speedcrazy said:
Jinhey hona ho be-wafa
Wafa ka dum wahi bhartey hain
sachi mohabat karney wale
Zuban istemal kahan kartey hain
Wafa jinki ragon me ho.. voh kahan daga kiya karte hain??
Bewafai jinki fitrat me.. wafa ka dum kahan bhara karte hain??
Zubaan chup ho.. to dil cheekh ke pukarta hai naam unka....
Dil ki pukar jo na sune.. unko sachha bewafa kaha karte hain!! (imaan se)
Cheers!!
Shobhit Deshwal
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *
Chalna thi.. phir bhi mera... usme vishwas ghana tha...
Us Maya ki chaya me kuch saccha swayam bana tha....
Dukh kya tha unko.. mera sukh le kar jo yun Bhage....
sote me chumban le kar jab rom tanik sa jaage...
Sangya se aaye tum.. Madakta se chale gaye....
Hum vyakul pade bilakhte... Utre hue nashe se....
Ab chut ta nahi chudaye... rang gaya hriday hai kaisa??
Aansoo se dhula nikarta... yeh rang anokha kaisa????????????????????
* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *
Vismriti hai, madakta hai... Murchana bhari hai mann me....
Kalpna rahi... sapna tha... Murali bajti nirjan me....
NISHTHUR!!!!! yeh kya chup jana???? MERA BHI KOI HOGA....
PRATYASHA VIRAH NISHA KI.... hum hone aur DUKH HOGA!!!!!
Itna sukh le pal bhar me.... jeevan ke antsthal se....
Tum khisak gayin dheere se... ROTE pran VIKAL se.....
vo HANSI aur yeh AANSOO ghulne de... mil jaane de.....
Barsat nayi hone de... Kaliyon ko khil jane de....
Meri priya, Priyatam sangini.. SUNDAR, KATHOR, KOMALTE....
hum dono rahein sakha hi... jeevan path chalte chalte!!!!
.