Gagan,
Ram ram(tumhare liye Ravan Ravan), bhai tumhari kangaroo chhaap fooljhariya, langoor chhaap patashe aur cheepkali chhaap machis ki dabbi aaj hi mili hai... badle mein mane Bush chhaap anaar, Condy chhaap candies aur Turkey chhaap burfi(pura 1 kilo ka dabba, baant ke khana akele nahi) FedEx se bhej diya hai...
Lanka walon ko meri taraf se "paraajay-dashmi" ke dukhad avsar par saantvana de diyo.. aur tu apni padhayi ka dhayaan rakhiye, khub ghee khana, passon ki dikkat ho to ghar bol dena sharman ki koi baat koni, aur ghar walon ki chinta mat kariyo, sab theek hai, bhains baya gayi hai(katda layi hai), bajra lamni kar liya hai(Ram to barsa nahi), apni lomdi ne 10 piloore diye hein(ek aada FedEx kar doon kya?)... aur baki baad mein.. aur jyada chithi mat dala kar, yo tera susra daakiya jab bhi chithi lata hai ek chai pee jata hai...
Diwali pe ghar to nahi ja paoonga magar mujhe ab bhi yaad hai
Wo pathake aur fooljhariyan
Diye aur mombatiyan
Maa ke hatho ki rotiyan
Ber ki jhariyan
Bachhon ki kilkariyan
Chobare ki atariyan
Ladkiyon ki chamkili saariyan

Unke kaano ki jhumkariyan
Ankh-michoni ki baariyan(turns)
Wo sandukh aur almariyan
Kheton ki kyaariyan
Bhajni ki raagniyan
Chokidaar ki boliyan
Kapoor(camphor) ki goliyan
Chikni-chikni chhoriyan
Gande ki poriyan
Dadi ki loriyan
Bajre ki boriyan
Dada ki purani storiyan(stories)
Vinod