Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
EK BEWAFA! KE LIYE DIN RAAT TADAFTAA HAI YEH DIL,
ABH TOH SO BAAR RUK KAR EK BAAR DHAKDTAA HAI YEH DIL..

Aapka dil tadaFata hai wo bhi ek Bewafa ke liye
Wafa waalon ki kismat aapke haathon me kahan
Khud khinchi hain humne ye lakeerein Mohabbat ke liye
Warna Wafa nibhane ki yahan kisi me himmat hi kahan
 
kaash hume maalum hota.. unke Bewafa hone ka
phir shayad..gum nahi hota... unko yu..khone ka
ye Mahobbat ki lakeerein.. hum soch kar keechte
pahle aapse un wafa walo ka.. pata hi poochte
 
g8 ....keep it up

Pata kia poochenge wo humse Wafa waalon ke
Jo Mohabbat ki raah soch soch kar chunate hain
Kyun Gum ho hume Bewafaaaon ke khone ka
Jo Bewafaai me chipi wo Wafaa pehle dekhte hain
 
gd.......

"Itna bedard dil hoga us masoom se chere ke pichee
Yeh to hum soch bhi naa paaye,
Usne humein chod diya zamaane ne humein thukara diya
Ab tum hi batao ki hum kahan jaaye....."

Wafa ki baatein na karo warna ashq bah jaayenge
phir uss bedard bewafaa ki yaad dilyaenge
humme maloom hai kaha hao unka basera
bewaffoiien ke sahar main aap unko bhi paayenge.........
...

Pahle ek maasoom chehre par Ilzam lagayaa
Phir tumne ek bholi surat ko bewafa batayaa
Kuch to bigadaa hogaa tumne es zamane ka shayad
Yoon bewjah nahin zamaane ne tumko thukrayaa

Ab itna kuch karne ke baad puchte ho kahan jaayen,
Hum aapko chodenge zara apne ghar ka pata bataayen
 
Last edited:
Wafa ki baatein na karo warna ashq bah jaayenge
phir uss bedard bewafaa ki yaad dilyaenge
humme maloom hai kaha hao unka basera
bewaffoiien ke sahar main aap unko bhi paayenge.........
...

Abe mian bewafaon ka pheecha karna chodeye
Unki har gali har shahar se naataa todiye
bahut milengi machalti huyee madhosh jawaniyan
Ek chali gayee to kya dusri se rishtaa jodiye.:)
 
Last edited:
Pata kia poochenge wo humse Wafa waalon ke
Jo Mohabbat ki raah soch soch kar chunate hain
Kyun Gum ho hume Bewafaaaon ke khone ka
Jo Bewafaai me chipi wo Wafaa pehle dekhte hain

Toota hai dil kissi ka naa uspe aab sawal utha,
Loot gayaa shayad aaj vo mohabbat ke bazar me.
dekhi thi usne bas dillagi chand lahron ki
Fans gayaa shayad aaj vo samander ke toofan me.
 
kaash hume maalum hota.. unke Bewafa hone ka
phir shayad..gum nahi hota... unko yu..khone ka
ye Mahobbat ki lakeerein.. hum soch kar keechte
pahle aapse un wafa walo ka.. pata hi poochte

Wafa wale pate par ab kirayedar badal gaye
badla jaise jamana wafa wale bhi badal gaye
Kab tak kheenchte mitate rahoge en lakeron ko
En lakeron me rahnewale to kissi or ki lakeer ban gaye.
 
Last edited:
Wafa ki baatein na karo warna ashq bah jaayenge
phir uss bedard bewafaa ki yaad dilyaenge
humme maloom hai kaha hao unka basera
bewaffoiien ke sahar main aap unko bhi paayenge............

Ashq bahaane lagate hain wo Wafa ki baaton pe
Bewafaai ki baaton pe na jaane kia bahaaenge
In Ashqon se naata aap khud todana nahi chahte
Kisi se Wafa aur Mohabbat na jaane kaise Nibhaaenge
 
don mine.....

"Itna bedard dil hoga us masoom se chere ke pichee
Yeh to hum soch bhi naa paaye,
Usne humein chod diya zamaane ne humein thukara diya
Ab tum hi batao ki hum kahan jaaye....."

Aaj jaana hain humne aap ke sochne ki seema kia hai
Chehra dekh sochte hain,phir pyaar karte bhi sochte hain
Saare ilzaam lagaaye to Zamaane or usme rehne waalon pe
Us soch ko doshi n kaha jisme aap njaane kia kia sochte hain
 
Toota hai dil kissi ka naa uspe aab sawal utha,
Loot gayaa shayad aaj vo mohabbat ke bazar me.
dekhi thi usne bas dillagi chand lahron ki
Fans gayaa shayad aaj vo samander ke toofan me.

Sawaal me hi Jawaab chipa hai,jo koi dhoond sake
Mohabbat ke bazar me koi aisa nahi,jo hume bhool sake
Dekhi hai dilaagi Chaand ki Samandri lehron se humne
Jis dillagi ko shayad hi koi kabhi Chaand se bhooj sake
 
gar..aapko koi bhool na sake..to hum bhi..surmaa bhopaali ayeseyyee eeiii nai haaaii...:D

hum woh nahi jo tum ko ghum main chhod de
hum woh nahi jo tum se nata tod de
hum woh hain..ke agar teri sanse ruk jae
to... tuj se apni sanse jod de
 
Har sawaal ka jawaab ek sawaal hi nikla
Mohabbat ke bazaar mein dil besahaara nikla
Jise humaari nazaron ne chand shamajh liya
Woh to mahaz ek toota hua sa sitaara nikla
 
Sawaal karne waalon ki kataar me ab aap aaye hain
Lagata hai Mohabbat ke bazaar se loot kar aaye hain
Toote hue sitaare ki ahmiyat to nazar aati nahi aapko
Or har chehre ko yahan Chaand samjhate aaye hain
 
hey Surme Bhopaalliieeeeeeeeeeeee

gar..aapko koi bhool na sake..to hum bhi..surmaa bhopaali ayeseyyee eeiii nai haaaii...:D

hum woh nahi jo tum ko ghum main chhod de
hum woh nahi jo tum se nata tod de
hum woh hain..ke agar teri sanse ruk jae
to... tuj se apni sanse jod de

Aap jo hain wo hum khoob jaante hain
Aapki saanson ko bhi pehchaante hain
Aaj Jo khud ghum me doobe baithe hain
Wo rishton ki baatein karna bhi jaante hain
 
kuch haseen dard hai jinhe seene se lagaye baithe hai
uss bemuraaot ki tasveer ko aankhoiem main sajhaye baithe hai......
dekhte hai kaun kaun lootthaa hai hamme.......
bewafoien ki duniya main palke failaye baithe hai................
Sawaal karne waalon ki kataar me ab aap aaye hain
Lagata hai Mohabbat ke bazaar se loot kar aaye hain
Toote hue sitaare ki ahmiyat to nazar aati nahi aapko
Or har chehre ko yahan Chaand samjhate aaye hain
 
kuch haseen dard hai jinhe seene se lagaye baithe hai
uss bemuraaot ki tasveer ko aankhoiem main sajhaye baithe hai......
dekhte hai kaun kaun lootthaa hai hamme.......
bewafoien ki duniya main palke failaye baithe hai................

Aapka bewafaaon se naata koi puraaa lagta hai
Jo lootne ke liye unhi ki duniya me jaa baithe hain
Sajaai hui hai jinki tasveer in aankhon me aapne
Unhi ko Bewafa ke naam ka dard diye baithe hain
 
impromptu

thamm sab kya ye bewafai pey rotey ho
kadey dil to kadey duniya kee baat kartey ho
aur bhee hein duniya mein jinko tumhara intizaar hai
udhar zara nazar ghumao aur dekho bass duniya khushgawaar hai
 
Lamhe vo sunhare saath ho na ho
aaj mein kal jaisi baat ho na ho,
Yadon ke hasin lamhe dil mein rahenge,
Sari umar mulakat chahe ho na ho.:rolleyes:

kitna bhi chaho na bhool paaoge hame,
Jitna bhi door jaaoge nazdik paaoge hame,
Mita sakte ho to mita do yaaden meri,
Kya sapno se juda kar paaoge hame.:rolleyes:
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top