Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
Nice thoughts, Suneet !

pyar karna hi kafi nahi hia use samjhna bhi jaruri hia
aaj wo meri bahut pass hia, par na jaane kyu lagta hia bahut duri hia
wo kasme wo baade jo humne kiye hia saath me
magar meri jaa unhe nibhana bhi jarrui hia
hum chal to diye hai haath dale ek durse ke haath me
safar itna muskil bhi nahi magar hamara saath chalna jaruri hia
jo rista banaya hai humne dil ka
use nibahana bhi jaruri hia................................
pyar karna hi kafi nahi use samjhna bhi jaruri hia

Woh aur honge jo pyar mein khaate hain kasme
Hamaare liye to bas ye pyar hi eek waada hai
Beech raah saath chhodna hamari fitrat nahin
Manzil mil hi jaayegi jab humne kiya iraada hai
 
Kabhi aakhon hi aakhon mein kaha maan leta....
Bina bole hi dil ki baat aksar jaan leta hai..........
Wo ladta hai jhagadta hai sataata hai kabhi mujhko........
Main hansti hoon to dil ke dard ko pehchaan leta hai........:)
 
Last edited by a moderator:
pyar karna hi kafi nahi hia use samjhna bhi jaruri hia
aaj wo meri bahut pass hia, par na jaane kyu lagta hia bahut duri hia
wo kasme wo baade jo humne kiye hia saath me
magar meri jaa unhe nibhana bhi jarrui hia
hum chal to diye hai haath dale ek durse ke haath me
safar itna muskil bhi nahi magar hamara saath chalna jaruri hia
jo rista banaya hai humne dil ka
use nibahana bhi jaruri hia................................
pyar karna hi kafi nahi use samjhna bhi jaruri hia
Haan ye sach hai
Maine pyaar kiya.........
Na socha na samjha
Bus dil ko bekaraar kiya
Jaan kar sab kuch
Kuch bhi na jaana
Bus dil hi dil mein tumhein yaad kiya.........
Jaane kabse magar tumse
Haan ye sach hai
Maine pyaar kiya........
:)
 
Hi Priya....
Nice one.........
:)

Haan ye sach hai
Maine pyaar kiya.........
Na socha na samjha
Bus dil ko bekaraar kiya
Jaan kar sab kuch
Kuch bhi na jaana
Bus dil hi dil mein tumhein yaad kiya.........
Jaane kabse magar tumse
Haan ye sach hai
Maine pyaar kiya........
:)
 
Kabhi chehre ke muskan to kabhi aasuoon ki barsaat hai zindagi
Kabhi khubsurat dastan to kabhi dil mein chupe jasbaat hai zindagi
Kabhi aakhri padav to kabhi fir se naye shuruvaat hai zindagi
Kabhi sedha sa safar to kabhi pal-pal badalte halat hai zindagi
 
Bahut achha likha hai swati...very nice:)
Kabhi aakhon hi aakhon mein kaha maan leta....
Bina bole hi dil ki baat aksar jaan leta hai..........
Wo ladta hai jhagadta hai sataata hai kabhi mujhko........
Main hansti hoon to dil ke dard ko pehchaan leta hai........:)
Woh jo dhadkanoon ke gati se jaan leta hai
Band palkoon se bhi hame pehchaan leta hai
Bahut pyaar ata hai us masoom dilbar par
Jo dil ki gehraaiyoon se mera naam leta hai
 
Too gud.............beautiful lines:)

Aaj jana kya hota hai pyaar

Woh kahte hain hum na ikraar karenge aapse
Bas apni zid par hain ki bekraar karenge aapse
Ek baar hamaari zindagi mein aa jaaoge agar
Umar bhar hum pyaar beshumar karenge aapse

Aaj jana kya hota hai pyaar

Bin dekhe bin jaane ye bhi kya mohabbat hai
Ek naam ko dil de diya ye bhi kya sharaafat hai
Dilwale wada karke kabhi bhulate nahin hain
Pyar ka izhaar nahin ye bhi kya shikaayat hai

Aaj jana kya hota hai pyaar

Ye chaar din ki zindagi yun hi gujar jaayegi
Ruthne manane se mohabbat bikhar jaayegi
Waqt laut kar fir nahin aane walaa kabhi bhi
Agar mila pyaar yahan zindagi nikhar jaayegi

Aaj jana kya hota hai pyaar
 
Kabhi chehre ke muskan to kabhi aasuoon ki barsaat hai zindagi
Kabhi khubsurat dastan to kabhi dil mein chupe jasbaat hai zindagi
Kabhi aakhri padav to kabhi fir se naye shuruvaat hai zindagi
Kabhi sedha sa safar to kabhi pal-pal badalte halat hai zindagi

Kabhi sapno ki baarat to kabhi adhoori mulakaat zindagi
Kabhi pyara sa armaan to kabhi ankahe zazbaat zindagi
Eek pal to aise lage ki mil gai apne sapno ki manzil aaj
Dusre hi pal toot kar bikhre hue sapno ki kaynaat zindagi
 
Tere kayadoon par chalne se tha kab mujhe inkar
Tere kiye gaye faisloon par tha poora aitbaar
Aaj hoon khafa jaane tu kahan le aaye hai mujhe
Varna zindagi kabhi tha mujhe tujhse bahut pyaar
 
Tere kayadoon par chalne se tha kab mujhe inkar
Tere kiye gaye faisloon par tha poora aitbaar
Aaj hoon khafa jaane tu kahan le aaye hai mujhe
Varna zindagi kabhi tha mujhe tujhse bahut pyaar

Zindagi ke faisle to bus ye waqt hi karta hai
Har insaan yahan apne aap se hi darta hai
Na jaane kiske haath mein likhi kiski taqdeer
Ab kahne ko to yahan koi kisi par marta hai
 
Zindagi ke faisle to bus ye waqt hi karta hai
Har insaan yahan apne aap se hi darta hai
Na jaane kiske haath mein likhi kiski taqdeer
Ab kahne ko to yahan koi kisi par marta hai
Aaj fir mere aangan mein aakar muskuraane lage
meri tanhaai mein khubsurat mehfil sajane lage
Mujh ruthe hui ko bade pyaar se manane lage
jaane kyo zindagi mujh par raham khaane lage
 
All of you are writing soo good and pleasurable...keep it going like that..i'm enjoying reading all this...:)

Now for me "Zindagi" is something like that.....may be i would like to tell it more elaborately some day with some more additions...not sure about it...but right now i've only this to share with you all...

Jeene ki ek chaah ek umang hai zindagi
Jeet ke liye sangharsh karte rahna hai zindagi
Kisi pe sab kuch vaar dena bhi zindagi hai
Har pal mein ek nayi seekh hai zindagi

so live and enjoy the life in every situation the way it comes to you :)

Har pal ko jeeta chal raahi
Ek din to tu apni manzil paayega
Kya pata kab kaunsa
Khushiyan ka dwaar khul jaayega

This is what all i feel about :)
 
Aaj fir mere aangan mein aakar muskuraane lage
meri tanhaai mein khubsurat mehfil sajane lage
Mujh ruthe hui ko bade pyaar se manane lage
jaane kyo zindagi mujh par raham khaane lage

Woh eek muskurahat zinadagi ke baraabar hai
Jise een hothon tak laane mein zamaane lage
Humse ruth kar tum bhi kahaan chain paaoge
Mohabbat ki nai duniyan ab hum sajaane lage
 
Woh eek muskurahat zinadagi ke baraabar hai
Jise een hothon tak laane mein zamaane lage
Humse ruth kar tum bhi kahaan chain paaoge
Mohabbat ki nai duniyan ab hum sajaane lage

Aap mohabbat ki nayi duniya sajaane lage
Har taraf chahat ke diye jagmajaane lage
Ho mubarak aapko ye naya safar
Jahan aap zindagi ke sang muskurane lage
 
Jiske yaadon se khud ko door le jaate rahe
Use ko mere dil mein har pal basate rahe
Dekh kar ye uljhan aur bebase mere
Zindagi tu mand-mand muskuraate rahe
 
Jiske yaadon se khud ko door le jaate rahe
Use ko mere dil mein har pal basate rahe
Dekh kar ye uljhan aur bebase mere
Zindagi tu mand-mand muskuraate rahe

Kaise bhool paayenge hum woh haseen lahme
Yaadon ke pal kab kahan dil se door hote hain
Aab chaahe Koi kitna bhi door chalaa jaaye
Har pal use yaad karne ko mazboor hote hain
 
Mana hai kathin jeevan ka safar
Anjaan hai manzil bhi teri agar
Par kaise mushkil aur kaise fikar
Jab zindagi khud hai teri hamsafar
 
Mana hai kathin jeevan ka safar
Anjaan hai manzil bhi teri agar
Par kaise mushkil aur kaise fikar
Jab zindagi khud hai teri hamsafar

Chal padaa hai raahi zindgai ke safar mein
Koi hamsafar nahin aur manzil bhi door hai
Waqt ki dhoop mein chalne ka naam zindagi
Dil mein manzil paane ka housla jaroor hai
 
Chal padaa hai raahi zindgai ke safar mein
Koi hamsafar nahin aur manzil bhi door hai
Waqt ki dhoop mein chalne ka naam zindagi
Dil mein manzil paane ka housla jaroor hai
Agar dil mein hausle ho buland
Aur manzil ko paane ki ho umag
Kisi ek humsafar ki zaroorat nahin
Sara jahan hoga 'vijay' ke sang
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top