Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
shobhitdeshwal said:
Badi door tak chala is mukam ko paane ke liye......
Unko aawaz bhi di, rooth kar na jaane ke liye.....
Suni nahi fariyad meri, kaan band the unke zamane ke liye....
Aage badh gaye voh.... safeena mera bahane ke liye.....
Us mod se aaj bhi guzarta hun.. dil ko unki yaad dilane ke liye....
Jis mod pe mile the pehle.. kabhi na chhod ke jaane ke liye!!!

Good going Shobhit....you also a great shayar
 
MY name is Anthony Gonsalves, main duniya me akela hun..
Dil bhi hai khali.. ghar bhi hai khali... Isme rahegi koi kismat vaali..
Jise meri yaad aaye.... Jab chahe chali aaye....
roop mahal.. prem gali khlo no. 420//

Abhi abhi isi jagah pe eik ladki dekhi hai..
jo mujhe ishare karti hai.
par kisi se shayad DARTI hai...
Pyar karegi kya darne vaali...
Meri banegi koi KISMAT vaali....

Cheers!!
 
manzeele galat ho jati h
musafir galt hote nahi
faisle galat ho jaate h
insaan galat hote nahi
mod to saache hote h
yaade daga de jaati h

shobhitdeshwal said:
Badi door tak chala is mukam ko paane ke liye......
Unko aawaz bhi di, rooth kar na jaane ke liye.....
Suni nahi fariyad meri, kaan band the unke zamane ke liye....
Aage badh gaye voh.... safeena mera bahane ke liye.....
Us mod se aaj bhi guzarta hun.. dil ko unki yaad dilane ke liye....
Jis mod pe mile the pehle.. kabhi na chhod ke jaane ke liye!!!
 
ritu said:
manzeele galat ho jati h
musafir galt hote nahi
faisle galat ho jaate h
insaan galat hote nahi
mod to saache hote h
yaade daga de jaati h



Manzeele kabhi bhi nahin badalalti
Musaafiron ke iraade badal jate hain


Hor mod pe aakar jo fir se sochte hain
Unke kadamo ke nishaan badal jate hain


Zindagi ke faisle bar bar nahin hote
Par waqt aane par insaan badal jaate hain
 
na takdir se na jamane se
na khud se na begaane se
na rahi kisi se koi shikayat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat


woh chup-2 kar muskurana
khud ko aaine mein dekhkar sharmana
kab thi apne yah fitrat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lagi mohabbat


baatein uske loobhane lagi
hume hum se he churaane lagi
lagne lagi zindagi badi khoobsoorat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat


hattha nahin nigahoon se koi chehra
har pal hai usne humko ghera
jameen par nazar aate hai janaat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat


baatein uske loobhane lagi
humein humse he churaani lagi
zindagi lagne lagi badi khoobsurat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat


ab to khwaboon mein bhi aane laga
aankhoon ke neend dil ka chain churane laga
dar hai kahin pad na jaaye uske aadat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat


kya kya karoon bayan
hoon mein bade pareshaan
aap he bataoo kaise sudharoo apne halat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat
 
nikitadhaiya said:
na takdir se na jamane se
na khud se na begaane se
na rahi kisi se koi shikayat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat


*******************NICE*************************
 
Last edited by a moderator:
WOW Niki ! Simply excellent. Superb. I don't have words to say....how nice this composition is.


nikitadhaiya said:
na takdir se na jamane se
na khud se na begaane se
na rahi kisi se koi shikayat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat
 
Last edited by a moderator:
Thanks to both lalit and vijay....waise i wrote it in a very light mood...pata nahin tha ki itne achhe lagege...anyways thnks again
 
nikitadhaiya said:
na takdir se na jamane se
na khud se na begaane se
na rahi kisi se koi shikayat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat

ati sunddarrrrrrrrrrr... bada ajeeb hai muhabbat ka asar...

RK^2

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

ne jaane log kyoon muft me wafa mangte hain
yeh wo keemti sah hai, jise kam jaante hain
khud ko uthaiye aur kijiye wo jajbaat paida
bewafai ke nagme ne gaane parenge yun sada

Duniya me koi bhi bewafa nahi hai dosto
kisi ki haisiyat se jiada ne mangon dosto


RK^2
 
Last edited by a moderator:
nikitadhaiya said:
na takdir se na jamane se
na khud se na begaane se
na rahi kisi se koi shikayat
aaj pehle baar laga
hume bhi hone lage mohabbat

Yeh raat itni tanha kyun hoti hai
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai
Jise hum pah nahi sakte
...kumbakth ..usi se mohabbat kyun hoti hai.
 
Last edited by a moderator:
fool4love said:
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai
Jise hum pah nahi sakte
...kumbakth ..usi se mohabbat kyun hoti hai.


Ek hasrat ka naam mohabbat hai
Ye tamanna hai kisi to paane ki
Dilon ka mel hai wafa ka takaza hai
Aur chahat hai kisi ko apnaane ki
 
Jinhey hona ho be-wafa
Wafa ka dum wahi bhartey hain
sachi mohabat karney wale
Zuban istemal kahan kartey hain


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Waqt to nasamjh hai
ye ashikon ko ilm hai
mitey mohabbat karney wale
badltey log badalney wale

.
 
Last edited by a moderator:
speedcrazy said:
Jinhey hona ho be-wafa
Wafa ka dum wahi bhartey hain
sachi mohabat karney wale
Zuban istemal kahan kartey hain

Sacchi mohabbat bayaan nahi ki jaati
Insaan ke chehre pe nazar aati hai
Wafa ya bewafaai waqt karwata hai
Aur zindagi ki raahen badal jaati hai


speedcrazy said:
Waqt to nasamjh hai
ye ashikon ko ilm hai
mitey mohabbat karney wale
badltey log badalney wale

Kuchh log badalte hain rang pyar mein
Aur mohabbat ko badnaam karte hain
Ye waqt har kisi ko nahin badalata
Sirf bewafa hi ye kaam karte hain


rkumar said:
ne jaane log kyoon muft me wafa mangte hain
yeh wo keemti sah hai, jise kam jaante hain
khud ko uthaiye aur kijiye wo jajbaat paida
bewafai ke nagme ne gaane parenge yun sada

Duniya me koi bhi bewafa nahi hai dosto
kisi ki haisiyat se jiada ne mangon dosto
RK^2

Kaun wafa maangta hai yahan kisi se
Maangne se to kabhi kuchh nahin milega
Ye mohabbat to ek zazbat hai dil ka
Sukuun tabhi aayega jab dil se dil milega
.
 
Last edited by a moderator:
speedcrazy said:
Jinhey hona ho be-wafa
Wafa ka dum wahi bhartey hain
sachi mohabat karney wale
Zuban istemal kahan kartey hain

Wafa jinki ragon me ho.. voh kahan daga kiya karte hain??
Bewafai jinki fitrat me.. wafa ka dum kahan bhara karte hain??
Zubaan chup ho.. to dil cheekh ke pukarta hai naam unka....
Dil ki pukar jo na sune.. unko sachha bewafa kaha karte hain!! (imaan se)

Cheers!!

Shobhit Deshwal

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Chalna thi.. phir bhi mera... usme vishwas ghana tha...
Us Maya ki chaya me kuch saccha swayam bana tha....

Dukh kya tha unko.. mera sukh le kar jo yun Bhage....
sote me chumban le kar jab rom tanik sa jaage...

Sangya se aaye tum.. Madakta se chale gaye....
Hum vyakul pade bilakhte... Utre hue nashe se....

Ab chut ta nahi chudaye... rang gaya hriday hai kaisa??
Aansoo se dhula nikarta... yeh rang anokha kaisa????????????????????

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Vismriti hai, madakta hai... Murchana bhari hai mann me....
Kalpna rahi... sapna tha... Murali bajti nirjan me....

NISHTHUR!!!!! yeh kya chup jana???? MERA BHI KOI HOGA....
PRATYASHA VIRAH NISHA KI.... hum hone aur DUKH HOGA!!!!!

Itna sukh le pal bhar me.... jeevan ke antsthal se....
Tum khisak gayin dheere se... ROTE pran VIKAL se.....

vo HANSI aur yeh AANSOO ghulne de... mil jaane de.....
Barsat nayi hone de... Kaliyon ko khil jane de....

Meri priya, Priyatam sangini.. SUNDAR, KATHOR, KOMALTE....
hum dono rahein sakha hi... jeevan path chalte chalte!!!!
.
 
Last edited by a moderator:
vijay said:

Ye mohabbat to ek zazbat hai dil ka
Sukuun tabhi aayega jab dil se dil milega


yunhi Muhabbat kiye jaiye
yunhi geet likhe jaiye
dil se dil mile ya na mile
muhobbat ka lutf liye jaiye

wo bhale hi chor kar chale jayen
magar unkee nazar hum pe hogi
itna asar piar ka kiya kam hai
jaroor wo, meri mayyat pe hogi

RK^2
 
rkumar said:
yunhi Muhabbat kiye jaiye
yunhi geet likhe jaiye
dil se dil mile ya na mile
muhobbat ka lutf liye jaiye

wo bhale hi chor kar chale jayen
magar unkee nazar hum pe hogi
itna asar piar ka kiya kam hai
jaroor wo, meri mayyat pe hogi
RK^2

Woh kya bhool payenge humen
Ye to unke bus ki baat nahin

Jis raat sapna na dekha hamara
Aise katati unki koi raat nahin

Unki nigaahen humen dekhti hain
Lekin chahate koi mulakaat nahin

Bewajah kisi ko bewafa kaise kahen
Hamare itne bure khayalaat nahin

Maohabbat to kiasmat se milti hai
Agar na bhi mili to koi baat nahin

Waham hai jamaane ko barbaadi ka
"Vijay" ke aise to koi halaat nahin

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Main Toofaano mein chalane kaa aadi hoon

Main toofaano mein chalane ka aadi hoon
Tum mat meri manzil asaan karo

Hai phool rokte mujhe, kante mujhe chalaate
Marusthal, pahad chalane ki chaah bhaadhate
Sach kahta hoon mushkilen na jab hoti hai
Mere pag tab chalane mein bhi hai sharmaate
Mere sang chalane lage hawaayen jis se
Tum path ke kan kan ko toofaan karo

Main toofaano mein chalane ka aadi hoon
Tum mat meri manzil asaan karo

Angaar adhar par rakh main muskuraya hoon
Main marghat se zindagi bula laaya hoon
Ankh-michouni khel chuka kismat se
Sao bar maut ke gaal choom aayaa hoon
Hai nahin mujhe daya sweekar apni bhi
Tum mujh par mat koi ahsaan karo

Main toofaano mein chalane ka aadi hoon
Tum mat meri manzil asaan karo

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Ranjish is tarah se mat badha
Ki Faasle aur bhi badh jaayen
Kahin aisa na ho ki aisa waqt aaye
Hum Chah kar bhi kabhi mil na paayen
.
 
Last edited by a moderator:
Kisi Ranjish ko hawa do... ke main zinda hun abhi....

Mere rukne se... meri saansein bhi ruk jaayengi....
Faasle aur badha do.. ke main zinda hun abhi....

Chalti raahon me yun hi aankh lagi hai 'deshwal'
bhed logon ki hata do ke main zinda hun abhi.......

Kisi ranjish ko hawa do ke main zinda hun abhi!!!


vijay said:
Ranjish is tarah se mat badha
Ki Faasle aur bhi badh jaayen
Kahin aisa na ho ki aisa waqt aaye
Hum Chah kar bhi kabhi mil na paayen

Ab agar mil gaye.. to jeene ka maksad na rahega....
hum dil se aur dil humse bas yeh hi kahega.....

Kya hua ki kho baithe is deevane ki hasti ko??
abhi to devana kehta hai.. zamana phir humko kya kahega??

Rajish badti jaaye.. ab isme hi tassali mil sakti hai....
nahi to yeh badban safeena mauj ki hava me bahega!!

Mauj hi to thi jo raas na aayi us kamzarf ko....
dil aur kab tak is masti ke dard ko sahega????
.
 
Last edited by a moderator:
shobhitdeshwal said:
Ab agar mil gaye.. to jeene ka maksad na rahega....
hum dil se aur dil humse bas yeh hi kahega.....

Kya hua ki kho baithe is deevane ki hasti ko??
abhi to devana kehta hai.. zamana phir humko kya kahega??

Rajish badti jaaye.. ab isme hi tassali mil sakti hai....
nahi to yeh badban safeena mauj ki hava me bahega!!

Mauj hi to thi jo raas na aayi us kamzarf ko....
dil aur kab tak is masti ke dard ko sahega????


Is mauj se kya gila ye to aadat se majboor hai
Kyon kishti utaari thi ye pyar ka samandar hai
Is machalti mauj ki to kya hasti hai jo mita degi
Us toofaan ka kya hoga jo utha dil ke ander hai
 
vijay said:
Is mauj se kya gila ye to aadat se majboor hai
Kyon kishti utaari thi ye pyar ka samandar hai
Is machalti mauj ki to kya hasti hai jo mita degi
Us toofaan ka kya hoga jo utha dil ke ander hai

Toofan jo dil me ubhara tha eik roz....
Sahil ke simatte hi.... voh bhi utar gaya
mere kinare mujhse kho gaye aaj kahin.....
dil ab toofan ki jagah ashkon se bhar gaya.....
Pyar ke samandar me kisti to utari thi lekin
mera jo majhi tha majhdhar me dar gaya!!!!
 
shobhitdeshwal said:
Toofan jo dil me ubhara tha eik roz....
Sahil ke simatte hi.... voh bhi utar gaya
mere kinare mujhse kho gaye aaj kahin.....
dil ab toofan ki jagah ashkon se bhar gaya.....
Pyar ke samandar me kisti to utari thi lekin
mera jo majhi tha majhdhar me dar gaya!!!!


Good one Shobhit,

Is deewangi ke aage ye samandar kya hai
Mauj ke rokne se hum nahin rookne waale
Dil mein ek pyar ka shola jalaaya hai humne
Jaalim zamaane ke aage ab nahin jhukne waale
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top