Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
panward said:
Good job. Let me try to take it further....

Unke aakhri deedar ko saanse chalti rahi,
Maut bhi thi ke aa aa ke talti rahee.

Vijay Bhai thoda aur zor lagaao. Ise puri Ghazal banate hain. Agla sher aap do. Aakhiri sher main try karunga.

Ok Daksh, sorry for delay as i was away. just read ur reply.

Waqt ki dhoop mein pighal jayenge woh ek din
Yahi sochkar har roz ye hamaari sham dhalti rahi
Ye zindagi ka karvan rukega nahin kahin bhi
Unki yaad thi jo "Vijay" ke saath hardam chalti rahi


rana1979 said:
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.

Kaise hum apni mohabbat ko bhulaa de
Ye pyar bhara dil kaise kisi aur pe vaar de
Woh humen nahin mil sakta to ye unki kismat
Kya unhe koi humsa milega jo unpe jaan nisaar de

.
 
Last edited by a moderator:
vijay said:
Kaise hum apni mohabbat ko bhulaa de
Ye pyar bhara dil kaise kisi aur pe vaar de
Woh humen nahin mil sakta to ye unki kismat
Kya unhe koi humsa milega jo unpe jaan nisaar de



Wo hum ko bhula de,ye kaam aasaan nahin
Muhabbat mei dagga dena bachchon ka kaam nahin
Aakhir hum nei loota diya sabh kuchh unko pane ke liye
Koi aur ho sakta hei wo ittane naddan nahin.
 
BEWAFAII KI YEH INTEHA HOGAYEE
k tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee

tum laut ke aaogey humsey milney
roz dil ko behlaney ki aadat hogayee

terey waadey pe kya bharosa kiya humney
keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee

khushi mei bhi hum kya muskuratey k
teri judaai mei roney ki aadat hogayee

kaafiley nikal gaye humein chhor k
k... ab to tanha safar ki aadat hogayee

har morh par mili ghum ki parchhaiyaan
zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee

jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamarey
phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee

paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom
Ibad
k bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee​
​
​
 
devdahiya said:
Wo hum ko bhula de,ye kaam aasaan nahin
Muhabbat mei dagga dena bachchon ka kaam nahin
Aakhir hum nei loota diya sabh kuchh unko pane ke liye
Koi aur ho sakta hei wo ittane naddan nahin.


Woh itne masoom nahin jitna hum samjhe they
Har pal yahan par rang badalana unki fitrat hai
Hum to unko samjahe they visaale-e-mohabbat
Lekin abb jaan gaye ki kya unki asal shohrat hai
 
Sahare ki aas karna chhod de dost
Kisi din ye sahara hi le doobega
Jise chaha gar wo milne lage sabko
Har koi khuda se chaand ki aarzoo rakhega
 
rana1979 said:
Sahare ki aas karna chhod de dost
Kisi din ye sahara hi le doobega
Jise chaha gar wo milne lage sabko
Har koi khuda se chaand ki aarzoo rakhega


Chand ki aarzoo to unko hogi shayad
Jo har roz kisi naye pyar ki talash mein hain
Humne to ye duniya dekh lee hai abb
Ajj hum apne pure hosho-hawash mein hain
 
Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane...
Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane...
Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai...
Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane...
 
Jab hoti hai mohabbat
Shayri aa hi jati hai
machalta hai jab seenay me DIL
tukabandi aa hi jati hai....
rana1979 said:
Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane...
Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane...
Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai...
Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane...
 
rana1979 said:
Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane...
Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane...
Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai...
Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane...





dil na milte to mulakat aduri rehti
baat to hoti magar baat adhuri rehti
tune apn

vijay said:
Kaise hum apni mohabbat ko bhulaa de
Ye pyar bhara dil kaise kisi aur pe vaar de
Woh humen nahin mil sakta to ye unki kismat
Kya unhe koi humsa milega jo unpe jaan nisaar de

Dil ke rishtey ajeeb hote hain
koi dil ke kareeb hote hain,
meri tanhaai ka zikar na kiya kar,
apne apne naseeb hote hain
 
Last edited by a moderator:
tukde jude ya na jude jo jod de
dil ko dil de shyari kahlati h
tukbandi hi ho chahe agar lekin agarsaachi h to
behtar h os ghazal se jo
mehboob ki ruh ko choo nahi pati h







rana1979 said:
Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane...
Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane...
Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai...
Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane...
 
ritu said:
tukde jude ya na jude jo jod de
dil ko dil de shyari kahlati h
tukbandi hi ho chahe agar lekin agarsaachi h to
behtar h os ghazal se jo
mehboob ki ruh ko choo nahi pati h


Woh sanam aisa hai jisme jazbaat nahin hai
Pyar ke naam ka koi ahsaas nahin hai
Ye pyar khel hai uske liye kuchh dino ka
Pyar nibhane mein usko koi vishwas nahin hai

dhayal said:
Dil ke rishtey ajeeb hote hain
koi dil ke kareeb hote hain,
meri tanhaai ka zikar na kiya kar,
apne apne naseeb hote hain


Dil ke rishtey ajeeb nahin hote
Lekin kuchh dil hi ajeeb hote hain
Haumari tanhai ka kya hai sah lenge
Dekhen kya unke naseeb hoten hain
 
Last edited by a moderator:
Jisse chhaha tha maine........

Jise chaha tha maine ab woh begaani sahi,
meri zindagi bhi ab ek ghamo ki kahani sahi,
humne maangi thi ek raat chaino aaram wali
magar apni har raat toofani sahi,
Ab naa rahi meri kuch bhi khawaish
Magar unke kuch khat kuch tasveerein nishani sahi,
sochte the bedaag zindagi gujaarenge,
Magar ab to apni badnaam jawani sahi,
Unhone ne mera saath nahi diya to kya,
Unke liye aapni JAAN ki Qurbaani sahi..
 
vijay said:
Dil ke rishtey ajeeb nahin hote
Lekin kuchh dil hi ajeeb hote hain
Haumari tanhai ka kya hai sah lenge
Dekhen kya unke naseeb hoten hain

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
 
अब आ गया है फर्क कुछ उनके सलूक मे
लेकिन मेरे खिलश मे कोई कमी नही
मै उनके इस रवैये का दुँ भी तो क्या जवाब
मेरी खुशी िकसी को लगती भली नही !!!


खिलश - चुभन, कसक

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

अगर काम आया है िकसी के तू , खुदा देगा ,
इसका स़बक देख लेना !
तू उठ जाऐगा ' निशयर ' जब इस जहां से ,
तो रोएगें वो देख लेना !!!!!!!


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

ना लगओ कभी अंदाजा ,
िकसी की सूरत से ,
िकसी की िसरत का ,
बेवफ़ा बडे होते है , मासुम चहरे वाले !!!

sign.bmp
 
Last edited by a moderator:
Daur-e-judai me aksar aisa hota hai
Kabhi hum dil ko sambhalte hai
Kabhi dil hamen sambhalta hai.


dhayal said:
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
 
jakhar77 said:
Daur-e-judai me aksar aisa hota hai
Kabhi hum dil ko sambhalte hai
Kabhi dil hamen sambhalta hai.


Dil ka Zakhm Zuban par laaya nahin Karte,
Hum apni Aankhon se Aansoo bahaya nahin Karte,
Zakhm Kitne hi Gehre kyon na ho,
Hum apne Honton se Muskurahat hataya nahin Karte.
 
dhayal said:


Dil ka Zakhm Zuban par laaya nahin Karte,
Hum apni Aankhon se Aansoo bahaya nahin Karte,
Zakhm Kitne hi Gehre kyon na ho,
Hum apne Honton se Muskurahat hataya nahin Karte.

Dil ka zakham nasoor ban gaya hai ab to
Ek ankhon ke anshoo ab to sookh gaye lagte hain
koi kab tak karega yahan unke aane ka intezaar
Wo kisi aur ki chah mein humko bhool gaye lagte hain
 
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah


Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai


hahahahahahahha kar shayri mast hai
 
Last edited by a moderator:
dhayal said:
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah


Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hain
Tamam umar saath chalte hain
Lekin ye baat bhi kitni sach hai ki
Khushiyon ke badle gum milte hain
 
handsome_nashier said:
ना लगओ कभी अंदाजा ,
िकसी की सूरत से ,
िकसी की िसरत का ,
बेवफ़ा बडे होते है , मासुम चहरे वाले !!!


sign.bmp

wo to hai mian... enn masoom chehron ne ne jaane kitnon ko loota hai....hahahaa... waiuse lutne ka upna hi ek maza hai...kyoon?

RK^2
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top