Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
IS KADAR BHI NA CHAHO HUMEIN
KI KHUD HI KO BHUL JAAYEIN
BAS EK HI KHWAHISH HAI IS DIL MEIN
AAP HUMAREY HUM AAPKE HO JAAYEIN.........:)
Ajab aalam hai is dil ka
Na jiti hoon na marti hoon
Na kho dun saath ye tera
Mai kuch kehne se darti hoon...
Chahti hoon bas tumhi ko
Haan tumhi pe mai marti hoon
Haan tumse pyaar hai mujhko
Mai tumko aaj kehti hoon....
Dekhti hun tumhein jab bhi
Mai ye aakhein band karti hoon
Kab aaogey mujhe lene
Ki mai pal-pal raah takti hoon....:)
 
Kabhi khushi kabhi gum aate jaate rahenge yahan
Jo apna imaan na badle usi ko bandagi kahte hai
Yahan kiske paas waqt hain nafrat karne ke liye
Jo pyar mein gujar jaaye usi ko zindagi kahte hai
 
Last edited:
Dost to bante aur bichhadte rahenge yahan par
Tode na kisi ka dil usse saccha dost kahte hain
Aise dost jab chale jaate hain apno se door

Tab unhe bus hum dekhne ko tarsate rahte hain
 
Ajab aalam hai is dil ka
Na jiti hoon na marti hoon
Na kho dun saath ye tera
Mai kuch kehne se darti hoon...
Chahti hoon bas tumhi ko
Haan tumhi pe mai marti hoon
Haan tumse pyaar hai mujhko
Mai tumko aaj kehti hoon....
Dekhti hun tumhein jab bhi
Mai ye aakhein band karti hoon
Kab aaogey mujhe lene
Ki mai pal-pal raah takti hoon....:)

Hum yahi sochker, dil ko behlaye ja rahen hein,
Ke wo chal pade hein, ke wo aa rahen hein...........:)
 
wah! wah! swati kya likha hai tumne...aur satender sir ne bhi accha continue kiya use...lekin ladki aaj main tujhpe fidaa :D ...kya alam hai swati ki likhi kavitayein padhne ke baad :)
 
Kabhi khushi kabhi gum aate jaate rahenge yahan
Jo apna imaan na badle usi ko bandagi kahte hai
Yahan kiske paas waqt hain nafrat karne ke liye
Jo pyar mein gujar jaaye usi ko zindagi kahte hai

Dilon mein umeed jagate raheye
Sab par pyaar lutate raheye
Kat jaayega safar aasane se
Zindagi ko gale lagate raheye
 
Kabhi subah ki pehle kiran to kabhi kaali raat hai zindagi
Kabhi uljhi se paheli to kabhi seedhi saadhi baat hai zindagi
kabhi anjaan ajnabi to kabhi khud se mulakat hai zindagi
kabhi kaaton ka safar to kabhi phoolon ke saugat hai zindagi
jaise bhi hai, har pal ,har mod pe hamare saath hai zindagi
 
Dilon mein umeed jagate raheye
Sab par pyaar lutate raheye
Kat jaayega safar aasane se
Zindagi ko gale lagate raheye

Bus esi umeed par hi to ye zindagi kaayam hai
Nafrat se yahan kaun duniyaan jeet sakta hai
Char din duniya mein hans kar gujar le yahan
To ye zindagi ka safar suhana beet sakta hai
 
Kabhi subah ki pehle kiran to kabhi kaali raat hai zindagi
Kabhi uljhi se paheli to kabhi seedhi saadhi baat hai zindagi
kabhi anjaan ajnabi to kabhi khud se mulakat hai zindagi
kabhi kaaton ka safar to kabhi phoolon ke saugat hai zindagi
jaise bhi hai, har pal ,har mod pe hamare saath hai zindagi

Kabhi bhara hua paimaana kabhi khali jaam hai ye zindagi
Kabhi shohrat ki bulandi to kabhi badnaam hai ye zindagi
Rishton ka bandhan hai ye aur haqeeqat ka ahsaas hai
Jo nahin samajh paya uske liye gumnaam hai ye zindagi
 
Har pal naaye pehchaan hai zindagi
barso se mere yahan mehman hai zindagi
har safar mein mere saath hai woh
fir bhi mujhko lagte anjaan hai zindagi
 
Har pal naaye pehchaan hai zindagi
barso se mere yahan mehman hai zindagi
har safar mein mere saath hai woh
fir bhi mujhko lagte anjaan hai zindagi

Kab zindagi ko samajh paayega yahan koi
Har pal koi nayaa armaan hai ye zindagi
Ye to ek safar hai jis par chalte hain sab
Waqt ne sunaaya ek farmaan hai ye zindagi
 
Kab zindagi ko samajh paayega yahan koi
Har pal koi nayaa armaan hai ye zindagi
Ye to ek safar hai jis par chalte hain sab
Waqt ne sunaaya ek farmaan hai ye zindagi
Dariya ka behta paani hai zindagi
Koi khubsurat kahani hai zindagi
milkar na bhool paaye koi isse
ase pagli, diwani hai zindagi:)
 
Dariya ka behta paani hai zindagi
Koi khubsurat kahani hai zindagi
milkar na bhool paaye koi isse
ase pagli, diwani hai zindagi:)

Neele samandar ki tarah hai ye shaant kabhi
Kabhi machalati hui lahron si toofaani zindagi
Koi aaya aur chala bhi gaya ab kisko khabar
Aur kabhi kisi ki yaad ki hai nishaani zindagi
 
Aaj jana kya hota hai pyaar,
Kisi ke liye to hota hai ye dil bekaraar,
Kyon dhadakta hai dil unkey liye
Kyon tarasta hai yo milne key liye,
Kyon sajte hain palkon par ye meehte se khwaab,
Aaj jana……

Ikrar bhi kiya par koi jawab na aaya,.
Wo kuch kehte hi nahi na jaane fir kyun pyaar aaya,
Hai is bekaraari mein ye kaisa karaar,
Aaj jana kya hota hai pyaar
:)
 
Very sweet Priya :)
 
"Apne ehsas se choo ker mujhe chandan kar do
Ke mein sadiyoon se adhoora hoon mujhe mukammal ker do"
 
Aaj jana kya hota hai pyaar,
Kisi ke liye to hota hai ye dil bekaraar,
Kyon dhadakta hai dil unkey liye
Kyon tarasta hai yo milne key liye,
Kyon sajte hain palkon par ye meehte se khwaab,
Aaj jana……

Ikrar bhi kiya par koi jawab na aaya,.
Wo kuch kehte hi nahi na jaane fir kyun pyaar aaya,
Hai is bekaraari mein ye kaisa karaar,
Aaj jana kya hota hai pyaar
:)

Aaj jana kya hota hai pyaar

Woh kahte hain hum na ikraar karenge aapse
Bas apni zid par hain ki bekraar karenge aapse
Ek baar hamaari zindagi mein aa jaaoge agar
Umar bhar hum pyaar beshumar karenge aapse

Aaj jana kya hota hai pyaar

Bin dekhe bin jaane ye bhi kya mohabbat hai
Ek naam ko dil de diya ye bhi kya sharaafat hai
Dilwale wada karke kabhi bhulate nahin hain
Pyar ka izhaar nahin ye bhi kya shikaayat hai

Aaj jana kya hota hai pyaar

Ye chaar din ki zindagi yun hi gujar jaayegi
Ruthne manane se mohabbat bikhar jaayegi
Waqt laut kar fir nahin aane walaa kabhi bhi
Agar mila pyaar yahan zindagi nikhar jaayegi

Aaj jana kya hota hai pyaar
 
Last edited:
pyar karna hi kafi nahi hia use samjhna bhi jaruri hia
aaj wo meri bahut pass hia, par na jaane kyu lagta hia bahut duri hia
wo kasme wo baade jo humne kiye hia saath me
magar meri jaa unhe nibhana bhi jarrui hia
hum chal to diye hai haath dale ek durse ke haath me
safar itna muskil bhi nahi magar hamara saath chalna jaruri hia
jo rista banaya hai humne dil ka
use nibahana bhi jaruri hia................................
pyar karna hi kafi nahi use samjhna bhi jaruri hia

Back
Top