shayaree KI SHAAM----JOGI JAT

  • Thread starter Thread starter jogiya
  • Start date Start date
Status
Not open for further replies.
AaNkH kHuLi To PhiR

inn zamana ki thokaron ka itna aadi ho chuka hoon,

ki ab thokar na bhi lage to khun nikalata hai.





AaNkH kHuLi To PhiR ...


Aankh khuli to phir khwaab chale gaye
jii behlane ke saare bahaane chale gaye

yaad rehta nahi kuch bhi yaad kiye bina
yaadoN me khokar jeene ke sahare chale gaye

gham bhi gaya, khushiyaN bhi gaye
ek ek karke sab yaar chale gaye

har tasawwur me dekha tere chehre ko
har shaks ko khuda banakar chale gaye

chupaya na jaye logoN se meri dil ki raghbat
teri furqat ke sholay ragoN me chupakar chale gaye

sirf dil hi tha tera sabse bada khazaana
phir kyun usey ek ajnabee pe lutakar chale gaye


JOGI JAT
 
Jogi Jat

JOGIYA WITH A BANG

Aashiyaane kii baat karate ho
Dil jalaane kii baat karate ho

Saarii duniyaa ke ranj-o-Gam de kar
Muskuraane kii baat karate ho

Ham ko apanii Khabar nahii.n yaaro
Tum zamaane kii baat karate ho

Zikr meraa sunaa to chi.D ke kahaa
Kis diivaane kii baat karate ho

Hadasaa thaa guzar gayaa hogaa
Kis ke jaane kii baat karate ho

VISIT TODAY

JOGI JAT :cool:
 
GHAYAL KIYA JAB APNO NE. .

. Ghayal kiya jab apno ne,to gairon se gila kya karna .
uthaaye hain khanjer jab apno ne, to zindagi ki tamanna kya karna



. dil tha ik kanch ka ghar ,so aakhir wo bhi toot gaya .
qismat main likhey hain jab gum ,to khuda se gila kya karna



. taraste rahi zindagi bhar jin sachey rishton ke liye.
jab unhon ne hi thukra diya, to gairon se tawaqo kya karna



jis ko samjha tha apna, jis ko banaya tha apna raazdaan.
usi ne jab dil tor diya, to gair ko apna kar kya karna



muskurana jo bhool gaye hont to kya hua .
gum ko bana liya hai apna, to muskura ke ab kya karna
 
Aisi waisi nahin periyon jaisi hai woh
Machalti ghataoon ki badliyon jaisi hai woh

Shoukh rang manchali tabiyat say bher poor
Chaman chaman phirti titliyon jaisi hai woh

Ik ehsas-e-tazgee ik mehek ka gumaan
Ik sarapa ghazal kaliyon jaisi hai woh

Chamak thi bala see situm maar dala
Sawan main berpa bijliyon jaisi hai woh

Wasta na raha zindagee main dukhon say
Hamesha ghum mai b muskraney walo jaisi hai woh

Naaz-o-andaaz shaiki us kay juda hay
Kahan aam see lerkiyon jaisi hai woh
 
Meri Khamosh Mohabbat Ka

Meri Khamosh Mohabbat Ka

Itna To Sila Diya Hota,

Kabhi Ik Nazar Chahat Se

Dekh Hee Liya Hota.

Hum Bhi Tujhay Ishq-0-Mohabbat

Se Aashna Kartay,

Bas Ik Baar Apnay Dil Mein

Aanay To Diya Hota.

Kia Jata Tumhara Bas

Hamein Hee Dil Se Khushi Milti,

Apni Zindagi Ki Kitaab Mein

Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.

Dekh Letay Zara Ghor Se Shayad,

Tumharay Haath Ki Lakiron Mein

Hamarai Kismat Ka Bhi Diya Hota.
 
samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain

teri yadoon ki khushboo khirkion main raqs karti hay
tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain

na jane hoo gaya hoon is qadar hasaas main kab se
kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain

wo sab guzre howe lamhaat mujh koo yaad ate hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

main sara din bauhat masroof rehta hoon magar joon hi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tere kooche se ab meraa taluq waajbi saa hay
magar jab bhi guzartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
 
sab jat bhaiyon ko meri ram ram......
first of all i introduce myself.....
SUDHIR TOMAR
B.TECH 3rd YEAR
MECHANICAL ENGG.
MNNIT ALLAHABAD

my village is BAOLI near BARAUT in WESTERN UP........

and now4 lines written by me4 someone..........

Ek kashish hai tere chehare mein,tere hasne mein kashish hai
Ek kashish hai tere chalne mein, tere rukne mein kashish hai

Ek kashish hai tere balon mein, teri bali mein kashish hai
Ek kashish hai tere galon mein, teri lali mein kashish hai.


JAI HIND
JAI JAT
 
yogesh u got an anthology of some nice verses .. they r really touching
& simply awesome ..
keep it up
 
Acchi Shayari hai Pasand Aaayee.
Do line Hum bhee jod dete hain Jogi BHai.

Khwabon mein khayalon mein Nazar aata hai tera chehra,
Padhta hoon kitaabon mein nazar aata hai ter chehra,
Tere chehre na Zaane kya jodoo kiya hai,
Mein bhool gaya hoon khud mera chehra.

Abhimanyu


Jats! The real tigers.
 
Bahut Sahi Ja Rahe Ho Yogesh

Bhai Yogesh,

Aapki shayari to bahut achchi hai magar ye photograps kuchch jyada hi achche hai isliye, please keep this stuff with you only coz we all can see this type of photographs from other so many sites. Jatland to jatland he rahno do please.

Thanks

Ajay Verma

jogiya said:
samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain

teri yadoon ki khushboo khirkion main raqs karti hay
tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain

na jane hoo gaya hoon is qadar hasaas main kab se
kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain

wo sab guzre howe lamhaat mujh koo yaad ate hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

main sara din bauhat masroof rehta hoon magar joon hi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tere kooche se ab meraa taluq waajbi saa hay
magar jab bhi guzartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
 
ekdam mast likhto ho jogi bhai
main bhi 4 line jod deta hun....

Ek kashish hai tere chehare mein,tere hasne mein kashish hai
Ek kashish hai tere chalne mein, tere rukne mein kashish hai

Ek kashish hai tere balon mein, teri bali mein kashish hai
Ek kashish hai tere galon mein, teri lali mein kashish hai.
 
Dil To Toot Chuka Hai

Dil To Toot Chuka Hai

Dil To Toot Chuka Hai

Kisi Nay Saath Jo Tora Hai

Khoon K Aansoo Roo Raha Hai

Kisi Nay Mujhay Jo Rulaya Hai

Sab Khushioon Say Moon Mour Chuka Hai
Kisi Nay Jo Mujh Say Moon Phaira Hai

Tanhaioon Ko Galay Laga Chuka Hai

Uss Nay Jo Kisi Oor Ka Sangg Paya Hai

Uss Bay Wafa Ki Yaad Main Her Pal Ro Raha Hai

Chaha B To Kis Bay Wafa Ko Chaha

Jis Nay Mujhay Her Pal Roonay K Liay Chora Hai

Nazrain Milana Gawara Nahi Baat Karna B Gawara Nahi

Werna Main Poochti Uss Say K..

Yeh Kis Baat Ka Hai Silla

Ya Yeh B Tumhari Adaoon Main Shamil Hai
 
jogiya

Safed Sari Par Tum Lal Bindi Lagati Ho,


Khuda K**am Ambulance Nazar Aati Ho,


Vo Ghayal Ko Lekar ***i Hai,


Tum Ghayal Kar ***i Ho!!!
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top