Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
fool4love said:
naseeb insaan ka chahat se hi savarta hai
naseeb insaan ka chahat se hi savarta hai
kya bura isme....
jo koii.. kisi pe marta hai

Nice song from Quarbani........Kamal

Ye chahat nahi hoti to kya hota duniya mein
Is mohabbat ka naam-o-nishan nahin hota
Koi kisi pe marta rahe yahan is duniyan mein
Kisi patther dil pe koi ahsaan nahin hota
 
vijay said:

LOl... i tot .. no one wud recall... hahahaha :P

vijay said:
Ye chahat nahi hoti to kya hota duniya mein
Is mohabbat ka naam-o-nishan nahin hota
Koi kisi pe marta rahe yahan is duniyan mein
Kisi patther dil pe koi ahsaan nahin hota

ye chahat nahi hoti to mohabbat nahi hoti duniya mein
ye mohabbat nahi hoti to.. wafa nahi hoti duniya mein
jo ye dono na hote... to ye thread na hoti jatland mein
ye thread na hoti.. to meri badnami na hoti is jahan mein

:D
 
Last edited by a moderator:

Hahahahahahahaha .....Kamal Bhai, U really made me laugh.

Thanks a lot bro !
 
Fasleey jism ko to dour ley jatey hai
per diloo key shehar to ujar tey nahi
ankhoo sey ankhoo ka rishta tut jaye bhi to kiya... sath dekhey huey khwab to mit tey nahi....

vijay said:
Hahahahahahahaha .....Kamal Bhai, U really made me laugh.

Thanks a lot bro !

vijay aur hans le hahhahahah

Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

HUM NA HOTE TAU TUMHE GAZAL KAUN KEHTA,
TUMAHARE CHEHRE KO KAMAL KAUN KEHTA,
YE TAU HAI KARISHMA MOHABBAT KA,
WARNA PATTHRO KO TAJ MAHAL KAUN KEHTA

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai

.
 
Last edited by a moderator:
dhayal said:

bahut khoob...yeh zalim hushnwale hote hi lutere hain.... better to check everything before they come and after they leave...badi safai se loot kar le jaate hain wo sab kuch...

RK^2

dhayal said:
HUM NA HOTE TAU TUMHE GAZAL KAUN KEHTA,
TUMAHARE CHEHRE KO KAMAL KAUN KEHTA,
YE TAU HAI KARISHMA MOHABBAT KA,
WARNA PATTHRO KO TAJ MAHAL KAUN KEHTA

oye balle balle...mar dala ...

RK^2
 
Last edited by a moderator:
dhayal said:
HUM NA HOTE TAU TUMHE GAZAL KAUN KEHTA,
TUMAHARE CHEHRE KO KAMAL KAUN KEHTA,
YE TAU HAI KARISHMA MOHABBAT KA,
WARNA PATTHRO KO TAJ MAHAL KAUN KEHTA

Woh chehra chand se bhi haseen hai
Kahan likh payeega uspe koi gazal
Is jahan mein mohabbat naam hai uska
Jispe kurbaan kar denge kai TAJMAHAL

dhayal said:
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai

Hamaare andaaz-e-bayaan kya jaanoge
Zamaana jinki saadagi ka kaayal hai
Ye lahoo bahut bahaaya hai humne
Jism ka har hissa abhi bhi ghaayal hai

.
 
Last edited by a moderator:
vijay said:
Hamaare andaaz-e-bayaan kya jaanoge
Zamaana jinki saadagi ka kaayal hai
Ye lahoo bahut bahaaya hai humne
Jism ka har hissa abhi bhi ghaayal hai

Gujjar gaye harr hadd se thhe,iss pyar ke chakkar saarre mein
Jikkar kiya na dilbar ka hum ghumme Bullak-bukharre mein
Wo hansste thhe hum hunsste thhe,Kya rass tha ishaq nazzare mein
Wo challe gaye thhe chhodd hammein,Kissi aur ke ek issarre mein
 
hmm.........

devdahiya said:
Gujjar gaye harr hadd se thhe,iss pyar ke chakkar saarre mein
Jikkar kiya na dilbar ka hum ghumme Bullak-bukharre mein
Wo hansste thhe hum hunsste thhe,Kya rass tha ishaq nazzare mein
Wo challe gaye thhe chhodd hammein,Kissi aur ke ek issarre mein

chakha to tha humne bhi tha ye peymaanaa e ishq...
suna tha khali bhi madhoshi se bhar deta tha ishq..

par jab chaha ke madhosh ho kar sama jaaen iss peymaane main...
tabb khudd ko akela paaya uss kabhi ishq sey bhare peymaane main...
 
ratheetheraist said:

Ye ishq hai pyare paimaano mein kya bharoge
Zindagi ka haseen ahsaash hai kya pehchaanoge
Ye alag baat hai ki kushnaseebon ko hi milta hai
Asal haqeeqat saamne aaayegi tab isko jaanoge
 
vijay said:
Ye ishq hai pyare paimaano mein kya bharoge
Zindagi ka haseen ahsaash hai kya pehchaanoge
Ye alag baat hai ki kushnaseebon ko hi milta hai
Asal haqeeqat saamne aaayegi tab isko jaanoge

Dard Muhabbat ka.... seene se laga ke rakhna...
Yeh dard bade khushnaseeb ko mila karta hai....
Badnaseeb to voh hai is zamane me.....
Jo is dard ke naam se bhi dara karta hai.....
paimaaon me aa kar dard aankhon se nahi chalakta ab..,
Varna... dard vahi hai.... aur raha bhi vahin karta hai....
 
shobhitdeshwal said:

Tum dil ko bekrar kyo nahi karte,
Meri mohabbat par atbar kyo nahi karte,
Jee nahi sakta hoke juda tumse,
Lekin tum to mohabbat ka izhaar nahi karte.​
 
TERE ROOTH KE JAANE KE BAAD ,
KAISE JUZAREE HAI HAR RAAT MAT POOCHOO.
SAARE JHAN MEIN TU SAMAYA, HAR TARAF HAI TU CHAYA,
KAISE UBHARTE HAIN JASBAAT MAT POOCHO.
VO BHINI SE KHUSHBOO,VO THANDI FOOHAR,
KAB BARSAIGE ASE BARSAAT MAT POOCHOO.
KYA THE MERI KHATA,KYO HUA WOH MUJHSE KHAFA,
KYA-2 UMADTE HAIN SAWALAAT MAT POOCHO.
YE KASAK,YE TADAP,YE BAICHAINEE,YE ULJHAN,
KAB HOSA SUKOON HAMARE SAATH MAT POOCHO.

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Mat pooch mere sabr ki inteha kahaan tak hai..
tu sitam kar le teri takat jahaan tak hai....
wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi....
humein to dekhna hai to bewafa kahaan tak hai.....

.
 
Last edited by a moderator:
nikitadhaiya said:

Nice composition, Niki.

Woh sari khushiyan apne saath lekar chale gaye
Aaj kal gum kitna meharbaan hai mat poochho
Dil aaj bhi unki aas lagaaye hue baitha hai
Ye humaara dil bhi kitna nadaan hai mat poochho
Es tanhaai ke safar mein kis kis ko nahin pukaara
Lekin ye jamaana kitna beimaan hai mat poochho
Unka kya haal hua hoga is jamaane mein ye sochkar
"Vijay" aaj bhi kitna pareshaan hai mat poochho
 
Jaante hain jo khoya use bhulna mushkil hota hai
lakin aane waala kal pukaar raha hai
usko thaam le ae mere dost
jo kho diya wo to naseeb main nahin tha
lakin jo aawaaaj de raha hai usse mat kho
kya pata asli khushiyan ussi main chhupi hon
ek baar haath aage badha ke to dekh
phir dekh khushnaseebi hamesha tere saath hogi

never look back for what is gone as it was never yours and welcome the tomorrow with a bright smile and happiness....that will be yours forever:)

i wish everyone find their true happiness in tomorrow and forgetting everything about their past.
 
nikitadhaiya said:
Mat pooch mere sabr ki inteha kahaan tak hai..
tu sitam kar le teri takat jahaan tak hai....
wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi....
humein to dekhna hai to bewafa kahaan tak hai.....[/QUOTE

apni dhun me rehta hun, main bhi tere jaisa hun
O pichli rut ke saathi, abke baras main tanha hun
aati rut mujhe royegi.... jaati rut ka jhonka hun
apni dhun me rehta hun main bhi tere jaisa hun
apni lehar hai apna rog..... DARIYA HUN PAR PYASA HUN
apni dhun me rehta hun, main bhi tere jaisa hun

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Badi door tak chala is mukam ko paane ke liye......
Unko aawaz bhi di, rooth kar na jaane ke liye.....
Suni nahi fariyad meri, kaan band the unke zamane ke liye....
Aage badh gaye voh.... safeena mera bahane ke liye.....
Us mod se aaj bhi guzarta hun.. dil ko unki yaad dilane ke liye....
Jis mod pe mile the pehle.. kabhi na chhod ke jaane ke liye!!!

.
 
Last edited by a moderator:
nikitadhaiya said:
Mat pooch mere sabr ki inteha kahaan tak hai..
tu sitam kar le teri takat jahaan tak hai....
wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi....
humein to dekhna hai to bewafa kahaan tak hai.....

Nice composition again, Niki

Ye sitam kab tak sahega ye bechaara dil
Kisi din shayad koi qayamat ho jaayegi
Teri bewafaai ka hi jikar hoga har taraf
Aur badnaam yahan mohabbat ho jaayegi

shobhitdeshwal said:
apni dhun me rehta hun, main bhi tere jaisa hun
O pichli rut ke saathi, abke baras main tanha hun
aati rut mujhe royegi.... jaati rut ka jhonka hun
apni dhun me rehta hun main bhi tere jaisa hun
apni lehar hai apna rog..... DARIYA HUN PAR PYASA HUN
apni dhun me rehta hun, main bhi tere jaisa hun

Good one, shobhit bhai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Apni dhun mein rahta hun, main bhi tere jaisa hoon
Woh aaj tak nahin samajh paye ki main kaisa hoon

Zindagi bhar ka dard diya kisi ne koi gila shikva nahin
Lekin aaj apni mohabbat pe jo sharminda ho waisa hoon

Har pal mar kar bhi zinda rahe hum unki bewafai ke baad
Kisi ne maut deni chahi, lekin aaj bhi zindagi ke jaisa hoon

Ye waqt aur kya dikhaayega zindagi ke badalte hue rang
Taqdeer kya mitayegi "Vijay" ko main hathon mein likhi lakeero jaisa hoon

Apni dhun mein rahta hoon, main bhi tere jaisa hoon
Bahaaren aakar chali gai, aajkal patjhad jaisa hoon

Is dil pe kya kya gujari kya jaan paayega ye jamaana
Jo kabhi pure na ho paaye un adhure armaano jaisa hoon

Bure waqt mein apna saaya bhi saath chhod kar chala gaya
Aj zindagi ke is toofaan mein akela besahaaron jaisa hoon

Kaali andheri lambi raat na jaane subah kab tak aayegi
Aasman mein bhatak rahe kisi dhundhale sitaare jaisa hoon

Koi raahi bhatak raha hai samander ki ufnati lehron mein
Kisi ko kya maloom "Vijay" unke liye kinaare jaisa hoon

.
 
Last edited by a moderator:
apni dhun me rehta hun, main bhi tere jaisa hun
O pichli rut ke saathi, abke baras main tanha hun
aati rut mujhe royegi.... jaati rut ka jhonka hun
apni dhun me rehta hun main bhi tere jaisa hun
apni lehar hai apna rog..... DARIYA HUN PAR PYASA HUN
apni dhun me rehta hun, main bhi tere jaisa hun[/quote]

meri dhun meri saheli h kaise kah du me tumko k m akeli hu
ab to tanhai hi h saathi meri iske bina jindagi adhuri h
rute ayegi jayegi me to kal bhi wahi khadi thi jaha aaj hu
lahre kaha tham payegi mujhko kinere p jo aake duba vo saffena hu
mere khayal saath h mere kaise kah du m akele hu
 
vijay said:
Apni dhun mein rahta hoon, main bhi tere jaisa hoon
Bahaaren aakar chali gai, aajkal patjhad jaisa hoon

agar aap un jaise hain Vijay Ji fir to aapko bahar honaa chahiye, ne ki patjhad...LOL... aarey mian bahar chali gayee to kiyaa huaa, uski khushboo to hai hai...maja lijiye khusboo kaa...

ai hawaon, tum aakar mere labon se chipak jaao
suna hai tum, unke rukhsaar ko chookar aayee ho

RK^2
 
Last edited:
Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

vijay said:
Ye hothon ki muskurahat sab bata deti hai
Ki aaj kis baat pe rone ko jee karta hai
En chamakati hui ankhon ko gour se dekho
Inki gahraaiyon mein kitna gum basta hai

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
.
 
Last edited by a moderator:
dhayal said:
Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain

Ye hothon ki muskurahat sab bata deti hai
Ki aaj kis baat pe rone ko jee karta hai
En chamakati hui ankhon ko gour se dekho
Inki gahraaiyon mein kitna gum basta hai

dhayal said:
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum

Hazaaron milenge chahat ke deewaane yahan
Magar pyar nahin milega, tumhein kya maloom
Woh talash rahen hain mohabbat jamaane mein
Humsa kahin nahin milega, tumhein kya maloom
.
 
Last edited by a moderator:
Status
Not open for further replies.
Back
Top