
Kisko khabar hai kal aayegaa bhi ya nahin
Door rahne se to dooriyan aur badhegi

Dil ka har konna aaj veeran sa lagta hai
Hum to kabhi pyar ka sauda kar nahin payee
Log mohabbat karke kaise bhool jaten hai
Hum to unko aaj tak bhi bhool nahin payee
 
Last edited by a moderator:
vijay said:
Dil ka har konna aaj veeran sa lagta hai
Hum to kabhi pyar ka sauda kar nahin payee
Log mohabbat karke kaise bhool jaten hai
Hum to unko aaj tak bhi bhool nahin payee

Muhobbat kar tou aissi kar ke baddle mei panne ki na koi chahat rahe
Buss unki ruuh dil mein aur chehra aankhon ke saahat rahe
Wo kar de sittam bhi to muskurao doston
Unki bewaffai ko chahne ki bhi chahat rahe.
 
devdahiya said:

Mohabbat kisi pe mar mitne ka naam hai
Kisi ki yaad ko dil mein basa kar rakhte hain
Ab woh chahe sitam karen ya phir karam
Dilwaale yahan kab koi parwah karte hain
 
Last edited:
Correction:
Please read 'dilwale' in place of 'diwaale':D :D
No fun intended. Mere correction.:) :)

vijay said:
Mohabbat kisi pe mar mitne ka naam hai
Kisi ki yaad ko dil mein basa kar rakhte hain
Ab woh chahe sitam karen ya phir karam
Diwaale yahan kab koi parwah karte hain
 
vijay said:
Mohabbat kisi pe mar mitne ka naam hai
Kisi ki yaad ko dil mein basa kar rakhte hain
Ab woh chahe sitam karen ya phir karam
Dilwaale yahan kab koi parwah karte hain

Dil jalla,seerat jalli,mann bhi huwa udaas
Padd kar tere pyar mei mujhe kuchh na aaye raas
Khana-peena chhodd karkarta rahuun vichar
Kabhi haar na mani thi par gaya iskq mei haar
 
devdahiya said:
Dil jalla,seerat jalli,mann bhi huwa udaas
Padd kar tere pyar mei mujhe kuchh na aaye raas
Khana-peena chhodd karkarta rahuun vichar
Kabhi haar na mani thi par gaya iskq mei haar

Good one Dev sir,

Jise jamana kabhi haraa nahi paaya
Usse aaj jhuka diya kisi ke pyaar ne
Dushmano mein kahan itna dum tha
Humen to maar diya apne hi yaar ne
 
RAHU-KETTU aa gaye thha ke nei bandook
Rotti khawwan aaweingge jibb inn-nei dyun na tuuk
Naak ki padhhar chalaniya ye badde kassutte bhoot
Innke bera na kodhhanei kyah ki uuthh jya huuk
 
संकल्प हिमालय सा गलता,
सारा दिन भट्ठी सा जलता,
मन भरे हुए, सब डरे हुए,
किस की हिम्मत, बाहर हिलता,
है खड़ा देव सर के ऊपर

जय किलकी टोळ, तभाही मचा दो
 
Last edited:
vijay said:
Woh pyar se kahte hain ke intezaar karo
Ab ye dil to kisi ka bhi aitbaar nahin karta
Hum to shaayad intezaar karle qayamat tak
Lekin ye waqt kisi ka bhi intezaar nahin karta

Intezar ka bhi apna ek majja hei
Pyar karna bhi tou aakhir ek sajja hei
2 lamhe gar koi dil ko behlane mei lagga de
Wo hi jinddagi ka assli majja hei
 
vi hamse mohabbat kartey hain
ham unsey mohabbat kartey hain
isii shaq k dayre me na jindgi guzarr jaaye
na vo baat kartey hain, na ham baat kartey hain
 
wah! wah! me karvado ke baat cheet
deepshika said:
vi hamse mohabbat kartey hain
ham unsey mohabbat kartey hain
isii shaq k dayre me na jindgi guzarr jaaye
na vo baat kartey hain, na ham baat kartey hain
 
key ho gaya terey ?

deepshika said:
vi hamse mohabbat kartey hain
ham unsey mohabbat kartey hain
isii shaq k dayre me na jindgi guzarr jaaye
na vo baat kartey hain, na ham baat kartey hain
wah wah.....wah...terey mein bhi itni gehraie sey key,,,,,,:p :D ;) :D :p ?arey tey likard key humor mein ek joke ger dey tu to........:p :D ;)
 
downtoearth said:
wah wah.....wah...terey mein bhi itni gehraie sey key,,,,,,:p :D ;) :D :p ?arey tey likard key humor mein ek joke ger dey tu to........:p :D ;)

deepshikha bebe, isske neeche nue tee likh detti "written by me"

arr rupender, tu kisse ne yadde appne mann ki likhann na diyee,dekhi nahi tanne isski pratibha.......... uss humour section ke dayyre tee likaddan na diyee inne,

likhiyee ee deepshikha ekadhi orr, badiya thii
 
we humsey sharmatey hain
hum unsey sharmatey hain
kabhi wo hum sey jaltey hain
kabhi hum unsey jaltey hain
issi jalan ki roshni se
dono ke ghar ke chirag jaltey hain....

deepshika said:
vi hamse mohabbat kartey hain
..............

Mohabat me ye takkaluff na kijiye
hamdardi hai ye isse samjhliye
chahat ki halki si sargoshi hai
khalish ko mohabbat samjhna chhodiye

vijay said:
Woh kahten hain ki baat nahi karenge ab
...............
 
Last edited by a moderator:
sunitahooda said:
Mohabat me ye takkaluff na kijiye
hamdardi hai ye isse samjhliye
chahat ki halki si sargoshi hai
khalish ko mohabbat samjhna chhodiye

Khalish nahin ye to kashish hai mohabbat ki
Esse to sirf dilwaale hi mehsoss kar sakte hain
Muhabbat main kya takkaluff se darega koi
Ek ishaare pe jaan lutaae ka jigar rakhten hain
 
Mohobbat mei jaan deewanne luttate hein
Bewaffa sadda beggane kehlatte hein
Jaan ko rakhkho sambhal ke dil ke kissi konne mei
Jo jaan hathhelli pe rakh karr jeete hein wo parwaane kehlatte hein

* * * * * **

Shikayat kismat se nahin unki bewaffai se hei
Humko matlam unki bhalai se hei
Jo abb rahon mein khadde hein unhein tou sirff aankhein dekhti hein
Dil ki chahat tou humne unpe loota di...hum ko matlabb abb bhi luttai se hei

.
 
Last edited by a moderator:
devdahiya said:
Mohobbat mei jaan deewanne luttate hein
Bewaffa sadda beggane kehlatte hein
Jaan ko rakhkho sambhal ke dil ke kissi konne mei
Jo jaan hathhelli pe rakh karr jeete hein wo parwaane kehlatte hein

Jalnaa to en parwaano ki kismat mein hai
Ki ye shamaa har waqt yun hi jalti rahee
Kisi ka inrezaar kiya kisi ne qayamat tak
Mohabbat ki kashak phir bhi palti rahee
 
vijay said:
Jalnaa to en parwaano ki kismat mein hai
Ki ye shamaa har waqt yun hi jalti rahee
Kisi ka inrezaar kiya kisi ne qayamat tak
Mohabbat ki kashak phir bhi palti rahee

Good job. Let me try to take it further....

Unke aakhri deedar ko saanse chalti rahi,
Maut bhi thi ke aa aa ke talti rahee.

Vijay Bhai thoda aur zor lagaao. Ise puri Ghazal banate hain. Agla sher aap do. Aakhiri sher main try karunga.

devdahiya said:
Mohobbat mei jaan deewanne luttate hein
Bewaffa sadda beggane kehlatte hein
Jaan ko rakhkho sambhal ke dil ke kissi konne mei
Jo jaan hathhelli pe rakh karr jeete hein wo parwaane kehlatte hein

Wo paththar-dil hain, chot to denge hi
Aur ek hum hain jo zakhmo ko sehlaate hain.
 
Last edited by a moderator:
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top