Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
devdahiya said:
Samjha humne pyar ko puja ek nirali
Jeewan lekin reh gaya dekho kitna khali
Ek pal nei sab baddal diya,jeewan ka ye rang
Mere jinne ke sarre alag ho gye dhhang

Hamari hi nadaani thi ki humne
Is pyar ko eek pooja samajha
Hum hain ek pal mein uske ho gaye
Usne sari umar humen dooja samajha
 
vijay said:
Hamari hi nadaani thi ki humne
Is pyar ko eek pooja samajha
Hum hain ek pal mein uske ho gaye
Usne sari umar humen dooja samajha

Socha tha wo aa kar mere chaman ko aabadd kreinge
Bhagwan bhi hamari muhobbat ki takkat se dreingge
Par unka to irrada hi tha nirala
Hammein binna maut mar dalla.
 
devdahiya said:
Socha tha wo aa kar mere chaman ko aabadd kreinge
Bhagwan bhi hamari muhobbat ki takkat se dreingge
Par unka to irrada hi tha nirala
Hammein binna maut mar dalla.

Socha to bahu kuchh tha humne
Woh is gulistan mein bahaar laayenge
Magar kya maloom tha woh daga denge
Aur Hum phir se ek jeeti baazi haar jaayenge
 
vijay said:
Socha to bahu kuchh tha humne
Woh is gulistan mein bahaar laayenge
Magar kya maloom tha woh daga denge
Aur Hum phir se ek jeeti baazi haar jaayenge

Nice photo Vijay....................

Na wo mile na bahar aai
Hamari to jaan par ban aai
Har pagg par dhoke hei jahan mei
Hamari ho gai jagg hanssai.
 
devdahiya said:
Nice photo Vijay....................

Na wo mile na bahar aai
Hamari to jaan par ban aai
Har pagg par dhoke hei jahan mei
Hamari ho gai jagg hanssai.

Achha hua woh nahi mile humse
Kuchh kah dete to wapas kaise aate
Ye jag hansai to phir bhi sah lenge
Kya hota agar woh hum par hans jaate
 
vijay said:
Achha hua woh nahi mile humse
Kuchh kah dete to wapas kaise aate
Ye jag hansai to phir bhi sah lenge
Kya hota agar woh hum par hans jaate

Sab dekh liya duniya mei ghoom kar,kahin sukkun nahi milta
Vijay bhai,Iss shyayari ke bgeir mera mann nahin khilta
Chal karte hein dil ki baat,kuchh naye aandaaz mei
Gulab bhi bina dhupp ke nahin khilta.
 
Maine bhi yeh duniya pahchaan lee Dev Sir
Iss chhotti si zindagi mein bahut rang dekhe
Ye gulaab hamesha kanto se ghira hota hai
Chhookar dekha to apne lahoo ke rang dekhe
 
vijay said:
Maine bhi yeh duniya pahchaan lee Dev Sir
Iss chhotti si zindagi mein bahut rang dekhe
Ye gulaab hamesha kanto se ghira hota hai
Chhookar dekha to apne lahoo ke rang dekhe

Gulabon ke pas hamne kab se jana chhodd diya
Nazron ko kab se milana chhodd diya
Vijay ab to sab brabar lagta hei
Humne hisab lagana chhodd diya
 
devdahiya said:
Gulabon ke pas hamne kab se jana chhodd diya
Nazron ko kab se milana chhodd diya
Vijay ab to sab brabar lagta hei
Humne hisab lagana chhodd diya

Hum kahan nazaren milateen hai kisi se
Woh khud hamaare paas aa jayaa to kya karen
Aur jab hum dil thaame baithe rahen wahan par
Woh dil churaa kar bhag jaya karen to kya karen

* * * *

Humne unke kadmon pe ye jahan jhuka diya
Woh they ki itni khushi sahan na kar paaye
Magroor hokar hanse aur chal diye wahan se
Kaun ghaate mein raha aaj tak samajh na paaye

.
 
Last edited by a moderator:
vijay said:
Humne unke kadmon pe ye jahan jhuka diya
Woh they ki itni khushi sahan na kar paaye
Magroor hokar hanse aur chal diye wahan se
Kaun ghaate mein raha aaj tak samajh na paaye

Pyar koi sauda nahi,jo tarajju bik jaye
Kitab koi ajooba nahi jo anpadhh likh jaye
Kya baat karte ho ghatte aur naffe ki ai Vijay
Wo Bewaffa bhi kya jo apne thhikane tik jaye.
 
devdahiya said:
Pyar koi sauda nahi,jo tarajju bik jaye
Kitab koi ajooba nahi jo anpadhh likh jaye
Kya baat karte ho ghatte aur naffe ki ai Vijay
Wo Bewaffa bhi kya jo apne thhikane tik jaye.

Dev Sir hamare liye ye sauda nahi maan liya
Un haseeno se ek baar poochh kar to dekho
Woh jab bhi bataynge raaj-e-mohabbat apna
Pyar and saude to zaraa dil se soch kar dekho
 
Har raah par usnei hamare pehrre laga diye
Ghutt-2 karr bolo koi kab tak jiye
Aaazad panchhi jaissa dil hei mera
Dil toddne ke bhi lakhon bahaane bana diye.
 
kissa ishk ka

bewafa to ham bhi na the,
aur wafa hame bhi na mili,
wo pehla sabak tha,
ab mastari ho gayi.

bhai vijay
yehi jivan ka dastur hai.

hemendra dagar

vijay said:
Hi all,

This is my personal gazal written by me. Please contribute here your thoughts.

Wafa aur mohabbat ki tawwako ki unse
Hum hasino ki fitrat se kitne anjaan the.

Kinara kiya sabse sirf unki chahat main
Warna duniya main hamare kitne kadardaan the

Ek suhana safar bhi gujra hai is zindagi ka
Us daur main hum par wo kitne meharbaan the

Begano ki bheed main apne se dikhne wale
Ab samajh mein aaya wo kitne be-imaan the

Kisi se kabhi shikwa kiya bhi to kya
Hamare shabd bhi to kitne bejubaan the

Jamana bura hai aur kitne masoom hai woh
Ye sochkar hum khamkhan kitne pareshaan the

Kisi ki hifazat karte hue khud lut gaye
'Vijay' har daur main kitne nadaan the
 
HemendraDagar said:
bewafa to ham bhi na the,
aur wafa hame bhi na mili,
wo pehla sabak tha,
ab mastari ho gayi.

bhai vijay
yehi jivan ka dastur hai.

hemendra dagar

Kya dastuur bataya bhai...........?/ Konya samajh mei aai......Vistaar se batane ka kasht karengge Dagar saheb?
 
devdahiya said:
Har raah par usnei hamare pehrre laga diye
Ghutt-2 karr bolo koi kab tak jiye
Aaazad panchhi jaissa dil hei mera
Dil toddne ke bhi lakhon bahaane bana diye.

Unke pahre kya rokenge humen ab
Ye azzad jeeavn hi to bus apna hai
Kitne aaye aur chale gaye yahan se
Jo pal gujar gaya woh ek sapna hai
 
Humne ye duniya dekhi hai is tarah
Zinda hai log yahan maar ke imaan ko
Insaaniyat yahan ansoo baha rahi hai
Log pooj rahen hain yahan kisi be-imaan ko
 
vijay said:
Humne ye duniya dekhi hai is tarah
Zinda hai log yahan maar ke imaan ko
Insaaniyat yahan ansoo baha rahi hai
Log pooj rahen hain yahan kisi be-imaan ko

Har taraff hei khanjjarron ka bolbala is jgah
Kon kehta hei yahan pe koi bhi hei ikk sagga
Matlabi duniya yahan ke logg bhi hein matlabbi
Koi yahan pe luut jata,koi jata hei thhagga.
 
devdahiya said:
Har taraff hei khanjjarron ka bolbala is jgah
Kon kehta hei yahan pe koi bhi hei ikk sagga
Matlabi duniya yahan ke logg bhi hein matlabbi
Koi yahan pe luut jata,koi jata hei thhagga.

Ye duniya hai beimaano ki insaniyat yahan bikti hai
Dil aur jazbaat ka yahan har pal sauda hota hai
Kis par yahan yakeen karen kis par naa karen hum
Yahi sawal har waqt mere jehan mein paida hota hai
 
tau ka jawabb

"khudi ko buland kar itna ke khuda bande se khud poochhe bata teri raza kya hai"

tau ka praudh shiksha ka karyakram chaalle tha. jab tau ne yo padhya te us ne bera patya, te tau bolya, is ke meaning te bahut hi simple
se.

Tau mansarovar ki yatra kaiyee ber karya tha. himalaya pe kaiyee ber chdhyaa tha. te tau bolya:

"E insann tu itni tarakki kar, aur itni tarakki kar, aur tarakki karte karte himalya pe chadha ja, te himalaya pe chadhte-2 mount everest pe bhi tiranga ne fahra de, aur jab uda ne tanne thundd laage gi te pher khuda tere te khud puchhe ga, ek maanuss eeb bol ek batta teri razayee kahan hai? adda ne me bhi aya tha per ke bataaunn razaayee ne ghar chhod aya tha"
 
sktewatia said:
"khudi ko buland kar itna ke khuda bande se khud poochhe bata teri raza kya hai"

"E insann tu itni tarakki kar, aur itni tarakki kar, aur tarakki karte karte himalya pe chadha ja, te himalaya pe chadhte-2 mount everest pe bhi tiranga ne fahra de, aur jab uda ne tanne thundd laage gi te pher khuda tere te khud puchhe ga, ek maanuss eeb bol ek batta teri razayee kahan hai? adda ne me bhi aya tha per ke bataaunn razaayee ne ghar chhod aya tha"
haahahah tewati a saab,,,,, majey karr diyey,,,,,, nu kehwega,,,,,,,,,,,,, razaa - to ibb yayey sey,,,,,, meri REZZAY aali razaie de de.... heeheheh khi khi
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top