suneet_rana said:koi mujhe gam de mai pyaar karu kaise ussee
ye unki koi aadaa nahi log bewafaai kahte hai usseeee..............
Unka gumm bhi dil se lagaane ke layak hai
Kya hum apni mohabbat ko bhool jaayenge
Ye aadaa ho ya bewafaai kya fark padta hai
Jo waada kiya kabhi nahin bhool payengee
ritu said:ishq tumahri majboori ho shayad uski nahi
ose shyad tum pasand na ho bewafa nahi wo
dil jasi cheez yu hi kisi ko di jaati nahi
Ishq kisi ki majboori nahin hoti
Ye to ek pyaraa ehsaas hota hai
Dil to bus usko hi diya jaata hai
Jahan pyar ka vishwas hota hai
suneet_rana said:dil koi cheez nahi jo mai yu hi bazar me baatata firu.....
ye to amanat hai mere yaar ki jo mujhe use hifaajat se pahuchaani hai
mohaabat ko pyar karne waale majburiii nahi kahte....
ye to tohafa hai bhagwan ka jo har kisis ko naseeb nahi hotaaaa
Kaun ashique dil bazaar mein lekar phirta hai
Kya koi boli lagayeega yahan sachhe pyar ki
Asli mohabbat unki hai jo taraste hai saari umar
Sirf ek jhalak dekhne ke liye apne dildaar ki
.
Last edited by a moderator: