A
amankadian
Guest
aapne kha uske pass kuch nhi bachta1 question mera bhi hai ....try
Que.-Bhai 1 be 1 aadmi kuch rupye leke ghar se chale hai or raste mai usne ek mandir dikhai de hai or wa mandir mai ander jaane se pahle waha baithe bhikari ko 100 ka note de deta hai or ander jaane ke baad pujari uske pass bache hua rupyo ko double kar dete hai or wo aadmi mandir se niklte time bhi bhikhari ko 100 ka note deta hai.
Aise hi wa aadmi dusre mandir mai karta hai -ander jaate time bhikari ko 100 rupye deta hai or bache huye rupyo ka pujari double kar deta hai or fir se bahar aate hi bhikari ko 100 rupye deta hai.
Aise hi wo aadmi teesre mandir mai jaata hai- ander jaate time bhikari ko 100 rupye hai or uske pass bache hue rupyo ko pujari double kar deta or fir se bahar aate hi bhikari ko 100 rupye deta hai. Is baar bikari ko 100 rupye dene ke baad us aadmi ke pass kuch nahi bachta.
Batao wo ghar se kitne rupye leke chala tha?????
to fir ghar kya leke jayega wo