Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
rity79gem said:
vadae pe merae woh aithbaar nahi kartae...
hum zikrae mohabbat sarrey bazar nahi kartae...
darta hai dil unki rusvaayi se...
aur woh sochtae hai...ki hum unse pyaar nahi kartae...!!!

Waada kabhi nibhaya hota to aitbaar bhi karte
Unki tamanna mein apna dil bekraar bhi karte
Kum se kum ek baar maohabbat ka izhaar agar karte
To hum qayamaat hone tak unka intezaar bhi karte

rity79gem said:
Aankh mein namken paani aane laga hai​

......

maza abke saawan ka aane laga hai!!!​

Excellent Rity,

Is it your own composition ? I hope so.

Welcome to the Shayar community too.

Cheers
.
 
Last edited by a moderator:
Thanks Vijay ji, Likhte to aap bhi bada achha hain.......
Thanks for the welcome in the shayari section!!!

Hail Sythian Culture!!

Rity
 
Sajjde kiye thhe humnne milne pe pehli baar
Maloom na chala tha ye jeet thi ya haar
Ab samjhe hein hum iss baat ko ke pyar koi khel nahin
Jiska fainssla karre koi taraffdaar
 
devdahiya said:
Sajjde kiye thhe humnne milne pe pehli baar
Maloom na chala tha ye jeet thi ya haar
Ab samjhe hein hum iss baat ko ke pyar koi khel nahin
Jiska fainssla karre koi taraffdaar

Woh jab mile they humse pahli baar
Kya lamhaa tha dil ho gaya bekraar
Pal bhar mein hi zindagi ka faisla hua
Pyaar jeet gaya aur hum dil gaye haar
 
vijay said:
Woh jab mile they humse pahli baar
Kya lamhaa tha dil ho gaya bekraar
Pal bhar mein hi zindagi ka faisla hua
Pyaar jeet gaya aur hum dil gaye haar

Harr aahatt ko humnne unka ehsass jaan liya
Dil hi dil mei unko appna maan liya
Par jabb aaye wo sammne hammare
Uss din Ai dost humnne kaha,"kya nirala ehsaan kiya."
 
devdahiya said:
Harr aahatt ko humnne unka ehsass jaan liya
Dil hi dil mei unko appna maan liya
Par jabb aaye wo sammne hammare
Uss din Ai dost humnne kaha,"kya nirala ehsaan kiya."

Woh to hamesha dil mein hi rahte hain
Ankhon mein basi sirf unki hi tasveer hai
Woh kya shamjhenge hamaari mohabbat ko
Unki muskuraahat hi mamaari taqdeer hai
 
Kaas unn ki surat aur seerat mei thodda farak hota
Tou aaj mann ka chenn na khota
Aggar dil ko rakh sakta sambhal karr apne
Tou aaj ye dil bilakh-2 kar yun na rotta

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Kya massum chehra aur kya khatarnaak irrade
Kal khai kassmein aur aaj todde wayde
Hei koi iss jahan mei jo sikha de mujhko
pyar karne ke kanoon aur kayde
.
 
Last edited by a moderator:
Kaas unn ki surat aur seerat mei thodda farak hota
Tou aaj mann ka chenn na khota
Aggar dil ko rakh sakta sambhal karr apne
Tou aaj ye dil bilakh-2 kar yun na rotta

Ye surat or seerat ki maari hai duniya
Warna kya kabhi koi bhi dhokha khata
Ye dil masoom surat pe aa hi jaata hai
Unki seerat dekh kar har dil ghabra jaata

Kya massum chehra aur kya khatarnaak irrade
Kal khai kassmein aur aaj todde wayde
Hei koi iss jahan mei jo sikha de mujhko
pyar karne ke kanoon aur kayde

Har masoom chehra itna masoom nahi hota
Har dil mein pyar ka saccha ehsaas nahin hota
Pyar mein kya kayda kanoon bus sirf pyar hai
Magar aaj to kisi par bhi vishwas nahin hota

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Woh haseen chehra jo roz aata hai khayalon mein
Meri en ankhon mein bus uski hi tasveer basi hai
Aab woh kaise nikaal payenge apne dil se humko
Mere hathon ki lakeeron mein uski taqdeer basi hai
.
 
Last edited by a moderator:
Tera Jurm nahi hai shamil agar merri barbadi main
fir yeh aankhoien bheeg rahi kyon terre afsaane se.......................................

hoye hoye chaudhary sahab...gaad diya lath saa...arrey bhai ron len de use... rumaal den te to raha...kavita likhaan laag gyaa..hahahah

RK^2
 
Woh haseen chehra jo roz aata hai khayalon mein
Meri en ankhon mein bus uski hi tasveer basi hai
Aab woh kaise nikaal payenge apne dil se humko
Mere hathon ki lakeeron mein uski taqdeer basi hai

Ye bedard aashik haath ki lakeer mitta lete hein
Ek ko chhodd kar dussare ko apni taqdeer banna lete hein
Ehsaan framosh na hota badda koi innse
Ai Vijay ye tou paisse ko apni tadveer bana lete hein
 
Ye bedard aashik haath ki lakeer mitta lete hein
Ek ko chhodd kar dussare ko apni taqdeer banna lete hein
Ehsaan framosh na hota badda koi innse
Ai Vijay ye tou paisse ko apni tadveer bana lete hein

Right Dev sir, but not paisa but pleasure too............

Humse kya umeed karoge ab tum ae humdum
Jo tumhari zindagi ki asliyat ko pehchan gaye
Aaj us masoom pe taras aa raha ha ae humdum
Jo tumhari is khudparasti par ho kurbaan gaye

Kaun kahta hai ki pyar koi khel nahin
Bahut khilaadi hai yahan is mohabbat ke
Kal waada kiya tha aur aaj tod bhi denge
Aur daag lagayenge fir kisi ki sharaafat pe

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Mohabbat mein koi bhi insaan andha nahin hota
Bus ankhon pe kisi ke pyar ka parda pad jata hai
Bhool jata hai woh sari duniyan ko us pyar ke liye
Aur woh pyar use yahan fir akela chhod jata hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Kaha tha kisi ne humen intezaar karne ko
Intezaar karna kisi ka koi badniyaat to nahin

Chiragon ko en andhero se bhi kya ulfat hogi
En andheron mein roshni ki liyaakat to nahin

Sheesha-e-dil par kuchh to raham karo ae dost
Isne bus mohabbat ki hai koi jalaalat to nahin

Kin lafzo mein baayan karen hum ees mohabbat ko
Toot gaye itne ki pyar jataane ki himmat to nahin
.
 
Last edited by a moderator:
Hum to pehle se akele the ab to saaye ne bhee saath chhod diya,
the teri mohabbat me andhe, in band aankho ko kyon phod diya
 
jis ke liye duniya bhoolai usne hamen bhoola diya
Ye kaisi mohabbat hai jisne andha bana diya
Kabhi vo meri ankhon se sapne dekhta tha
aaj ussi ne meri aankho pe parda gira diya

Parda to ye pahle bhi tha chhal me uske chiipaa hua
Wafa ki kya ummed karen khud se hi dhokha hua
Payar me hum loot-te rahe vo pyar me loot-ta raha
Jis waqt humen jab hosh aaya uska roop tha badla hua
 
Last edited:
ab kyamat ka intezaar karte hain wo
intezaar karne ki di kisi ne nasihat to nahi

wo andhere jo roshni ke sang aate hain
kahin un andhero ko chirago se ulfat to nahi

gar khabar ho sheehsa-e-dil ke tootne ki
phir bhi mohabbat karna ye zarurat to nahi

mohabbat ko bayaan ye lafz hi karenge
in lafzo ke ehsas bin mohabbat mohabbat to nahi

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

kisi ke kehne se kare intezaar jo koi
kahin intezaar karna uske liye ziyaafat to nahi

naam na liya jaye rashni ka andhero ke bina
chiragon ko bhi ye kehne ki izaazat to nahi

zalaalat to mohabbat na karne waale karte hain
is sheeha-e-dil ko kisi ke raham ki zarurat to nahi

pyaar jataane ki himmat bhi ye lafz hi denge tumhe
par in lafzo kisi or se poochna ye inki izzat to nahi
.
 
Last edited by a moderator:
Nice !

Kaun kisi ke kahne se intezaar karta hai
Ye pyar kisi aur ke dil ka zazbaat to nahin

Eh andheron ko bhi kabhi roshan karega koi
Abhi tak us ajnabi se hui mulakaat to nahin

Wafa ki arzoo hai hamare es sheesha-e-dil ko
Pyar ki tamanna karna koi shikaayat to nahin

Mohabbat ko lafzon mein bhi bayaan kar denge
Lekin dikhti kisi ki ankhon mein mohabbat to nahin
 
Hamein kahin paani nahin milla tou maikhanne aa gye
Wahan bhi dekha paimaane chha gye
Tumhein dhhunddane mei mandir mei aaya
Aur jabb bhagwaan se tumhein mangga
Tou usko bhi tumahra chahne wala paya.
 
Hamein kahin paani nahin milla tou maikhanne aa gye
Wahan bhi dekha paimaane chha gye
Tumhein dhhunddane mei mandir mei aaya
Aur jabb bhagwaan se tumhein mangga
Tou usko bhi tumahra chahne wala paya.

Excellent Dev Sir,

Jise dhoondahti hai ye nighahen har taraf
Hamara dil har waqt hai unke nishaane mein
Yun to ess duniyan mein lakhon haseen honge
Unsa na hua hai aur na hoga koi jamaane mein
 
Excellent Dev Sir,

Jise dhoondahti hai ye nighahen har taraf
Hamara dil har waqt hai unke nishaane mein
Yun to ess duniyan mein lakhon haseen honge
Unsa na hua hai aur na hoga koi jamaane mein

Jab Miltti ho 100 swaal karrti ho
Jab duur hotti ho tou aahein bharti ho
Samajhna mushkil hei aandajje byan ei jallim
Jo bhi karrti ho benakkab karrti ho
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top