Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
shikayat karti hain ab is daur ko mitane ki
inhi aankhon ne ki iski shururat bhi to hai

kyun kabhi ye roshni hoti betaab nahi andhero ke liye
jabki shauhrat roshni ki andheron ki zaroorat se hi to hai

gar shayad ghar kar jaye "wafa aur mohabbat" me
n hogi mohabbat shuru kabhi,ye iski fitrat hi to hai

dil kisi ko dekar ab doond rahe yahan wahan
ye bhi to is mohabbat ki siyaasat hi to hai

Milne ki dua karti hai ye nighahen ab
Ye ab mohabbat ki shuruwat hi to hai

Roshni agar andhera mitane ko betaab hai
Andheron ko iski sakhat jarurat hi to hai

"Wafa aur mohabbat" hi falsafa hai zindagi ka
Ek chaahat mil jaaye agar inaayat hi to hai

Dekhen kisne dil churaya hai is "Vijay" ka
Unko ek nazar dekhne ki hasrat hi to hai
 
ab apki nighahen bhi karne lagi hain dua
ye shuruwat se intzaar ko mili rahat hi to hai

roshni betaab nahi inhe mitaane ko
andhero ko is tak aane ki jarurat to hai

"wafa aur mohabbat" ko naam diya zinadagi ka
inme raha chahton ka sada wo siqaalat hi to hai

najane kaun chura le gaya ye dil "vijay" ka
churaane waale me curaane ki liyakat hi to hai
 
Ye nighahen to har pal dua karti thi
Sirf apnepan ki ye chaahat hi to hai

Andhera roshni ki taraf chala aayega
Magar ek ishaare ki jarurat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' chaahat hai zindagi ki
Kisi ko apna banane ki neeyat hi to hai

Magroor hain woh 'Vijay' ka dil chura ke
Lekin unki ye mohabbat asliyat hi to hai
 
dua kiya karti thi ye nighahen, par ab nahi
inki chahat ko apnana karna inpe rehmat hi to hai

un andheron me wo ek ishara nazar na aaega
roshni tak aane ke bahane ek rukawat hi to hai

jo rakhte hain niyat kisi ko apna banane ki
"wafa aur mohabbat" kehlati unki shahadat hi to hai

unki magrooriyat ko asliyat na samjhiye
dil churana ki hoti sabki ek aadat hi to hai
 
Nighahon ki dua ka hi asar hai shayaad
Mohabbat ki aaj hum par inaayat hi to hai

Ye ishaare roshni mein hi nazaar aayenge
Ek nai zindagi ke kadmon ki aahat hi to hai

Apna banana hi to 'wafa aur mohabbat' hai
Iske liye humne maangi koi mannat hi to hai

Dil chura liya "Vijay" ka koi gum nahin magar
Kisi ki amaanat rakhne mein izzat hi to hai
 
Nighaon ki dua ko bhi shayad keh diya
Inayat karna mohabbat ki sharafat hi to hai

Nazar aana in ishaaron ka roshni me aasa na hoga
In kadamon ki aahat ko gaur se sunane ki zarurat bhi to hai

Apno se nibhana ""wafa aur mohabbat"" hai
Bin mannat mange ise paana nazafat hi to hai

Jo sambhala hota ise to kaun chura sakta tha
N bana ise amanat kisi ki ye tumahri kismat bhi to hai

good
very nice!
Aankh mein namken paani aane laga hai

maza abke saawan ka aane laga hai​

Hosh kisko raha ki dekh sakein humein?
koi itna madhosh nagma gaane laga hai​

raaton ke andhere me sunti hai aawaz unki
zehen me bas unka sorror chane laga hai​

kar diya tha mujhko mere hawale usne ab mera dil harr daman me bata nazar aane laga hai​

koi to batlaye ki hua kya hai unko
kyun mere naam pe unko ranj aane laga hai​

badi chot gehri hai, bada dard jawan hai
aur zakham se rooh tak dard jaane laga hai​

hua yeh ki yaron main bhool gaya khud ko
apne naam se bhi voh hi yaad aane laga hai​

dikha aks uska, uth baith gaya main
aks bhi kamra mehkane laga hai​

kuch kadam aur bache the, chal sake na voh.
bole... koi door se unko bulane laga hai..​

Aankh me namkeen paani chhane laga hai

maza abke saawan ka aane laga hai!!!​
 
Nighaon ki dua ko bhi shayad keh diya
Inayat karna mohabbat ki sharafat hi to hai

Nazar aana in ishaaron ka roshni me aasa na hoga
In kadamon ki aahat ko gaur se sunane ki zarurat bhi to hai

Apno se nibhana ""wafa aur mohabbat"" hai
Bin mannat mange ise paana nazafat hi to hai

Jo sambhala hota ise to kaun chura sakta tha
N bana ise amanat kisi ki ye tumahri kismat bhi to hai

Nighahon ki shararat to shayad kahte hai
Dil kho baithna ek masoomiyat hi to hai

Roshni mein bhi agar ishaare nazar na aaye
Yakeen nahin ki sab kuchh asliyat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' dekhna chahte hain ab
Warna ye mohabbat ki mahaz fazihat hi to hai

Sochte hain "Vijay" ki dil ko bus mein rakhen aab
Ye fir se naa toot jaaye kahin, iski nazakat hi to hai
 
MAAN JA IB TOH..... VIJAY BHAI KI SANS ATAK RAHI HAI.....

Bahut ki minnatein humne jeete ji unki,
na samjha kabhi kaabil ek nigah-e-muhabbat ke bhi liye,
dekhiye toh khel zalim khuda ka,
aaj,, aankhon mein aansoo liye,
sabse aage hain woh mere janaje mein................
 
Koi saaans nahi atak rahi, Surjeet bhai

Jo jeete ji kabhi bhi hamaare apne na ho sake
Maut ke baad ab unse hum umeed bhi kya karen
Janaaje mein shaamil hona to bus unki fitrat hai
Maar kar kisi ko woh anshoo bahayen to kya karen
 
ULTIMATE HO VIJAY BHAI......

JHOOTHI SI EK MUSKURAHAT HAI LABON PAR,
CHHUPA RAHE HAIN SABHI SE BEWAFAI YAAR KI.
KEHTE HAIN KYA KHOOB NEEND AAYI MAGAR,
AANKHON KI SURKHI BAYAN KARTI HAI HAQUEEKAT RAAT KI

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

something from collection now...............

saadgi toh hamari jara dekhiye ,
etbaar aapke vaade par kar liya.
baat toh sirf ek raat ki thi magar,
intezar aapka umar bhar kar liya.

ishq mein uljhane pehle hi kam na thin,
aur paida naya dard sar kar liya.
log darte hain kaatil ki parchhayee se,
humne kaatil ke dil mein bhi ghar kar liya

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Jikar ek bewafa aur sitamgar ka tha,
aapka aisi baaton se kya waasta.
Aap to bewafa aur sitamgar nahin ,
aapne kis liye muh udhar kar liya....

Jindagi bhar ke shikwe gile the bahut,
Waqt itna kahan tha ki dohrate hum.
Ek hichki mein keh dali sab daastan,
Humne kisse ko yun mukhtsar (end) kar liya...
.
 
Last edited by a moderator:
ULTIMATE HO VIJAY BHAI......

JHOOTHI SI EK MUSKURAHAT HAI LABON ,
CHHUPA RAHE HAIN SABHI SE BEWAFAI YAAR KI.
KEHTE HAIN KYA KHOOB NEEND AAYI PAR,
AANKHON KI SURKHI BAYAN KARTI HAI HAQUEEKAT RAAT KI

En labon pe jiska naam rahta hai hurdum
En ankhon mein baste jinke hi sapne hain
Raaton mein neend nahin aai kisko bataayen
Kya unko bad dua de de jo hamaare aapne hain

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Hamari saadgi ko woh kya pehchane
Bina jaane humne unse pyar kar liya
Woh zindagi mein aakar chale bhi gaye
Humne apna dil unki yadon se bhar liya

Unko bhi to hum yaad aayenge kabhi
Woh jaise bhi they unko sweekar kar liya
Apni khushoyan unke daaman mein daal di
Aur unka har gum apne naam kar liya

.
 
Last edited by a moderator:
Nighahon ko aadat hai shararat karne ki
Na samjhe inhe koi wo nadaniyat hi to hai

Asliyat to hoti hi yakeen karne ke liye hai
Na nazar aana ishaaro ka inki hizaakat hi to hai

Kaise dikha sakega "wafa aur mohabbat" koi
Yehi kehlati mohabbat ki daulat bhi to hai

Na chaha,na chahenge ke toote dil kabhi kisi ka
Isi chahat me rehti kisi aur ki amanat bhi to hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Sanjeeda hua koi aur use mohaabat keh diya
In nighahon ko ilzaam dena ek aadat hi to hai

Jo mitaengi in andheron ko tumhari roshni hogi
Us roshni ke haathon ki chiraagon ko zarurat hi to hai

Ehsaas koi aur karaaye to ye inayat n hogi
Isi daulat me chipi ehsaas ki kismat bhi to hai

Pehle se hi nibha rahe hain wada'Wafa aur Mohabbat'ka
N karna tum par rahmat us wade ki karna hifajat hi to hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

njaane kitne hi naam diye hain tumne is mohabbat ko
har naam ki shinakhat karna,chahat ki shiddat hi to hai

roshan ho sakti hai ye zindagi bin chiraago ke bhi
andhero ka daaman thamna mahz ek siqaalat hi to hai

Jo "Wafa aur Mohabbat" ko naseebo se mante hain
na milne pe inke wo kauste isi kismat ko hi to hai

un kuch logon me humara naam bhi shamil hai
jis chalan ko dekhna hai wo ek banawat hi to hai

En nighahon ne jo ab ye shararat ki hai
Koi sanjeeda ho gaya mohabbat hi to hai

Roshni agar andhera mitana chaahati hai
Chraag jalaaye bhi kabhi jo uski aadat hi to hai

Mana 'Wafa aur mohabbat' hi hai asli daulat
Ek baar ahsaas bhi karaaye ye inaayat hi to hai

Har roz yahi kahten hai woh ki dil nahin todenge kabhi
Agar aab wada nibhaya, 'Vijay' pe rahmat hi to hai

Sanjeeda hua koi aur use mohaabat keh diya
In nighahon ko ilzaam dena ek aadat hi to hai

Jo mitaengi in andheron ko tumhari roshni hogi
Us roshni ke haathon ki chiraagon ko zarurat hi to hai

Ehsaas koi aur karaaye to ye inayat n hogi
Isi daulat me chipi ehsaas ki kismat bhi to hai

Pehle se hi nibha rahe hain wada'Wafa aur Mohabbat'ka
N karna tum par rahmat us wade ki karna hifajat hi to hai

Ye sanjeedagi hi naam hai mohabbat ka
Es dil ne ki chaahat ki shinakhat hi to hai

En andheron mein jab bhi ye chiraag jalenge
Roshan koi zindagi hogi ye qayamat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' to milti hai naseebon se
Kisi ko mili kisi ko nahin, ye kismat hi to hai

Waada to nibhate hain sirf kuchh log yahan
Chalan dekha hai duniyan ka, ye shikayat hi to hai

njaane kitne hi naam diye hain tumne is mohabbat ko
har naam ki shinakhat karna,chahat ki shiddat hi to hai

roshan ho sakti hai ye zindagi bin chiraago ke bhi
andhero ka daaman thamna mahz ek siqaalat hi to hai

Jo "Wafa aur Mohabbat" ko naseebo se mante hain
na milne pe inke wo kauste isi kismat ko hi to hai

un kuch logon me humara naam bhi shamil hai
jis chalan ko dekhna hai wo ek banawat hi to hai

Shaayad aaj phir dhokha hua mohabbat ke naam pe
Wafadari pe shaque karna, touhin-e-mohabbat hi to hai

Agar bin chiraagon ke bhi roshan ho sakti hai ye zindagi
Andheron ko koi gum nahin, ye zindagi ki asliyat hi to hain

Hum abhi bhi 'Wafa aur mohabbat' naseebon ko maante hain
Lekin bura kaise kahen kisi ko, ye hamaari insaaniyat hi to hai

Zindagi se hum jeete har baar par is mohabbat mein haar gaye
Kuchh na kahega 'Vijay' kisi se kabhi par dil mein shikayat hi to hai
 
Last edited by a moderator:
Agar chahat ki aehliyat ki baat tohin-e-mohabbat hai
to humse hui is gustakhi ki humne ki qubooliyat bhi to hai

Zindagi ki asliyat pe yakeen karna padta hai sabko
Karna roshni se andhero ki baatein,shikayat hi to hai

"Wafa aur Mohabbat" naseeb waalo ko hi milti hai
mane ya na mane koi ise,karte hum sabki izzat hi to hain

agar karoge kabhi shikayat humse apni har ki
Hai wada sunenge use gaur se, ye haqikat hi to hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Agar na bata paya koi chahat ko, to phir
hogi mohabbat ko is se shikayat hi to hai

in andhero ko hamesha dikhai aas roshni ke aane ki
roshan khud karle zindagi hogi zindagi pe rehmet hi to hai

Wafa aur Mohabbat ka naseeb ho naseeb sabko
khawaishon ki to zindagi ko mili saugaat hi to hai

Apni zindagi se karte mohabbat to sabhi hai yahan
bayaan kare haar ko khushiyo me,nazafat hi to hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Mohabbat chupane ka shaunk kaun rakhta hai yahan
chahne walo ko duniya ki chaihye izzazat hi to hai

Kyun intezaar hai kisi ko zindagi ke aane ka
n sun is aahat ko humne di ek nasihat hi to hai

jiske naam lene se hi mehkati hai zindagi sabki
us naam ki wafa aur mohabbat pe likhi aayat hi to hai

mohabbat naam hai kisi ke dil ko jeet jaane ka
sada muskurane ki in labon ki aadat hi to hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

En aankhon me to shararat hi rehti hai hardum
ek yahi kaam karne ki in aankhon ko aadat to hai

Jo khushiyon ke aane se khush hote hai zindagi me
unhe kisi aur ki khushiyan churaane ki aadat hi to hai

kisi ko naam se pehchaanane ki ada to khoob hai
Wafa or Mohabbat me kurbaa hona bhi aadat hi to hai

Mohabbat me kisi ki kabiliyat to n dekhi kabhi
ye baatein banana bhi to chahat ki aadat hi to hai

.
 
Last edited by a moderator:
Agar chahat ki aehliyat ki baat tohin-e-mohabbat hai
to humse hui is gustakhi ki humne ki qubooliyat bhi to hai

Zindagi ki asliyat pe yakeen karna padta hai sabko
Karna roshni se andhero ki baatein,shikayat hi to hai

"Wafa aur Mohabbat" naseeb waalo ko hi milti hai
mane ya na mane koi ise,karte hum sabki izzat hi to hain

agar karoge kabhi shikayat humse apni har ki
Hai wada sunenge use gaur se, ye haqikat hi to hai

Es chaahat pe shaque hai gar to kta bataayen
Ye hamaari mohabbat ki bus sikayaat hi to hai

En andheron ko to roshni hi mitaayegi kabhi
Woh roshni hai zindagi uski inayaat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' ka naseeb bhi dekh liya aaj
Ye zindagi khawaishon ki ek mulakaat hi to hai

Kaun haar ki shikayat karta hai yahan ae zindagi
'Vijay' ko ees nai zindagi si hui mohabbat hi to hai

Agar na bata paya koi chahat ko, to phir
hogi mohabbat ko is se shikayat hi to hai

in andhero ko hamesha dikhai aas roshni ke aane ki
roshan khud karle zindagi hogi zindagi pe rehmet hi to hai

Wafa aur Mohabbat ka naseeb ho naseeb sabko
khawaishon ki to zindagi ko mili saugaat hi to hai

Apni zindagi se karte mohabbat to sabhi hai yahan
bayaan kare haar ko khushiyo me,nazafat hi to hai

Mohabbat kahan chhupti hai chhupaane se
En ankhon mein dhikh rahi chaahat hi to hai

Roshan khud ho jayegi zindagi kisi ke aane se
Sunaai de rahi kisi ke kadamon ki aahat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' hi to saugaat hai zindagi ki
Jiske naam se mahaki zindagi ek zannat hi to hai

Mohabbat to naam hai kisi se dil haar jaane ka
Jo labon pe hai aati fir woh muskurahat hi to hai

Mohabbat chupane ka shaunk kaun rakhta hai yahan
chahne walo ko duniya ki chaihye izzazat hi to hai

Kyun intezaar hai kisi ko zindagi ke aane ka
n sun is aahat ko humne di ek nasihat hi to hai

jiske naam lene se hi mehkati hai zindagi sabki
us naam ki wafa aur mohabbat pe likhi aayat hi to hai

mohabbat naam hai kisi ke dil ko jeet jaane ka
sada muskurane ki in labon ki aadat hi to hai

En ankhon mein mohabbat nazar aati hai humen
Chahne walon ki izzat karne ki humen aadaat hi to hai

Kisko intezaar nahin hota zindagi mein khushiyon kaa
Jo es zindaki ko roshan karde ye uski ibaadat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' hi bus jhalkati jiske naam se
Us naam pe kurbaan ho gaye hum ye asliyaat hi to hai

Kaun jeeta aur kaun haara is mohabbat ki chaah mein
Kya farak padta hai yahan ye kisi ki kabiliyat hi to hai

En aankhon me to shararat hi rehti hai hardum
ek yahi kaam karne ki in aankhon ko aadat to hai

Jo khushiyon ke aane se khush hote hai zindagi me
unhe kisi aur ki khushiyan churaane ki aadat hi to hai

kisi ko naam se pehchaanane ki ada to khoob hai
Wafa or Mohabbat me kurbaa hona bhi aadat hi to hai

Mohabbat me kisi ki kabiliyat to n dekhi kabhi
ye baatein banana bhi to chahat ki aadat hi to hai

Aankhon ki shraarat bhi kabhi rang laayegi
Es shararat mein chhupi koi adavat hi to hai

Kisi aur ki khushiyaan koi nahin chura sakta
Sabke naseeb mein likhi unki kismat hi to hai

'Wafa aur mohabbat' pe sab hote hain kurbaan
Apno ko pehchaan lena yahan ek neemat hi to hai

Mohabbat to dil ka rishta hai sirf kabiliyat nahin
Kaun jane kiske hathon mein kiski kismat hi to hai

.
 
Last edited by a moderator:
Aaj is dil ko arzoo hai teri mohabbat ki ae zindagi
Kal ki hum kuchh kah nahin saktke ki kya hoga
Ek bewafaa pe zindagi lutaa rahen hain aaj hum
Kal agar uska naam bhi liya to 'Vijay' bhi kya hoga
 
lamho-lamho main waqt na gujar jaaye
pal do pal main din na dhal jaaye
karni hai to abhi karlo baatein
kal koi aapke liye humse badhkar na ho jaaye....................
 
hi vijay u really wrote this gazal from ur bottom of heart .its quite good ,i like it.keep going.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top