Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
Aisi yaadon ko to bhool jaayenge hum hamesha
Jis din honge kisi apne ki baahon mein
Aur tab aayenge hum iss zamaane ko yaad
Ki thi koi naznee kabhi kisike jeevan mein

Yaade nahin bhulaai jaa sakengi kabhi
Chahe koi rahe kisi ki bhi baahon mein
Har mod par bahut sambhal ke mudna
Na jaane kaun khada ho raahon mein
 
Yaade nahin bhulaai jaa sakengi kabhi
Chahe koi rahe kisi ki bhi baahon mein

Jab ho jaate hain hum duniya mein vyast
To samjho rah jaati hain yaadein kahin kone mein
Fir hota hai bas jimmevariyon ka khayal
Aur kuch rahta nahin kisi ki baaton mein


Har mod par bahut sambhal ke mudna
Na jaane kaun khada ho raahon mein

Maud pe kya raah pe bhi sambhal ke chalte hain
Koi galat raah naa pakad len uska bhi dhyan rakhte hain
Aur kismat mein likha hai jitna humari
Isko bhi apni soch mein kahin na kahin rakhte hain
 
Last edited:
Maud pe kya raah pe bhi sambhal ke chalte hain
Koi galat raah naa pakad len uska bhi dhyan rakhte hain
Aur kismat mein likha hai jitna humari
Isko bhi apni soch mein kahin na kahin rakhte hain


Agar shambhal kar chalte ees zindagi ki raahon mein
To jisko kho diyaa woh aaj bhi tumharaa apnaa hota
Kismat mein kiske kya likhaa hai kuan janta hai yahan
Shaayad sach bhi ho jaata jo kisi dilbar ka sapnaa hota
 
koi tujhse bhi kaash tujhko miley,
muddaa mera intkaam sey hai...


Seene mein ye itni nafrat kiske liye hai
Jo waada karke bhi mukar gaye unke liye
Unke waade jhuthe hain ya tum ho nadaan
Apni mohabbat lutaadi kisi bewafaa ke liye
 
uamr bhar ke liye saza de jaate hain
jaane kyo log bewafaa ho jaate hain

Umar bhar ki ye sazaa bhi hai kabool humen
Bus ek baar woh kah dete humse mohabbat thi
Ees waqt ne saath nahin diya ye aur baat hai
Kum se kum apke faisle mein jhalakti ek sharafat thi
 
Last edited:
Umar bhar ki ye sazaa bhi hai kabool humen
Bus ek baar woh kah dete humse mohabbat thi
Ees waqt ne saath nahin diya ye aur baat hai
Kum se kum apke faisle jhalakti ek sharafat thi

Waqt kab deta hai kise ka saath
yahan kiske savarte hain halat
hai ye sab mumkin tabhi
jab ho dibar ka hathon mein hath
 
Waqt kab deta hai kise ka saath
yahan kiske savarte hain halat
hai ye sab mumkin tabhi
jab ho dibar ka hathon mein hath


Waqt saath deta hai sirf himmat waalon ka
Zindagi ke saath badal jaate hain halaat
Agar ho dilbar ka pyar saath is jahan mein
To badal jate hain ees duniyan ke khayalaat
 
Seene mein ye itni nafrat kiske liye hai
Jo waada karke bhi mukar gaye unke liye
Unke waade jhuthe hain ya tum ho nadaan
Apni mohabbat lutaadi kisi bewafaa ke liye

jo mila hai unse wo dil ke paas rahega
wafa ho ya bewafai jo bhi ho sab yaad rahega
nadaani na samajhiye ye to hai pyaar mera
mai uski ho chuki jo na kabhi mera hoga..........

na dard hota hai ab na hi ashk behte hain
na jaane kyun uska hum intezaar karte hain.........
 
Waqt saath deta hai sirf himmat waalon ka
Zindagi ke saath badal jaate hain halaat
Agar ho dilbar ka pyar saath is jahan mein
To badal jate hain ees duniyan ke khayalaat

Na halat badalte hain, na khayalat badalte hain
Jo barsaaye pyaar, ase dilbar kahan milte hain:)
 
Ye aapka dil kyon dhadkata hai ab yahan bar bar
Ab ye mat kahna ki apko bhi kisi se mohabbat hai

Karein mohabbat, ase bhi hum nadan nahin
tadpe dil sada, asa koi hamein armaan nahin
bewafaai he milege, is sach se hum anjaan nahi
de sacha pyar, asa yahan koi kadardaan nahin:)
 
Jab saath mein ho apna dilbar
Fir badli si lagti hai ye duniya
Lakh dushman ho zamana fir bhi
Bus apni si lagti hai ye duniya

Dilbar milte hain, lekin khwaboon mein
Mohabbat hote hain, sirf kitaboon mein
Yahi hai hakikat,nahin guzarte zindagi
Mere dost in sawaloon-jawaboon mein
 
Karein mohabbat, ase bhi hum nadan nahin
tadpe dil sada, asa koi hamein armaan nahin
bewafaai he milege, is sach se hum anjaan nahi
de sacha pyar, asa yahan koi kadardaan nahin:)

Nadaan nahin hote mohabbat karne waale
Aapne Kabhi kisi se ye dil lagaaya to hota
Har koi bewafaa nahin hota duniyan mein
Kabhi eek baar kisi ko aajmaaya to hota
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top