Kapil bhai, vote de to dein lekin kisko. Anna aur uski team ka corruption se ladne ka method hi fail hai..Ye Lokpal bill koi jaadu ki chaddi thodi na hai ki chalayi aur sab change. Ye to is lokpal bill ko aise project kar rahe hain ki jaise koi Bollywood movie hai,, jisme bahut saare villain hain aur ek hero "Lokpal Bill" aayega aur saab corruption ko khatam kar dega.. Bhai ye to aapko bhi pata hoga,, is kya farak hone wala hai.. Is Lokpal bill se doogna chuna jaroor lag sakta hai...
Ye Lokpal bill to ek aur mamoth bureaucracy ko badhava dega.. itne loggon ko employ karne ka kharcha kahan se aayega.. Pehle existing bureaucracy ko to dekh lo..
Usme khamkha ki duniya bhar rakhi hai,, jinka koi lena dena nahi hai,, desh ke kaamo se.. Yadi dhung se calculate karo to ye mere hisab se corruption se bhi bada chuna lagta hai desh ko..
Lokpal bill ombudsman ke employee bhi ussi ratio se recruit honge jitne sarkari naukar filhaal hain sarkaar mei.
App root cause ko address kar nahi rahe ho,, waise apne mangadant baaton se logon ko behka rahe ho.. Itne baade decison ko lene se pehle studies to karni chahiye..kya fayda hai aur kya nuksaan..
Emotional hoke ya phir strict hoke solution kahan se nikalne wala hai.