Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Kehte hain ki baatein na suno logo ki yahan
Par ye Baatein bhi to yahan ke log hi karte hain

Sau baaton me ek hi baat baar baar kehte hain
Us ek baat ki sau baatein bhi yehi log karte hain

Jawaab janate hain pyaar karne waalo ka
Phir bhi unse sawaal behisaab yehi log karte hain

Hum in lafzo ki baton se himmat dete hain aapko
In baaton ko kamzor bhi isi jahan ke log karte hain

Jubaaan se Wafa ki baatein karte nahi thakte
Us Wafa ke naam pe Bewafaai bhi to log hi karte hain

Kehte hain Mohabbat ki baaton me kiya rakha hai
Par humaari baaton se Mohabbat yahan sab karte hain

Duniyan ki inn baaton se bachenge kaise
Humse pooch sab baatien banate hain ye


Har kisi ke saath ghulmil ke
Roj ek nayi baat laate hain ye


Pyaar ki nayi nayi paribhashaein batate hain ye
Lakin koi pyaar kare to alag karna chahte hain ye


Wafa aur mohabbat ko ab bhi samjhe nahin ye
Ek bewafai ke peeche sabko bewafa batate hain ye
 
Very good..thats should be the spirit!!!

Sach hoga ek din tera afsanaa
Vo patjhad me bhi bahar layegaa
tera sapna phir sapna na rahega
tere jeevan ki haqiqat ban jayegaa

haan mujhe to pura vishwas hai...wo aayega:) :)

Mujhe bana apne khwabon ki mallika
Wo mere dil ka shahzada ban jaayega

Banake apne haathon ki lakeer
Wo meri taqdeer ban jaayega

Mujhe bana apne jeevan ka hissa
Khud mera saccha sapna ban jaayega

Thaamega wo haath mera
Main banungi sahara uska

Judd jaayega naam humara
Ban jaayegi pahchan nayi
Kadam ke saath kadam milenge humare
Shuru ho jaayegi ek zindagi nayi
 
Very nice...Khuda tere sapno ko boori nazar se bachaye
Lekin aisa naa ho uske milne ke baad Neelam Jatland bhool jaaye.


haan mujhe to pura vishwas hai...wo aayega:) :)

Mujhe bana apne khwabon ki mallika
Wo mere dil ka shahzada ban jaayega

Banake apne haathon ki lakeer
Wo meri taqdeer ban jaayega

Mujhe bana apne jeevan ka hissa
Khud mera saccha sapna ban jaayega

Thaamega wo haath mera
Main banungi sahara uska

Judd jaayega naam humara
Ban jaayegi pahchan nayi
Kadam ke saath kadam milenge humare
Shuru ho jaayegi ek zindagi nayi
 
Hum saath hain unke aur wo hume apna keh sakte nahi[/QUOTE]

sath hone ke bad hi to pata chata hai ki okhli main sir de diya:confused:
 
dil ke bekrarai chup nahi sakti, nazre sab bayan kar jati hai
to is pyar, ko, apne armano ko, duniya se chupane ki jaroorat kya hai
tum mitta sakte nahi apne dil se mera naam kabhi
phir copy kitabo par likhkar mitane ki jaroorat kya hai.
 
tere chehre se nazar hatta sakta nahi
bekrari is dil ki chupa sakta nahi
kitni hasin hai jawa mohabbat ki hasin majbooria
samne manzil hai par kadam badha sakta nahi

Nazar jis pe tik jaaye ek baar
Wahan se hatti nahin
Bekarari laakh chupana chahein
Lakin chupaye chupti nahin
Manzil paane ke liye aage haath badhana hota hai
Humdum bhi phir kadam badha ke haath thaam leta hai
 
lamha lamha sanse khatam ho rahi hai
zindagi maut ke pehlu me so rahi hai
us bewafa se na poocho mere maut ki wajaah
woh toh bass zamaane ko dikhaane ke liye ro rahi hai
 
lamha lamha sanse khatam ho rahi hai
zindagi maut ke pehlu me so rahi hai
us bewafa se na poocho mere maut ki wajaah
woh toh bass zamaane ko dikhaane ke liye ro rahi hai


Lamha Lamha unke naam se saanse mehak rahi hain
Un sang meri Zindagi dekh ye maut bhi darr rahi hai
Wafa karne waalo se pooch kar dekho yahan
Ke unki Mohabbat Zamaane me kaise naam kar rahi hai
 
Lamha Lamha unke naam se saanse mehak rahi hain
Un sang meri Zindagi dekh ye maut bhi darr rahi hai
Wafa karne waalo se pooch kar dekho yahan
Ke unki Mohabbat Zamaane me kaise naam kar rahi hai


Hello Dearest Monika

Thanks a lot for presenting these beautiful lines.....really you are very sweet and have very nice thoughts and feelings with you to share with us which spread happiness in the real manner...i really like your positive replies, so dear keep on posting:) :) :) :) :)

Keep Smiling
With love
Neelam:)
 
Tere dil ke dhadakane se dhadakta hai mera dil
Teri hi saanson se chalti hai meri ye jindgi
Teri annkhon ke sapnon ne sanwaraa hai mera sansaar
Teri hi khooshboo se mahaki hai meri ye jindgi
Chalte chalte jeevan ki shaam dhal chali thi
Tere hi aane se roshan hai meri ye jindgi
 
Last edited:
Tere dil ke dhadakane se dhadakta hai mera dil
Teri hi saanson se chalti hai meri ye jindgi
Teri annkhon ke sapnon ne sanwaraa hai mera sansaar
Teri hi khooshboo se mahaki hai meri ye jindgi
Chalte chalte jeevan ki shaam dhal chali thi
Tere hi aane se roshan hai meri ye jindgi

Tere muskurane se muskuraate hai hum
Tujhe khush dekhna hi hai meri zindagi
Tere haathon ko thaame hain mere ye haath
Tere haatho ki kismat hi hai meri zindagi
Tere kadam ho sang to chalte hain mere kadam
Tere saath hai mere sang to zinda hai meri zindagi
 
Nazar jis pe tik jaaye ek baar
Wahan se hatti nahin
Bekarari laakh chupana chahein
Lakin chupaye chupti nahin
Manzil paane ke liye aage haath badhana hota hai
Humdum bhi phir kadam badha ke haath thaam leta hai


Saath badhaaye hain humne ye kadam,to manzil paayi hai
Baante gam ik duje ke milke,to ye khushiyaan paayi hai
Bekarari chipaye baithe the hum kisi zamaane me
Jab bayaan ki,tab ja kar humne apni kismat paayi hai
 
Har taraf logo ki umeedon ke kille nazar aate hain
Sabki khushiyon ke baag ujade nazar aate hain
Kyun intzaar rehta hai kisi apne ke aane ka
Jo pehle se apne hain,wo sabko paraaye nazar aaye hain
 
Last edited:
Khushiyan iss dil ne bahaut paayi
Phir bhi mann udaas hai
Hardam saath ho wo mere
Besabri se iska intezaar hai
Ye duriyan kab tamam hongi
Aanken rasta dekhti hai
Sapna jaldi saccha ho mera
Har saans ye dua karti hai
Koi maang laaye wo khushiyan meri
Jinko paane ko ye ruh tarasti hai
 
Khushiyan iss dil ne bahaut paayi
Phir bhi mann udaas hai
Hardam saath ho wo mere
Besabri se iska intezaar hai
Ye duriyan kab tamam hongi
Aanken rasta dekhti hai
Sapna jaldi saccha ho mera
Har saans ye dua karti hai
Koi maang laaye wo khushiyan meri
Jinko paane ko ye ruh tarasti hai

khushiyaan dosti se paayi hai humne
Udaasi me bhi hansi aayi hai hume
Aise dosto ka saath baksha hai hume
Unpe waari apni khushiyaan bhi humne
Khuda se sachhi duaa ki hai aaj humne
De De tumhaare sapno ki haqiqat tumhe
 
haaaaaaaahaaaaaaaaaaaa

Aayo aaj is shayri me madmast ho jaaye:D :D
Chalo milkar chand lafzo ki ghoont lagaaye
Apni hi aankhon me itne kho jaayen
Ghar waale kahe dekho Shayar hain aaye:D :D
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Back
Top