Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Hum bhi ani us Zindagi se zara parichaye karwaaye
Itna kaafi nahi hai zara uske baare me Kuch or bataaye
"Wafa aur Mohabbat" ko jiski gehraai se samjha aapne
Us Zinadagi ki khushi ko yaad kare, humein sunaaye

Zindagi kya kisi pehchaan ki mohtaaz hai
Woh pyar hi kya jo kisi ko dhikhaya jaaye
Koi naam hai jo es dil mein basa hua hai
'Wafa aur mohabbat' kisko shikhaya jaaye
 
Jo dil maange wo milta kyun nahin
Ye waqt kyun aata hai beech mein
Kab tak kheenche rahungi iss waqt ki dor
Jana naa chahun dusri duniya ki aur
Kyun banaya rab ne mujhe itna majboor
Bas mein ho to sab se maang lun apne haathon ki laqeer
Khadi naa rah jaaun iss samay ke beech mein
Mit naa jaaye mere sapnon ki tasveer
Tauhfe to bahaut mil jaayenge iss dil ko
Kaun dilwayega isko iski taqdeer


Dil jisko chahta hai woh rahe khayalon mein
Har mohabbat ki yahan apni taqdeer hoti hai
Kosheesh har koi karta hai chahat ko paane ki
Lekin har hath mein likhi kisi ki lakeer hoti hai
 
Zindagi kya kisi pehchaan ki mohtaaz hai
Woh pyar hi kya jo kisi ko dhikhaya jaaye
Koi naam hai jo es dil mein basa hua hai
'Wafa aur mohabbat' kisko shikhaya jaaye


Jiski pehchaan me ek pehchaan chipi hai
Wo Khud kisi ki pechaan nahi samjhate hain
"Wafa aur Mohabbat" kaise paayenge wo
Jo waadaa karke phir har pal mukarte hain
 
Jiski pehchaan me ek pehchaan chipi hai
Wo Khud kisi ki pechaan nahi samjhate hain
"Wafa aur Mohabbat" kaise paayenge wo
Jo waadaa karke phir har pal mukarte hain


Kaun kis ki pehchaan hai es duniyan mein
Hum to bus apni pehchaan ko jaante hai
'Wafa aur mohabbat' ke kaayal hain bus
Jo waada kiya woh nibhana bhi jaante hain
 
Kaun kis ki pehchaan hai es duniyan mein
Hum to bus apni pehchaan ko jaante hai
'Wafa aur mohabbat' ke kaayal hain bus
Jo waada kiya woh nibhana bhi jaante hain


Wo ab itne khudgarz ho chale hain dekho
Ki Apni hi pehchaan ko khote jaa rahe hain
Wafa or Mohabbat ab baaton me bhi nahi unki
Jo waade kiye the unhe aaj bhoolate jaa rahe hain
 
Wo ab itne khudgarz ho chale hain dekho
Ki Apni hi pehchaan ko khote jaa rahe hain
Wafa or Mohabbat ab baaton me bhi nahi unki
Jo waade kiye the unhe aaj bhoolate jaa rahe hain

Kaun khudgraz hai ye to waqt hi bataayega
Hamaari pehchaan khatam hone waali nahin
'Wafa aur mohabbat' nahin mit sakti mitane se
Wada karke bhool jaayen dil itna sawaali nahin
 
Kaun khudgraz hai ye to waqt hi bataayega
Hamaari pehchaan khatam hone waali nahin
'Wafa aur mohabbat' nahin mit sakti mitane se
Wada karke bhool jaayen dil itna sawaali nahin


Ye waqt ka hi to khel hai ki aap badal gaye
Aapki pehchaan pe hazaron rang chad gaye
Wafa aur Mohababt nahi mitegi zamaane me
Na bhoole koi waada phir kyun unse mukar gaye
 
Neend ud jaati hai
chain kho jaata hai
hawaon mein nasha chha jata hai
Jab dil mein koi bas jata hai

Saari duniya khush nazar aati hai
Sab kuch pyara lagta hai
Bin baat ke hansi aati hai
Jab mann ke taar koi chhu jata hai

Iss khush hote dil ko dekh
Baadal bhi baras jata hai
Phir uss suhawne mausam mein
Dil kisi ki yaad mein kho jata hai

Ek din maanga iss dil ne kuch aisa
Jo isko koi de nahin pata hai
Tab khaali haathon ko dekh
Khushi se jhumta dil ro jata hai
 
Last edited:
Ye waqt ka hi to khel hai ki aap badal gaye
Aapki pehchaan pe hazaron rang chad gaye
Wafa aur Mohababt nahi mitegi zamaane me
Na bhoole koi waada phir kyun unse mukar gaye

Hum na badle hai aur na hi kabhi badlenge
Ye to waqt hai jo har pal rang badaltaa hai
'Wafa aur mohabbat' hi waqt ka takaaza hai
Agar na samajhe koi to kya zor chalta hai
 
Hum na badle hai aur na hi kabhi badlenge
Ye to waqt hai jo har pal rang badaltaa hai
'Wafa aur mohabbat' hi waqt ka takaaza hai
Agar na samajhe koi to kya zor chalta hai

Badalate logo ki zubaan bhi waqt badal deta hai
Phir bin kuch soojhe waqt pe ilzaam lagaate hain
Jis "Wafa aur Mohabbat" pe marte hain aap
Kyun aaj tak usi ke liye itna taraste aaye hain
 
Badalate logo ki zubaan bhi waqt badal deta hai
Phir bin kuch soojhe waqt pe ilzaam lagaate hain
Jis "Wafa aur Mohabbat" pe marte hain aap
Kyun aaj tak usi ke liye itna taraste aaye hain


Es waqt ne bhi kya khel dhikhaya hai
Mohabbat ke naam ko hi mitaaya hai
'Wafa aur mohabbat' hi hai zinki arzoo
Unpe aaj kisi ne koi ilzaam lagaya hai
 
Es waqt ne bhi kya khel dhikhaya hai
Mohabbat ke naam ko hi mitaaya hai
'Wafa aur mohabbat' hi hai zinki arzoo
Unpe aaj kisi ne koi ilzaam lagaya hai


Wo ilzaam kehte hain jise wo sach hi to hai
Naam kaun mita paya hai Mohaabat ka yahan
"Wafa aur Mohabbat" ki aarzoo karne waale
Kyun aap inhe apna samjhe baithe hain yahan
 
Wo ilzaam kehte hain jise wo sach hi to hai
Naam kaun mita paya hai Mohaabat ka yahan
"Wafa aur Mohabbat" ki aarzoo karne waale
Kyun aap inhe apna samjhe baithe hain yahan


ilzaam dena to logon ki aadat hai yahan
Mohabbat karne waale shikwa nahin karte
'Wafa aur mohabbat' nibhana asaan nahin
Kisi ko apna shamajh kar bhulaya nahin karte
 
ilzaam dena to logon ki aadat hai yahan
Mohabbat karne waale shikwa nahin karte
'Wafa aur mohabbat' nibhana asaan nahin
Kisi ko apna shamajh kar bhulaya nahin karte

Hum bhi inhi logon me rehte hain
Pyaar karne waale intzar bhi nahi karte
Asaan to kisi ko paana bhi nahi yahan
Phir"Wafa aur Mohabbat"ki chah kyu karte
 
DARD JTNA SAHA JAAYE UTNA HI SEHNA
KISI KE DIL KO JO LAG JAAYE WO BAAT NA KEHNA
MILTE HAIN HAMARE JAISSE LOG BAHUT KAM
ISLIYE HUMSE KABHI ALVIDA NA KEHNA.....................

Badalate logo ki zubaan bhi waqt badal deta hai
Phir bin kuch soojhe waqt pe ilzaam lagaate hain
Jis "Wafa aur Mohabbat" pe marte hain aap
Kyun aaj tak usi ke liye itna taraste aaye hain
 
Neend ud jaati hai
chain kho jaata hai
hawaon mein nasha chha jata hai
Jab dil mein koi bas jata hai

Saari duniya khush nazar aati hai
Sab kuch pyara lagta hai
Bin baat ke hansi aati hai
Jab mann ke taar koi chhu jata hai

Iss khush hote dil ko dekh
Baadal bhi baras jata hai
Phir uss suhawne mausam mein
Dil kisi ki yaad mein kho jata hai

Ek din maanga iss dil ne kuch aisa
Jo isko koi de nahin pata hai
Tab khaali haathon ko dekh
Khushi se jhumta dil ro jata hai


Unka to bus naam hi mohabbat hai
Jinke aane se jeevan nikhar jaata hai
Woh mere dil mein baste hain hardum
Jinke samne ye wazood bikhar jaata hai


Simti si rahti hai woh dil ki gahrai mein
Usko paane ko bus ye dil machal jaata hai
Jiski surat basti hain 'Vijay' ki ankhon mein
Woh haseen dilbar kahin door nikal jaata hai
 
Hum bhi inhi logon me rehte hain
Pyaar karne waale intzar bhi nahi karte
Asaan to kisi ko paana bhi nahi yahan
Phir"Wafa aur Mohabbat"ki chah kyu karte


Zindagi kab kahan kisi ka intezaar karti hai
Yahan har tamanna kisi aarzoo par marti hai
'Wafa aur mohabbat' ki chah kyon na kare koi
Kya ye mohabbat bhi kisi imtihaan se darti hai
 
Woh chaahat ki chandni jaisi asmaan mein
Na jaane kitno ki zindagi roshan karti hogi
Dua maang rahi hai kahin kisi ke dil ki aarzoo
Koi zindagi bhi unki tamanna mein marti hogi
 
Woh chaahat ki chandni jaisi asmaan mein
Na jaane kitno ki zindagi roshan karti hogi
Dua maang rahi hai kahin kisi ke dil ki aarzoo
Koi zindagi bhi unki tamanna mein marti hogi


Woh chaand ki chandani jaisi raaton mein
Na jaane taaron se kitni baatein karti hogi
Rehti wo khud apni hi roshni ke sharam mein
Har choti si baat ko kaise bayaan karti hogi
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top