Meri Pasand Ka Hindi Song (Part 1)

Status
Not open for further replies.
ye le copycat ek aur gana

again all good choices aur ye anwar movie ka gana to roz ek baar sun leti hun main...extremely good lyrics it has :) ...now comes my choice which one of my sister's friend reminded me after long time by playing it's tune on guitar.....uss time mujhe uska second para yaad nahin aa raha tha but now i can sing it completely...:) ...it's from some old time movie and the song is.....Deewana Hua Badal....

Deewana hua badal
Saawan ki ghata chhai
Ye dekh ke dil jhuma
Li pyaar ne angdai
Deewana hua badal

Aisi to meri taqdeer na thi
Tumsa jo koi mahboob mile
Dil aaj khushi se pagal hai
Ai jaanewafa tum khoob mile
Dil kyun na hue pagal
Kya tumne ada paayi
Ye dekh ke dil jhuma
Li pyaar ne angdai
Deewana hua badal

Hai aaj naye armaanon se
Aabaad mere dil ki nagri
Barson se khijata mausam tha
Veeraan badi duniya thi meri
Haathon mein tera aanchal
Aaya ke bahar aayi
Ye dekh ke dil jhuma
Li pyaar ne angdai
Deewana hua badal...

pura gaake likha hai....my fav. song:) ..aur bhi kuch gaane gaake likhe hain pahle....sunne mein jitna maza aata hai usse jyada gaane mein ....aur baaki gharwaalon ko meri madhur vaani se pareshan karne mein :D...actually khul ke gaane ki adat hai..to awaaz thodi oonchi chali jaati hai :D
 
Yaar gaake to nahi mai imagine jarur karti hoon...ANWAR's Maula mere Maula....cant count how mane times i've listened to this in 2 days
 
ye le priya aur gana

all the songs of movie Fana, DDLJ, HAHK, HSSH, VIVAH, BORDER, LOC KARGIL, ect. etc. bahaut saari aisi movies hain jinke saare ke saare gaane pasand hain.
 
Last edited:
Yaar gaake to nahi mai imagine jarur karti hoon...ANWAR's Maula mere Maula....cant count how mane times i've listened to this in 2 days

ye gaane ke lyrics mujhe pure yaad nahin..issliye ye nahin gaati ...bas gunguna leti hun...lekin ek baat pata chali mujhe ki tumhe bhi meri tarah boring style se sunne ki adat hai ;) ...dusra banda thak jata hai lagatar mera ek hi gana sun sun ke...lekin main wahi play karti rahti hun jab tak kisi aur gaane par nahin atakti :D...aur haan bahaut saare gaane main bhi imagine karti hun
 
Ab na jaa

This is something i really like... one of friend made me hear this and since then am simply a fan of this song...

Aankhe band kar lu jo mein dekhu bas tumhe
Khwabo mein hi kah sakta hu, apna tumhe

Rahne de, Mera ye vahem pe hi yakeen,na ja abhi

Pyaar ki ye raat hai ab na ja, choti si ek baat hai ab na ja

Tumhi se hai abmeri neende na bhi ho to kya
tumhi se hai ab meri batein na bhi ho to kya?

Kahne de taro ko kahani ankahee, na ja kaheen...

Pyaar ki ye rat hai ab na jaa, Choti si ek baat hai ab na ja
Pal 2 Pal ka sath hai ab na ja, Jadu si ye rat hai ab na ja
​
 
For all the Daaru luvers...this song is certainly an Anthem!!!
Drink Alchol.....Save Water!!!! ;) ;) :cool:

Tu Pee aur Jee --- Kishore Kumar

Tu pee aur jee, tu jee aur pee, sardi mein jab piyoge yaaro, sardi mein jab piyoge yaaro,
garam kot ban jayega ye, aayi garmi to madira jal thandak tumko pahunchayega
are rang bharega sapno mein ankho mein jab ye bus jayega,
man to tere meet tera bus yahin kahin pe mil jayega, kahe ko tu phire akela,
are kahe ko tu phire akela, dekh jara maujon ka mela, aa tu bhi aa lahra,
are aao na akele kabhi, raho na akele kabhi, sabhi se ye kahe ye kabhi,
ke upar niche aage pichhe chhayi kaisi masti jara pee aur jee

Ye Gujrati wo Bangali, ye Gujrati wo Bangali, ye dill wala, wo dil wali,
main desi hoon tu pardesi, phir bhi dhadkan hai ik jaisi, Are ye Madrasi, wo Punjabi,
har tale ki hai ik chabi, pyar ke mare sab bechare, hey gore kale ye matwale,
Are worker ho ya malik mil ka, worker ho ya malik mil ka, raat ka pyasa bhukha din ka,
tu aa na ghabra, udhar na chadhao kabhi, paise saath lao abhi, abhi ye dukan hai khuli,
ke pahli pahli bikri meri de doon main to sasti jara pee aur jee.

Ghar walon ki yaad sataye, ghar walon ki yaad sataye, ya ankhon mein ansoon aye,
humko dekho yu hasin ke pi kar hum kaise muskaye,
kisme kitne raaj chhupe hain, puchho mere dil se tum, baithe baithe mahfil se hota koi kaise gum,
are duniya saari hil jayegi, are duniya saari hil jayegi, fati jeb bhi sil jayegi, aa tu bhi ban raja,
are laphda na karo kabhi, jhagda na karo kabhi, bhandga to pao jara jut ji,
are balle balle bach ke kahin doobe na ye kashti jar pee aur jee, kahta yehe toni.


Rock on!
Jit
 
my most fav song..... from movie KARAM(2005)

((Tinka Tinka jara jara
hai roshni se jaise bhara) - 2
Har dil main armaan hote to hai - 2
bas koi samjhe jara) - 2

(Dil pe ek naya sa nasha cha gaya
kho raha tha jo khwaab vo laut aa gaya) - 2
(Yeh jo ehsaas hai jo karaar hai
kya issi ka hi naam pyaar hai) - 2
pootche dil thumke jara
Tinka Tinka jara jara
hai roshni se jaise bhara
Har dil main armaan hote to hai - 2
bas koi samjhe jara
Tinka Tinka Tinka Tinka
 
Song Title: Koyi Fariyaad Tere Dil main
Movie Name: TUM BIN
Singer: JAGJIT SINGH

Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Jaanta Hoon Aapko Sahare Ki Zarurat Nahin
Main Sirf Saath Dene Aaya Hoon


Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Hue Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Raah Chalte Hue Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise :)
 
MovieName: TUM BIN
Singer: CHITRA

Tum Bin Kya Hai Jeena, Kya Hai Jeena
Tum Bin Kya Hai Jeena
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Phir Shaam-E-Tanhaai Jaagi
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Jaan Nikalne Lagi Hai
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Is Dil Mein Yaadon Ke Mele Hain
Tum Bin Bahut Hum Akele Hain
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Kya Kya Na Socha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaaye
Kya Kya Na Chaaha Tha Dil Ne
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Is Dil Se Toofaan Guzarte Hai
Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...
 
titli ye song suna hai tuney this one is very nice

this movie was very slow one:p bt the theme was good:)

Title: Mujhe Hak Hai
Movie Name: VIVAH
Singer(s): SHREYA GHOSHAL, UDIT NARAYAN

mujhe hak hai tujhako jee barake main dekhu
mujhe hak hai bas yuhi dejhataa jaau
mujhe hak hai

piyaa piyaa piyaa piyaa bole meraa jiyaa
tumhe hak hai- 3

dhal rahi pighal rahi ye raat dhire dhire
badh rahi hai pyar ki baat dhire dhire
chudiyaa gungunaake kyaa kahe sajanaa - 3
raat ki raat jagaau mujhe hak hai
chaand poonam kaa churaau mujhe hak hai
piyaa piyaa piyaa piyaa bole meraa jiyaa
tumhe hak hai- 3

kal subhah tujhase main door chalaa jaaunga
ek pal ko bhi tujhe bhool nahi paungaa
ye cheharaa ye muskaaan aankhon mein bhar ke - 2
main tere yaad mein tadapu mujhe hak hai
tujhase milane ko main tarasu mujhe hak hai
piyaa piyaa piyaa piyaa bole meraa jiyaa
tumhe hak hai- 3

mujhe hak hai
tumhe hak hai
 
this movie was very slow one:p bt the theme was good:)

Title: Mujhe Hak Hai
Movie Name: VIVAH

ya i like this song too and all the other songs pasted by everyone have good lyrics.....but never heard the one posted by Vikas Choudhary and Jeet Brother...and Vikas Panwar's choice is a sweet one :)
 
Kaafi aachhe lyrics hein is gaane ke sayad aap logoon ko pasand aayein :)


Duniya mein hum aaye hein to jina hi padega,
Jeewan hein agar jeher too pina hi padegaa,

Gir-gir ke musibat mein ,samhaltein hi rahenge,
Jal jayein magar,aag pe chaltein hi rahenge,
Gam jisne diya hein,wo hi gam door karegaa,

Aurat hein wo aurat jise duniya ki sharam he,
Sansar mein bas laaj hi naari ka dharam he,
Jinda he jo izzat se, wo izzat se marega,

Maalik he tere saath naa darr gam se tu-e-dil,
Mehnat kare insaan to kya kaam he muskil,
Jaisa jo karegaa, yahan waisa hi bharega
 
Kaafi aachhe lyrics hein is gaane ke sayad aap logoon ko pasand aayein :)


Duniya mein hum aaye hein to jina hi padega,
Jeewan hein agar jeher too pina hi padegaa,

ya good song it is..i like it...two more songs at life which i like a lot are...

Jeevan to ek sargam hai
Saat suron ka hai sangam
Mere sang muskura ke
Mere sur mein sur milake
Gunguna tu sada
Gaaye jaa
Gaaye jaa tu sada

I don't know this song completely but this one is a very sweet song :)

Zindagi pyaar ka geet hai
Ise har dil ko gana padega
Zindagi gum ka sagar bhi hai
Hans ke uss paar jana padega

This song i love a lot...if anybody knows from which movie are these two beautiful songs then pls mention the movie's name here...i would like to get every single line of these two songs :)
 
Kabul Fiza ...........MERI PASAND KA SONG

Movie Name: KABUL EXPRESS
Singer:RAGHAV SACHAR (this man knows above 20 musical instruments )

yeh safar yeh imtihaan
bezubaan meri dastaaan

jeene ka yeh hai fhalsafa
gum mein bhi khushiyon ki sada
hai yahan


jane khuda na jaane kuda
yeh jo hua kya jane khuda
khoi si hai yahan sab ki dua

kabul fiza yeh hai kabul fiza.....

lamhoo mein jeene ka nishaan
khwaabon mein dundhe ashiyaan
har ek nazaar har ek dil tanhaan
soii hui aakhoon ka sapna
haai yahaan
jane khuda na jaane kuda
yeh jo hua kya jane khuda

kabul fiza yeh hai kabul fiza

ummm haa khuda ke bande hum
khuda ke sajde mein gum
khuda ki rehmat ki gun
gatee hai hum aur tum
ohh khuda ki mehfil mein aa
khuda ko apna bana
dekh kaise khuda banaye tujhko
aakhir se insaan
khoya kahan
teri zameeen tera jahaan

hai yahan

kabul fiza yeh hai kabul fiza
dekho zara yeh hai kabul fiza
teri zameeen tera hai jahan
kabul fiza yeh hai kabul fizaaaaa

jane khuda na jaane kuda
yeh jo hua kya jane khuda
khoi si hai yahan sab ki dua

kabul fiza yeh hai kabul fiza
 
a melody by : jagjit singh and asha bhosle

Jab Samne Tum Aa Jate Ho..

Aaina dekh ke bole yeh sanwarne wale
Ab to be-maut marenge mere marne wale

Dekh ke tumko hosh mein aana bhool gaye...
Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye....

jab saamne tum...
Jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai...
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

Chaaha tha yeh kahenge
Socha tha socha tha woh kahenge
Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake
Bas dekha kiye unhein ham........

Dekh kar tum ko yakeen hota hai
Koi itna bhi haseen hota hai
Dekh paate hain kahan ham tumko
dil kahin hosh kahin hota hai

Jab Samne Tum Aa Jate Ho.......... ......... ......... ........

Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana
De kar hansi labon ko, aankhon ko mat rulaana
Dena na beqaraari
dil ka karaar ban ke
Yaadon mein kho na jaana tum
intezaar ban ke, intezar ban ke

Bhool kar tumko na jee payenge
Saath tum hogi jahan jayenge
Ham koi waqt nahin hain ham-dam
Jab bulaaoge chale aayenge


jab saamne tum
Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai,
kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai
 
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai
juda hoke bhi

waise zinda hu zindagi bin tere main
dard hi dard baaki raha hai seene mein
saans lena bhar hi yaha jeena nahi hain
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

saath mere hain tu har pal shab ke andhere mein
paas mere hain tu ujale savere savere mein
dil se dhadkan bhula dena aasan nahi hai
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
yeh jo yaadein hai - 2
sabhi kaatein hai - 2
katado inhe - 2
ab toh aadat si hai mujhko
 
Movie Name: THE KILLER (aaj hi pata chala ye gaana is movie se hai :p )
Singer(s): KAY KAY, SHREYA GHOSHAL ( both are my fav. singers ):)

phirta rahoon dar badar
milta nahi tera nishaan
hoke judaa kab main jiya
tu hai kahaan main kahaan
teri yaadon mein khoya rehta hoon
mujhko dasti hai tanhaaiyan
phirta rahoon dar badar
milta nahi tera nishaan
hoke judaa kab main jiya
tu hai kahaan main kahaan

tu jo judaa ho gayi
teri sadaa kho gayi
dekh le phir zindagi
haa kya se kya ho gayi
jab se bichdi hoon
rab se kehti hoon
kitna suna hai tera jahaan
phirta rahoon dar badar
milta nahi tera nishaan
hoke judaa kab main jiya
tu hai kahaan main kahaan

kaise kate zindagi maayusi bebasi
raahen sabhi kho gayi
roshani de roshani
main toh rehti hoon teri raahon mein
bekhabar mujhko dhunde kahaan
phirta rahoon dar badar
milta nahi tera nishaan
hoke judaa kab main jiya
tu hai kahaan main kahaan
teri yaadon mein khoya rehta hoon
mujhko dasti hai tanhaaiyan
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top