Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
Kab tak yun umeed ke sahare jee paoge
Bhahaar ki aas mein patjhad mein jhulas jaoge
behatar hoga agar haqiqat ko samjho
tabhi khwabo se nikalkar apni zindagi bana paoge ;)

Kisi ki jhuthi umeed mein jeene waale aur honge
Ess patjhad mein to humen jhukaane ka dum nahin
Khawaab hi to haqeeqat bante hai yahan ek din
Jo ess duniyan ke aage jhuk jaaye woh hum nahin
 
Hello friends!!

All my dear friends are writing sooooo good that again i'm enjoying such type of thread....good work by everyone's side.....keep it up dear friends!!...aur Anil bhi itni acchi shayari kar leta hai aaj pata chala....bahaut badhiya bhateeje...bhua khush kar di :D ....and Dev Sir is my all time favourite :) ...ab thora sa meri taraf se bhi....

Ye yadon ke pal hote hain aise
Kabhi to hansate hume
Kabhi ye rualte hain
Lekin jaise bhi hon
Kisi ki yaad dilate hume

Pyar ki baat to aisi hai yaaron
Kitna bhi bacho ye ho hi jata hai
Lekin ye pyaar kya hai
Isko kya koi samjha pata hai

Sacchi mohabbat sirf apnon se hoti hai
Jinhone di hai ek pehchan humko
Unke aage to sabkuch kurbaan
Bhool jaate hain tab hum khud ko

Aage ke liye bhi kuch pal jud jaayenge
Jinhe hum abhi yahan bitaayenge
Aur kal kahin aur jaake yaadon mein laayenge
Lekin dil se na kabhi kisi ko bhulayenge

Nice composition, Neelam !

Ye yadon ke pal hote hain aise
Kabhi to hansate hume
Kabhi ye rualte hain
...............
...............
Aage ke liye bhi kuch pal jud jaayenge
Jinhe hum abhi yahan bitaayenge
Aur kal kahin aur jaake yaadon mein laayenge
Lekin dil se na kabhi kisi ko bhulayenge

En yaadon ke palon ko seene se lagaaye rakhna
Na jaane kab kis mod par fir kabhi maluakaat ho
Yaadon se to waqt rook jata hai kuchh pal ke liye
Kaun jaane agar mile kabhi to kiske kya halaat ho
 
En yaadon ke palon ko seene se lagaaye rakhna
Na jaane kab kis mod par fir kabhi maluakaat ho
Yaadon se to waqt rook jata hai kuchh pal ke liye
Kaun jaane agar mile kabhi to kiske kya halaat ho

Sab gujjar jata hei dhuwein ki trah,sirff kuchh yadein reh jaati hein
Ye tutte huwe dil ki dhaddkan hi aakhir saath nibhati hein
Jab yaad karta huun gujjare huwe jammane ki ei mere yaar
Tou aaj ki koi bhi khhushi uss khayall ko nahi bhar paati hei

Na jaane kittne sappne bikhar gaye aur kittne appne kho gaye
Vaydda karke sangg rehne ka,Sabhi idhar-udhar ho gaye
Abb bhi wahi hota hei harr pal har kaddam
Laggta hei hum nakarra ho gaye.
 
Yaadein to dil ke kone mein ghar banati hain
Aur phir baaton baaton mein ubhar jaati hain
Lekin kai baar ho jaate hain hum itne vyast
Ki saamne aane pe hi fir se ye taza hoti hain
 
Jo gujar gaya kabhi woh bhi kya haseen zamaana tha
Ye hamaara dil bhi us waqt kisi ke liye deewaana tha
Woh bhi din yaad aate hain bar bar kisi sapne ki tarah
Aaj aisa lagta hai mujhe main apno mein begaana tha
 
Yaadein to dil ke kone mein ghar banati hain
Aur phir baaton baaton mein ubhar jaati hain
Lekin kai baar ho jaate hain hum itne vyast
Ki saamne aane pe hi fir se ye taza hoti hain

En yaadon ko to aap na mita paayenge kabhi
Jab bhi hume bhoologe yaad aayenge tabhi
Humne mohabbat likh di waqt ke itihaas mein
Jise padhkar hamesha hum yaad aayenge kabhi
 
Jo gujar gaya kabhi woh bhi kya haseen zamaana tha
Ye hamaara dil bhi us waqt kisi ke liye deewaana tha
Woh bhi din yaad aate hain bar bar kisi sapne ki tarah
Aaj aisa lagta hai mujhe main apno mein begaana tha

Hichkiyan bhi nahin aati mujhe ke sochhun kisi nei pukara mujhjhe
Gujjrre jammane ke dard nei ye sochte-2 gujjara mujhjhe
Har kahani hi ek fassana thi tou firr batta ei Vijay
Kittani kahanni sunaun mein tujhjhe.
 
Woh yaad bhi aate hain humen bina kisi hichki ke
Dard bhi diya humko jo kabhi bhulaa nahin sakte
Hamari mohabbat hi aisi hai woh kya shamjhenge
Us rulaane waale ko hum kabhi rulaa nahin sakte
 
Last edited:
Woh yaad bhi aate hain humen bina kisi hichki ke
Dard bhi diya humko jo kabhi bhulaa nahin sakte
Hamari mohabbat hi aisi hai woh kya shamjhenge
Us rulaane waale to hum kabhi rulaa nahin sakte

Khulta hei jab-2 yaddon ka jhharoka
Milta hei bahanna ronne ka annokha
Khatti-meethhi yaddon ka jhharna
Laggta hei behne....milte hi maukka.
 
Khulta hei jab-2 yaddon ka jhharoka
Milta hei bahanna ronne ka annokha
Khatti-meethhi yaddon ka jhharna
Laggta hei behne....milte hi maukka.

Kaise bhoola paayenge hum unko kabhi
Har pal baste hain jo een khayalon mein
Kitna lamba hai aahkir ye judaai ka safar
Jawaab dhoondhte hai unke sawalon mein
 
Kaise bhoola paayenge hum unko kabhi
Har pal baste hain jo een khayalon mein
Kitna lamba hai aahkir ye judaai ka safar
Jawaab dhoondhte hai unke sawalon mein

Tumhare ishq mei hum aahein bharra karte thhe
Tumhari har adda pe dilo-jaan se marte thhe
Abb uss raste pe jata hi nahin mere yaar
Jis raste pe hum tumhara ghhntton intezar karte thhe.
 
Tumhare ishq mei hum aahein bharra karte thhe
Tumhari har adda pe dilo-jaan se marte thhe
Abb uss raste pe jata hi nahin mere yaar
Jis raste pe hum tumhara ghhntton intezar karte thhe.

Ab to unki woh nazren bhi badal gai
Jin palkon mein kabhi hum baste the
Aaj duniyan hansti hai deewaano par
Kabhi hum ess duniyan par hanste the
 
Ab to unki woh nazren bhi badal gai
Jin palkon mein kabhi hum baste the
Aaj duniyan hansti hai deewaano par
Kabhi hum ess duniyan par hanste the

Wo milte thhe humko kahani ban kar
Dil mei rehte thhe nishani ban kar
Lekin jab bassaya unnko apni aankhkhon mein
Wo beh gaye dekho paani ban kar.
 
Wo milte thhe humko kahani ban kar
Dil mei rehte thhe nishani ban kar
Lekin jab bassaya unnko apni aankhkhon mein
Wo beh gaye dekho paani ban kar.

Woh kahani nahin to aur kya thi
Jo pyar ki ek jhuthi dastan bani
Chura kar le gai jo sab khushiyan
Ye zindagi jaise koi ahsaan bani
 
Woh kahani nahin to aur kya thi
Jo pyar ki ek jhuthi dastan bani
Chura kar le gai jo sab khushiyan
Ye zindagi jaise koi ahsaan bani

Humnei mangga tha saath unka
Wo tanhai de gaye
hum jee lete unki yadon ke sahare
Par wo bhool jaane ki kasam de gaye.
 
Humnei mangga tha saath unka
Wo tanhai de gaye
hum jee lete unki yadon ke sahare
Par wo bhool jaane ki kasam de gaye.

Kab tak woh saath chalta hamaare
Unko to saath nibhaane ki aadat nahin
Ab woh yaad bhi kaise nahin aayenge
Humen bhi bhool jaane ki aadat nahin
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top