Zakhm-e-dil

Status
Not open for further replies.
Wah Miya wah, yaha to Sher, sava sher oor ded sher, sare ke sare hai,

A big Salaam to you all.

Writting very good stuff, keep it up. but be Cheerful.

Hearty best wishes to you all.

Pahal
 
By: Mr. Pahal "keep it up. but be Cheerful."

Ooops....
I thought this thread was dedicated to '.Zakhmi' ones only??????
Please correct me if I'm wrong.
 
Bhai re

:eek:Bhai re kati Zakhmi lag ra...:D:p;)

"Bhai re" - padhne walo ke liye hai ya likhne wale ke liye????
Agar likhne wale ke liye hai toh correction please:

"Bobbow hay katayi Jakhami lag rhi"

isse baat pe ek hor sahi:

Kaash kaheen aisa hota, ki doo dil hotay seenay mai;
ik toot bhi jaata ishq me toh, taqleef na hooti jeenay mai
 
shamli ke dhorre ek gaam hai "badhey".....wahan ke deekho aap...................:)
 
Read it some where..felt like sharing with u all

tu jo badla badal gaye hum bhi
pyar kartay thay bandgi to nahi
waqt kat hi jaye ga bahar soorat
tu koi shart-e-zindgi to nahi
 
Aadat si ho Gayi hai :)

Ankhon ko intezaar ki adat si ho gai,
Yani khayal-e-yar ki adat si ho gai,

Ab dosra milay bi to dil maanta nahi,
Hum ko to us ke pyaar ki adat si ho gai,

Wo jhoot bi bolay to usay maantay hain sach,
Us per to Aitbaar ki adat si ho gai,

Ab dhoop main kahin bi milti nahi hai chaaon,
Mujh ko to to Zulf-e-yar ki adat si ho gai,

Khushian agr milay bi to hum ghum per waaar dey,
Ghattay ke Karoobar ki adat si ho gai....

Rag rag me teri hokar bhi tujhse judaa rahi
Main bewafaa nahi thi magar bewafaa rahi...
 
bhai kadaniya kad le hain kyu dhuki ho raha hai soch soch ke je tere pe naa likda to kun saa test pass kerna hai ye samaj ke. enjoy ker baki taagaan me
:)

sorry for interruption .... bus ek baat poochni thi ki inka kuch matlab bi nikalta hai kya :confused:
 
sorry for interruption .... bus ek baat poochni thi ki inka kuch matlab bi nikalta hai kya :confused:

Hello Dear,
Yes ofcourse it means a lot for me but it may not mean anything for you.
Such feelings may vary person to person but that doesn't means that
in sabka koi matlab nahi nikalta kyunki conditions or situations may be different
at your side... So jst enjoy reading the stuffs...:)
 
hmm sach mai...

kuch or mile to likh bhejna
hume bhi aise shayro ko jhelne ki aadat si ho gayi hia...

Hello Dear,
Yes ofcourse it means a lot for me but it may not mean anything for you.
Such feelings may vary person to person but that doesn't means that
in sabka koi matlab nahi nikalta kyunki conditions or situations may be different
at your side... So jst enjoy reading the stuffs...:)
 
Itna jaldi daaman chhod diya,
Itna Jaldi vaada tod diya,
Abhi to zindagi kI sansein hai baaki,
Aur aapne abhi se YAAD karna chhod diya..:)
 
2

Kisi ne likha hai to apsabko padhne ke liyeh chep raha hun.

जब कोई ख्याल दिल से टकराता है ॥
दिल ना चाह कर भी, खामोश रह जाता है ॥
कोई सब कुछ कहकर, प्यार जताता है॥
कोई कुछ ना कहकर भी, सब बोल जाता है ॥
 
3

"Tanhaiyo me muskurana ishq hai,
ek baat ko sab se chhupana ishq hai,
yu to nind nahi aati hume rat bhar,
magar sote sote jagna or jagte jagte sona ishq hai."
 
4

आँखों के इंतज़ार का दे कर हुनर चला गया,
चाहा था एक शख़्स को जाने किधर चला गया।

दिन की वो महफिलें गईं, रातों के रतजगे गए
कोई समेट कर मेरे शाम-ओ-सहर चला गया।

झोंका है एक बहार का रंग-ए-ख़याल यार भी,
हर-सू बिखर-बिखर गई ख़ुशबू जिधर चला गया।

उसके ही दम से दिल में आज धूप भी चाँदनी भी है,
देके वो अपनी याद के शम्स-ओ-क़मर चला गया

कूचा-ब-कूचा दर-ब-दर कब से भटक रहा है दिल,
हमको भुला के राह वो अपनी डगर चला गया।
​
 
आँखों के इंतज़ार का दे कर हुनर चला गया,​

चाहा था एक शख़्स को जाने किधर चला गया।​

दिन की वो महफिलें गईं, रातों के रतजगे गए
कोई समेट कर मेरे शाम-ओ-सहर चला गया।​

झोंका है एक बहार का रंग-ए-ख़याल यार भी,
हर-सू बिखर-बिखर गई ख़ुशबू जिधर चला गया।​

उसके ही दम से दिल में आज धूप भी चाँदनी भी है,
देके वो अपनी याद के शम्स-ओ-क़मर चला गया​

कूचा-ब-कूचा दर-ब-दर कब से भटक रहा है दिल,​

हमको भुला के राह वो अपनी डगर चला गया।​

Be vajah dil pe koi bojh na bhari rakhiye,
Zindagi jung hai, is jung ko zaari rakhiye!
Kalam se likha jaayega na is waqt ka haal
Ab toh haathon main koi tez katari rakhiye !!
Ragards​
 
Last edited:
Be vajah dil pe koi bojh na bhari rakhiye, ​

Zindagi jung hai, is jung ko zaari rakhiye!
Kalam se likha jaayega na is waqt ka haal
Ab toh haathon main koi tez katari rakhiye !!​

Ragards​

Yaaden ke pal kabhi bojh nahin hote
Dil se lagakar koi ek bimaari rakhiye ||

Ees Mohabbat ka anjaam ek jung na ho
Kabhi itni si baat to hamaari rakhiye ||

Itihaas to kalam se hi likhe jayenge
Beshaq khooon se bhari shyahi rakhiye ||

Jubaan se kiziye har-su aman ka elaan
Dil mein chahe mausam-e tabaahi rakhiye ||
 
Vijay Ji bahut badiya!

Par

Dil gumsum, zubaan khamosh ,
Yeh aankhein num kyun hain?
Jo apne hue hi nahin,
Unhein kho dene ka gum kyun hai?

Regards
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top