En nazron mein uthate hain roz kai sawaal
Hamen kisi bhi sawaal ka jawab nahin milega
Khak chhan lo chahe tum jamaane bhar ki
Kahin bhi humsa tumhe aftaab nahin milega
Wo jhukkein tou jhukke dunniya,hanssein tou bahaar aa jaye
Aahssan hei uppar wale terra ke deedar hum bhi karr paye
Kyaammat harr aadda unki,harr nazzar mei bhi kyammat hei
Salika bas muhobbat ka aggar unko sikha paye.
very good................. par ' to nahin' se nikal kar 'to han' mein aayiye huzoor
Hamein kahin paani nahin milla tou maikhanne aa gye
Wahan bhi dekha paimaane chha gye
Tumhein dhhunddane mei mandir mei aaya
Aur jabb bhagwaan se tumhein mangga
Tou usko bhi tumahra chahne wala paya.
bhai wha wha
but
Pyar Pyar Pyar wo Pyar kya hoga pura
jiska phela lafj hee hein adhura
Shabd ki paribhaasha shabdo ke bina adhuri hein
ahsaas ki abhivyakti bhi shabdo mein jaroori hein
aur vijay ke shabdarth kee baat nahi
ye to bhavarth ki bari hein
Jindagi Mai.N
Kabhi
Ek Shabd
Deta Hai Aseem Sukh
Auir,
Aseem Dukh Bhi...
Ek Shabd Se..
Ban Jata Hai... Ek Rista
Auir,
Ek Shabd Se..
Bikhar Jata Hai
Kabhi Bhi, Koi Rista..
Ek Shabd Se..
Kabhi Jindagi Bemani Ho Jati Hai..
To Ek Shabd se Abhimani
Ek Shabd Se..
Jindagi Tham Si Jati Hai..
Auir,
Ek Shabd Se..
Thami Jindagi Ko
Saans Mil Jati Hai..
Fir..
Shabdo.N Ke Dayare Mai.N
Kyu.N Likhu.n..
Ek Shabd...
Shabdo.N Ke Paar Likhna Chahta Hu.N
Ek Auir Shabd
Shayad...
Ban Jaaye Ek Jeevan
Jo Le Sake
Chain Ki Ek Saans,
En Shabdo.N Ke Darmiya.N.......
Vijay
Kab mitega ye intezaar ka lamba daur
En ankhon mein ye shikaayat hi to hai
Andhera bahut betaab hai roshni ke liye
Andheron ko roshni ki jarurat hi to hai
Shayad nahin hota "Wafa aur mohabbat" mein
Ye es dil par likhi hui ek ibaadat hi to hai
Jara dekhen to sahi mera dil kiske paas hai
"Vijay" ke jehan mein ye khayalat hi to hai
Intezaar ki imteha hi muhabbat ka fasana hai
Kis dil ko chain hai? kaisa yeh zamana hai
Humne socha tha log milte hain hameha ke liye
Par pata chal gaya yeh eik ajayabkhana hai
kal intezaar unko hota tha humara yahan
aaj humko intezaar ka dhol bajana hai!!!!
Cheers!!
Shobhit Deshwal
ARRE VIJAY SIR GAJAB KIYA.. U ARE MORE CREATIVE POSITIVELY THAN NEGATIVE.. HATS OFF AND 4 LINES OF MY OWN .... SIRF AAPKI MUHABBAT KE LIYE... ARZ HAI....
muhabbat sirf dard nahin deti ,
mile 'woh' to batlaya unhone .........
Ik dilkash ehsaas hai,
ki shehenshah bacha is se na khaksar hi koi,
jane kitne rang hai muhabbat ke,
mile 'woh' to dikhlaya unhone.......
jo humne ki aaj tak woh kahan thi muhabbat,
muhabbat keejiye to yun keejiye,
mile 'woh' to sikhlaya unhone.......
Yahan bhi mere paas 'unke' liye advice hai. najm maine likhi par mere kaam nahin aayi. hanuman ji kare kisi e kaam aaye. bahut simple hai, lekin meaningful hai ........ arz hai....
Sikke ki hi tarah insan ke bhi hote hain pehlu do(2),
ek unke liye jinhe woh chahta hai,
dusra unke liye jo use chahte hain.
Do tavajjo unko jo tumhe chahte hain,
kyonki jo tumhe chahte hain,
woh bas tumhe chahte hain,
aur jinhe tum chahte ho ,
Nice Surjeet bhai
woh shayad kisi aur ko chahte hon.
aur keh den tumhen ek din,
" tum humein chahte ho par hum kisi aur kochahte hain, jao, laut jao unke paas jo tumhe chahte hain..."
tum laut aate ho aur dekhte ho kya......
mit chuki chahat unki,
chahte- chahte tumhe umar bhar,,
ab mil gaya unhen bhi koi ,
jo unhe chahta hai..
ho gayi bahut der sanam,
ab woh bhi kisi aur kochahte hain .....
aur tum tanha ab unko chahte ho
We use essential cookies to make this site work, and optional cookies to enhance your experience.