After hate thread

Status
Not open for further replies.
Khuda kare, hindustan ke sab aasiq aap jaise hon
sukha jab gire, wo sab asqon ke dayaya bahayen
kasti wale duayen denge aapko manzil pe jaane ki
aur huma dua denge, janab kheto me bahar aane ki

hihihih....

RK^2

ashikon ki mahfil me aksar ashq bahte hain
Vo yahan nahin kissi or duniya me rahte hain
Vaise to mohabbat unko priya ki har baat se hai,
par vastav me ye isq unko apne jazzbatt se hai
 
ashikon ki mahfil me aksar ashq bahte hain
Vo yahan nahin kissi or duniya me rahte hain
Vaise to mohabbat unko priya ki har baat se hai,
par vastav me ye isq unko apne jazzbatt se hai

Harr koi hei aashik kissi na kissi cheez ka
Koi pyar ka,koi bahar ka tou koi pent-kameez ka
Koi rota hei pyar mei dhoka kha kar tou koi luut jaane par daulat
Uppar wala kahan detta hei kissi ko appni marjji se jinne ki mohollat.
 
ashikon ki mahfil me aksar ashq bahte hain
Vo yahan nahin kissi or duniya me rahte hain
Vaise to mohabbat unko priya ki har baat se hai,
par vastav me ye isq unko apne jazzbatt se hai

Tum kya samjhoge is ishq ki dastan
Ye to mere is dil ke khayaalon mein hai
Bhula diya humne ye jamaana jiske liye
Woh abhi tak mere dil ke swaalon mein hai

*swalon=questions=====sawal ( Hindi )
 
Tum kya samjhoge is ishq ki dastan
Ye to mere is dil ke khayaalon mein hai
Bhula diya humne ye jamaana jiske liye
Woh abhi tak mere dil ke swaalon mein hait
*swalon=questions=====sawal ( Hindi )

Ishq kissi ko kya samjaoge jo khud hi mat kha gaye
Vo is jamane me rahe tum jamane ko hi bhoola gaye
khyaalon khavabon ki duniya se ashiq bahar nahi aate
Sachchi mahabbat pe kabhi ae dost sawal nahin uthate
 
Harr koi hei aashik kissi na kissi cheez ka
Koi pyar ka,koi bahar ka tou koi pent-kameez ka
Koi rota hei pyar mei dhoka kha kar tou koi luut jaane par daulat
Uppar wala kahan detta hei kissi ko appni marjji se jinne ki mohollat.

Upar vale se pooch kar kya tune mohabbat ki thi,
Kyon ektthi ki daulat kya upar wale ne tijori di thi
Pent kameej or mohabbat me thoda fark samfha hota
To shayad aaj sareaam yoon bevajah naa rota
 
Ishq kissi ko kya samjaoge jo khud hi mat kha gaye
Vo is jamane me rahe tum jamane ko hi bhoola gaye
khyaalon khavabon ki duniya se ashiq bahar nahi aate
Sachchi mahabbat pe kabhi ae dost sawal nahin uthate

Maat nahin khaye hum kisi ki mohabbat mein
Kaun unhe shamjhaye ki ye mohabbat kya hai
Ek waada kiya tha kabhi aaj bhi yaad hai humen
Woh kya jaane hamari chahat ki qayamat kya hai
 
Maat nahin khaye hum kisi ki mohabbat mein
Kaun unhe shamjhaye ki ye mohabbat kya hai
Ek waada kiya tha kabhi aaj bhi yaad hai humen
Woh kya jaane hamari chahat ki qayamat kya hai

Lagta hai kissi nadan se apna dil laga baithe,
Kissi ki bholi surat par yoon ilzaam laga baithe,
unki aadaaon ko mohaabat ka jama mat pahnaaoo,
wada tumne kiye tha isliye wada nibhaaoo
 
Tum ko paakar har ek khavab ko sanjoya hai maine,
Mohabbat ke mayne teri mohabbat ne sikhaye hain.
Nazaron ki bhasha se to hum dono hi anzaan na the,
Tere aagosh main aakar vo afsaane samajh aaye hain
 
Very Enjoyable

Bhaio, this shairo-shayyari is very enjoyable. We have lots of jat shayyars, some day a mushaira will be nice. Keep it up. I am sure there are lots of others who are not shayyars but enjoying this very much. My hats of to you guys and gals.
 
Pleasant surprise!!

Hausla-afzahi ke liye shukriya Arya sir. Aap bhi kuchh keh hi dijiye..irshaad irshaad..:)
 
Kaise maan len kabhi koi mohabbat me bhi loota hai,
jo ye kahta hai shayad vo nasamjh yaa jhootha hai
Duniyan ki har daulat pare rakh kar maohabbat ki hai
Vo kushi jo usne di daulat ne kabhi kahan di hai
Mohabbat ki hai to sode baaji se baaj aaoo
Usko hanste dekho kabhi apne ashq naa bahaoo.
 
asi palake mundni nahi jinke khulte hi vo juda ho jayega
dil me basa ke rakh liya h rat ko sapno me ake vo subah juda mujhse ho na payega
Aaj palak tu band ho ja
khawabo maine unn ki surat to nazar aaye gee
intazar to subah shuru ho jayega
kaam se kaam raat to khushi se kaat jaye gi(meri naa se kade ghane boolo)
 
asi palake mundni nahi jinke khulte hi vo juda ho jayega
dil me basa ke rakh liya h rat ko sapno me ake vo subah juda mujhse ho na payega

Aisi mohabbat naa karo ki aankhe khol kar sona pade,
Dil me hai to thoda etbaar karo ki chokidaar naa bannaa pade
 
Last edited:
shukriya lekin..

Welcome back Poonam

Mehfil me Chaand nikla hai to roshni hogi
Is chand ke baigar ye mehfil bhi adhuri thi

Roshni hoti hai chand se, sitaro se nahin
mehfil poori hoti hai shayari se, fatto se nahin,

(Disclaimer:fatte maine apne shero ko kaha hai..:D )
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top