Us ajnabi se karna dosti aap sambhal-sambhal keYe dil ke rishte bhi bade ajeeb hain
Jinhe apna samajha tha begaane nikle
Begaano ki bheed mein koi apna milaa
Jisko dhoondhne main ye zamaane nikle
Us ajnabi se karna dosti aap sambhal-sambhal ke
Milte hain log aksar yahan chehre badal-badal ke
Zindagi par itna yakeen theek nahinAb unn nakli chehron ko pehchaan liya hai humne
Kya ye zindagi ab humen baar baar dhokha degi![]()
Zindagi par itna yakeen theek nahin
Har koi hota itna khusnaseeb nahin
Hain aur bhi kai shaamil unke mehfil mein
Ek aap he unke itne nazdeek nahin![]()
Us ajnabi ke liye aap itne bechaain kyo haiHonge Unki mehfil mein hazaaron shaamil
Magar hum bhi apni pehchaan rakhte hain
Chhod mehfil woh khinche chale aayenge
Jab un ke saamne dil-o-jaan rakhte hain
Us ajnabi ke liye aap itne bechaain kyo hai
Uske judaai mein tanha rain kyo hai
Unke mehfil to saje hue hai hazaroon se
Aapne intezaar mein bechaaye nain kyo hai
Dil mein pyaar jagane to taiyaar hoAgar bechaain honge tabhi to karaar aayega
Jaudaai mein tadpenge tabhi to pyaar aayega
Mehfil chhod kar jab tanhaai aachhi lagne lage
Tabhi to es mohabbat par asli nikhaar aayega
Bahut sundar......![]()
Dil mein pyaar jagane to taiyaar ho
Har hal mein usko paane ko taiyaar ho
Karne chale ho mohabbat anjaan se
Fir wahi galti dohraane ko taiyaar ho![]()
Mohabbat karna kabhi bhi galat nahin hota
Duniyan mein log mohabbat karte aaye hain
Anjaan bhi apne ban jaate hain pyaar mein
Hum to un apno par sada hi marte aaye hain
Aap jin apno par sada marte aaye hainMohabbat karna kabhi bhi galat nahin hota
Duniyan mein log mohabbat karte aaye hain
Anjaan bhi apne ban jaate hain pyaar mein
Hum to un apno par sada hi marte aaye hain
Aap jin apno par sada marte aaye hain
Woh gairo ke liye aahein bharte aaye hain
Karke ke kai vaade, de kar kai kasamein
Woh to yu he dilo se khilwaad karte aaye hain
Kab dil teri yaadmein chur nahi hota..........
kab tujhse milne ko dil majboor nahi hota...
ye socha hai jindgi mein dil uska tutta hai...
jiska koi kasur nahi hota.................................
Ha yeh sahi hein ki mohabbat karna kabhi galat nahin hota
par mohabbat usi se karo jiske dil o jan mein aapke liye kuchh arman ho
Anjan to sare hi hote hein par dhire dhire
Ek din anjan bhi dil ke mehman bankar reh jate hein
Na apno se koi shikayat hai na gairo se shikva
Jo es dil ne hume kaha wahi kaam karte hain
Door rahnaa seekh liya ab matlabi dunyan se
Log bewajah yahan kisi ko badnaam karte hain
Jo dil ke kahi baat suna karte hain
Woh badnaami se nahin darte hain
karke ke vishwaas apne aap pe
rah-e-zindagi se haskar guzarte hain
Aap jin apno par sada marte aaye hain
Woh gairo ke liye aahein bharte aaye hain
Karke ke kai vaade, de kar kai kasamein
Woh to yu he dilo se khilwaad karte aaye hain
Dil ke khayaalaat hi hain insaan ki pehchaan
Log yahan chehre par chehra lagakar rahte hain
Apno ko hi dhokha deti hai ye matlabi duniyan
Hum to dushman ko bhi apna banakar rahte hain
Mohabbat mein koi majboori nahin hotiKyun lagai aapne uss anjaan pe tauhmat
Kya jaante hain aap uski zindagi ke baare mein
Kya pata unko kya majboori rahi hai
Kabhi aapne poochha unse iss baare mein
We use essential cookies to make this site work, and optional cookies to enhance your experience.