ashiq shayri

Status
Not open for further replies.
Pyar ka izhaar kar do
Ab hum se nahi raha jaata
Likh ker hi iqraar ker lo
Agar hothon pe nahi aata


Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain
Kuch log isay bandagi kehte hain
Magar jin pay hain hum martay
Hum unhain zindagi kehte hain
 
yeh aur baat hai k zindagi meri wafa na kare !

Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
Mein tujhe bhool kar zinda rahoon Khuda na kare

Raheyga saath tera pyar zindagi ban kar
Yeh aur baat hai zindagi meri wafa na kare

Yeh theek hai nahee marta koi judaee mein
Khuda kisi ko kisi se magar juda na kare

Suna hai usko mohabbat duaein deti hai
Jo dil pe chot toh khaye magar gila na kare

Zamaana dekh chuka hai parrakh chuka hai ussay
"Qateel" jaan se jaaye per iltijja na kare !!!
 
Jaan-E-Intezar Aa Hi Gaya !!!

Kam Aakhir Jazbaa-E-Beikhtiar Aa Hi Gaya
Dil Kuch Is Tarhan Se Tarpa Un Ko Pyar Aa Hi Gaya

Jab Nigaheen Uth Gayein Allah re Miraj-E-Shauq
Dekhta Kya Hoon Woh Jaan-E-Intezar Aa Hi Gaya

Haan Saza De Aye Khudda-E-Ishq Aye Taufeeq-E-Gham
Phir Zubaan-E-Be Adab Par Zikar-E-Yaar Aa Hi Gaya

Jaan Hi De Di Jigar Ne Aaj Paa-E-Yaar Par
Umar Bhar Ki Beqarari Ko Qarar Aa Hi Gaya
 
Sarka yun naqab, unke chehre se
Nikla ho Chand jaise, undhere se
Dilo me jal gaye chirag un sabke,
jo aankhen lagaye the, savere se.

RK^2
 
A red, red rose

My luve's like a red, red rose,
That's newly sprung in June;
My luve's like the melodie
That's sweetly play'd in tune.

As fair art thou, my bonie lass,
So deep in luve am I,
And I will luve thee still, my Dear,
Till a' the seas gang dry

Till a' the seas gang dry, my Dear,
And the rocks melt wi' the sun:
I will luve thee still, my Dear,
While the sands o' life shall run.

And fare thee weel, my only Luve,
And fare thee weel a while!
And I will come again, my Luve,
Though it were ten thousand mile!
 
intezaar !

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai
Kahan ho tum, ke ye dil beqaraar aaj bhi hai

Wo waadiyaan wo fazaayen ke hum mile thay jahaan
Meri wafa ka wohi par-mazhaar aaj bhi hai

Na jaane dekh ke kyun unko ye huwa ehsaas
Ke mere dil pe unhe iqtiyaar aaj bhi hai

Wo pyar jiske liye humne chor di duniya
Wafa ki raah mein ghayal wo pyar aaj bhi hai

Yakeen nahi hai magar aaj bhi ye lagta hai
Meri talaash mein shayad bahaar aaj bhi hai
 
pyar-vyar ka to pata nahi per dard-e-dil ki dastan

[FONT=바탕]1).[/FONT]
[FONT=바탕]Waqt ne waqt se jab bhi dosti kii hai,[/FONT]
[FONT=바탕]Jala kaar ghar apna auron ko roshni dii hai,[/FONT]
[FONT=바탕]Aur saboot hai mere ghar mein dhue ke yeh dhabbe,[/FONT]
[FONT=바탕]Yahan bhi kabhi ujaalon ne khudkhushi kii hai.[/FONT]
[FONT=바탕][/FONT]
[FONT=바탕]2).[/FONT]
[FONT=바탕]Bas ek baar sahil kii ret par tera naam likha tha,[/FONT]
[FONT=바탕]Fir taa umr, hava se meri dushmani rahii.[/FONT]
[FONT=바탕][/FONT]
[FONT=바탕]3).[/FONT]
[FONT=바탕]Hamaari berukhii ne laaj rakh lii maikhaane kii,[/FONT]
[FONT=바탕]Hum aankhon se pilaa dete to paimaano kaa kya hota.[/FONT]
[FONT=바탕][/FONT]
[FONT=바탕]4).[/FONT]
[FONT=바탕]Gar bas jaate woh aankhon mein aansoo bankar,[/FONT]
[FONT=바탕]Khudaa ki kasam hum kabhii na rote.[/FONT]
 
nitinmaan said:
Hi All...
Sabhi log dard me dube hue lagte ho......
koi ekadh veer rash ki kavita bhi likh diya karo...

yu aaya r veer rash ka chasku.......hhahahaha
bhai mann koi doosra thread doondh le mil jya ga veer rash bhi aade sab kutch haazir sai. per tu galat gali mein aann bada mere beera.
 
jakhm-e- mohabbat

Jab bhi mahabbat ka naam sunta huin
jjane kyoun MALAAL sa hota hai
arsaa pehle CHOT lagi thi
dard kyoun baar baar hota hai...........
 
bhai wah !

prashantacmet said:
Jab bhi mahabbat ka naam sunta huin
jjane kyoun MALAAL sa hota hai
arsaa pehle CHOT lagi thi
dard kyoun baar baar hota hai...........

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sanam kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
 
Koi aankhon aankhon

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada Mushkil hota hai tab Jawab denA
Jab koi KhamosH rehkar Sawaal kar leta hai
 
Dosti karo collage walli se,
Pyar karo office walli se,
Programme karo padose walli se,
Aankhe ladao saali se,
Love karo dil wali se,
Aur maar khao ghar walli se,
 
hidhayal said:
Dosti karo collage walli se,
Pyar karo office walli se,
Programme karo padose walli se,
Aankhe ladao saali se,
Love karo dil wali se,
Aur maar khao ghar walli se,

oye oye...maar dala bhai...kiya nuskha pesh kiya hai...hahahahha

RK^2
 
Sword & Eyes (Talwar & Nayan)



Katla karna hai to NAYAN se kar,
Katla karna hai to NAYAN se kar,
TALWAR mein kya rakha hai
ki na ho takleef,
ki na ho takleef,
Mujhe sir jhukane ki
aur tumhein TALWAR Uthaaney ki


 
meri mehbooba

aye kalam zara dheerey chal ,
aye kalam zara dheerey chal ,
badi izzat ka mukaam hain ,
teri nok key neechey meri mehbooba ka naam hain
icon_wink.gif
 
Wah Waj Dahiya Sahab,
Eak hamaree taraf se bhee

Kya Khabar Is Raahi Ka Safar Kya Ho
Ruk Jaaye Jo In Aankhon mein, Wo Manzar Kya Ho
Ik Talaash Si Rehti Hai Dil Ki Waadi Mein
Kya Khabar, Is Talaash Ka Asar Kya Ho
 
Asar toh jarur hoga hamendra bhai !

Je Ishq Hovve Ta Ikko Waar Rabba…
Ibadat Warga Hovve Meraa Pyaar Rabba…
Jisnu Mangde Mere Bull Na Thakkan…
Kisse Paak Dua Warga Hovve Mera Yaar Rabba
​
 
tumse mila tha pyar kuch ache nasib the,
tumse mila tha pyar kuch ache nasib the,
hum un dino aamir the jab tum karreb the !!!
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top