Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Is Mehfil me sab bin shabdo ke hi aate hain
Toote hue dil ka nazrana to sab laate hain
Roshan ho uthte hain lafz har jubaan pe
Jis Mehfil ke aap chiraag kahe jaate hain
 
Last edited:
Is Mehfil me sab bin shabdo ke hi aate hain
Toote hue dil ka nazrana to sab laate hain
Roshan ho uthte hain lafz har jubaan pe
Jis Mehfil ke aap chiraag kahe jaate hain

Mehfil me aaye the hum hanste huye
Par zalim ne hamen rulaa diyaa
diljale ne kya nazam sunaayee
sabki aankhon ko samandar banaa diyaa
 
Mehfil me aaye the hum hanste huye
Par zalim ne hamen rulaa diyaa
diljale ne kya nazam sunaayee
sabki aankhon ko samandar banaa diyaa

Pyaar ki nazam pe bhi aankhen jhalakati hain
Jhalaki aankhen bhi kuch bayaan karti hain
Unki aankhen to ghar hai in lehron ka
Jinki Mehfil me ye samandar se roz milti hain
 
Last edited:
Pane se khone ka maja aur hai
Band aakhon se rone ka maja aur hai,
Anshu bane lafj aur lafj bane ghazal
Aur us ghazal mein aapke hone ka maja aur hai....

Pyaar ki nazam pe bhi aankhen jhalakati hain
Jhalaki aankhen bhi kuch bayaan karti hain
Unki aankhen to ghar hai in lehron ka
Jinki Mehfil me ye samandar se roz milti hain
 
Rang gayi main tere pyaar mein o mere sanwariya
Le chal ab apne saath mujhe udha ke laal chunariya
Jhoom jaaun main khushiyon mein ban ke bawariya
Haath thaame sang sang chalun main jab teri nagariya
 
Pane se khone ka maja aur hai
Band aakhon se rone ka maja aur hai,
Anshu bane lafj aur lafj bane ghazal
Aur us ghazal mein aapke hone ka maja aur hai....

Hi Yash ji
I appreciate if u write ur own wordings here........
Most of the people do copy n paste like dis.....n wat's the thing which makes u n ur shayari different from them:)
take care
Monika
 
hii

hello Monika........
thanks 4 ur appreciation.......
kabhi college tha tab bahut likhta tha.. abh bhi likhta hoon par kabhi kabhi....
one more :

"KITNA ACHAA HOTA AGAR KINARE KE SAATH KINARA HOTA
HUM BHI JEETE KHUSHI SE AGAR KISI KA SAHARA HOTA,
KITNA PUKARA HAI HUMNE APNE DILBAR KO
KHUDA BHI AA JAATA AGAR KHUDA KO PUKARA HOTA"

Hi Yash ji
I appreciate if u write ur own wordings here........
Most of the people do copy n paste like dis.....n wat's the thing which makes u n ur shayari different from them:)
take care
Monika
 
"KITNA ACHAA HOTA AGAR KINARE KE SAATH KINARA HOTA
HUM BHI JEETE KHUSHI SE AGAR KISI KA SAHARA HOTA,
KITNA PUKARA HAI HUMNE APNE DILBAR KO
KHUDA BHI AA JAATA AGAR KHUDA KO PUKARA HOTA"

Jo kush hote hain jahan me kisi ke sahaare se
Kaise bayaan karenge wo chaand ko ek sitaare se
Pukaarane or kadam badhaane me kuch to farq hai
Ye Khuda ne hi bataya hai hume ek ishaare se
 
DETE HO KYUN YE DARD BAS HUMI KO
KYA SAMAJOGE TUM IN AANKHON KI NAMI KO,
U! TO HONGE LAAKHON DEEWANE IS CHAND KE
CHAND KYA MEHSUS KAREGAA EK TAARE KI KAMI KO....

Jo kush hote hain jahan me kisi ke sahaare se
Kaise bayaan karenge wo chaand ko ek sitaare se
Pukaarane or kadam badhaane me kuch to farq hai
Ye Khuda ne hi bataya hai hume ek ishaare se
 
g8..keep it up

DETE HO KYUN YE DARD BAS HUMI KO
KYA SAMAJOGE TUM IN AANKHON KI NAMI KO,
U! TO HONGE LAAKHON DEEWANE IS CHAND KE
CHAND KYA MEHSUS KAREGAA EK TAARE KI KAMI KO....

Lagaate ho kyun apne har dard ka ilzaam unhi ko
Khushi bhi aati hai to le kar aankhon me nami ko
Taare to hazaaron hain chaand ke daaman me
Murjhaai chaandani kaise bayaan kare ek uski kammi ko
 
Rang gayi main tere pyaar mein o mere sanwariya
Le chal ab apne saath mujhe udha ke laal chunariya
Jhoom jaaun main khushiyon mein ban ke bawariya
Haath thaame sang sang chalun main jab teri nagariya

hello Neelam ji
after sucha long time i read or heard the word Nagariya...g8 goin
keep writing
take care
Mona
 
Wo jo kehte hain ki aap likh nahi sakte
Unse poochiye ki unhone kia khaas likha hai
Chand lafzo ko joda or shayri keh diya
In lafzo se dil lagaana unhone kahan se seekha hai

Wo jo kehte hain ki yahi jahaan hain unka
Jahan *Wafa aur Mohabbat* baste hain
Nazaron ne jinhe dekha,usi se unhe pyaar ho gaya
Na jawaab milne pe unhe lagta yahi jahan bewafaa hai
 
DETE HO KYUN YE DARD BAS HUMI KO
KYA SAMAJOGE TUM IN AANKHON KI NAMI KO,
U! TO HONGE LAAKHON DEEWANE IS CHAND KE
CHAND KYA MEHSUS KAREGAA EK TAARE KI KAMI KO....

Dard koi nahin deta apne jazzbat dete hain,
Aankhon me nami bhar kissi ko kya kushi doge.
Chand us din tum par mar mitega
Jis din baaki sitaron se tum alag lagoge.
 
Last edited:
Dard koi nahin deta apne jazzbat dete hain,
Aabkhon me nami bhar kissi ko kya kushi doge.
Chand us din tum par mar mitega
Jis din baaki sitaron se tum alag lagoge.

Hello Shamsher ji
bahut badhiya likha hai..........
keep writing
take care
Monika
 
Last edited:
EK BEWAFA! KE LIYE DIN RAAT TADAFTAA HAI YEH DIL,
ABH TOH SO BAAR RUK KAR EK BAAR DHAKDTAA HAI YEH DIL..

Back
Top