Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
Kab tak humen woh beete zammane yaad aayenge
Kisliye ab woh dard bhare afsaane yaad aaynege
Jo insaan bhul gaya humko bas ek kahaani ki tarah
Sochenge to humen bas maikhaane yaad aayenge

Woh beete zamaane , woh guzare afsaane
yahi to hain bas zindagi jeene ke bahane
jo ye bhi cheen le koi humse to, aye dost
ho jaayege mushkil saason ke bojh uthane
 
Woh beete zamaane , woh guzare afsaane
yahi to hain bas zindagi jeene ke bahane
jo ye bhi cheen le koi humse to, aye dost
ho jaayege mushkil saason ke bojh uthane

Aage hanse ke kadam badhao doston
Rah jaayenge peeche ye adhure afsaane
Kahin na kahin chhupi hoti hai ek nayi kiran
Usko dhundne mein hi lag jaate hain jamaane
 
Aage hanse ke kadam badhao doston
Rah jaayenge peeche ye adhure afsaane
Kahin na kahin chhupi hoti hai ek nayi kiran
Usko dhundne mein hi lag jaate hain jamaane
Us chupi kiran ko paana, nayi umeed jagana
Dil ke aayene mein phir se ek tasver lagana
Gar hota itna aasan tute hue dil ka jud panna
Hum bhi seekh lete aaye din naye mehfil sajana
 
Umeed gar jo haar gaye
To fir kya jeet paaogey

Gar na sajaya aayina Dil ka
Virana kaise chaman banaogey

Tees me pyaara ehsaah hota hai
tanhayi me bhi woh saath hota hai

Sajayi na jo nayi mehfil
karwan ke saath chal na paaogey:)
Us chupi kiran ko paana, nayi umeed jagana
Dil ke aayene mein phir se ek tasver lagana
Gar hota itna aasan tute hue dil ka jud panna
Hum bhi seekh lete aaye din naye mehfil sajana
 
Nice Sunita !

Umeed gar jo haar gaye
To fir kya jeet paaogey

Gar na sajaya aayina Dil ka
Virana kaise chaman banaogey

Tees me pyaara ehsaah hota hai
tanhayi me bhi woh saath hota hai

Sajayi na jo nayi mehfil
karwan ke saath chal na paaogey:)

Agar umeed ka daaman na chhoote kabhi
To haari hui baazi bhi hum jeet jaayenge

Dil mein koi umang ho agar jeene ke liye
Virano mein bhi hum fir mahfil sajaayenge

Kasak jab uthegi seene mein koi pyar bhari
Tanhaai mein bhi hum koi geet gaayenge

Manzil door hai agar to bhi kya ghabraana
'Vijay' chalenge to karwan khud ban jaayenge
 
Us chupi kiran ko paana, nayi umeed jagana
Dil ke aayene mein phir se ek tasver lagana
Gar hota itna aasan tute hue dil ka jud panna
Hum bhi seekh lete aaye din naye mehfil sajana

Aap ne iss naacheez ko kya itna kamzor samjha
Isne bhi dekhi hai duniya ke reetein
Hota nahin koi bhi kaam itna asaan samajhna
Banana padta hai usse asaan thaan ke kuch baatein
 
Agar umeed ka daaman na chhoote kabhi
To haari hui baazi bhi hum jeet jaayenge

Dil mein koi umang ho agar jeene ke liye
Virano mein bhi hum fir mahfil sajaayenge

Kasak jab uthegi seene mein koi pyar bhari
Tanhaai mein bhi hum koi geet gaayenge

Manzil door hai agar to bhi kya ghabraana
'Vijay' chalenge to karwan khud ban jaayenge

Doston ki har jeet ko sahara dete dost
Ho vishwas to manzil asaan karte ye dost

Viranon mein kyun sabke beech mahfil sajaoge
Agar kar sakte hain thoda aur intezar ye dost

Manzil tak sab izzat se leke aayenge
Aur shuru karwayenge naya safar ye dost
 
dil-e-sukoon pahuchane ki koshish karte hai,
kabhi subha kabhi sham ko marte hai,
armano ka janaza to nikal gaya,
par aaj tanhai me ,
us janaze ki bhid ko yaad karte hai....Strictly My Copyright:)
 
Yaar Neelam kuchh likh hi deti:) yahan to sabke apney-apney copyrights hain

abhi main aap sabke copyrights dekh ke ruk gayi....actually aap sabke baat karne ke andaaz bilkul mast hain ki kai baar deemag mein ye baatein hi aa aake hansati rahti hain...to likhne ke liye sochun kaise :D ....you people are too funny and all your conversations are more funny than you all...ab dekh lo koi bura nahin maanna :p ;)

:)
 
dil-e-sukoon pahuchane ki koshish karte hai,
kabhi subha kabhi sham ko marte hai,
armano ka janaza to nikal gaya,
par aaj tanhai me ,
us janaze ki bhid ko yaad karte hai....Strictly My Copyright:)

Armanoon ki na poocho, kya kya sitam karte hain
kitna bhi dafnaoo inhe ,shaam dhale fir ubarte hain
dil dhadkaate hain, jab bhi hum us rah se guzarte hain
na kauff koi, zamane ki rusvai se ye kahan darte hain
 
Armaan hain sooraj nahi jo dhal jayeingey
jitna dabaogey utna ubhar kar aayeingey

Dafnana hi hai to mayusi ko dafnao
armaan ko khwab ki haqeekat banao

Ruswa honewale mohabat kahan kartey hain
aaj kisi ke huay kal kisi ka dum bhartey hain

saans bhi loon to dil se uthta hai dhuaan
log issi ko meri mohabbat ka naam dete hain:)

Last edited:

Jab sooraj dhale to mahakati shaam aaye
Dil ko fir se roshan kar jaata hai koi paigaam

Maayus hone ka waqt to kab ka beet gaya
Armaano ko ab milega khushiyon ka inaam

Kaun darta hai mohabbat mein ruswaai se
Iraada kar liya to fir chahe jo bhi ho anjaam

Dhadkata hai ye dil jab kisi ko yaad karke
Kitna haseen lagne lagta hai koi ek naam
 
Jab uske hothon ki muskurahat
mere hothon ko choo kar gujar jaye

Uske ehsaas se khila khila mera vazood
na ho to bhi rahe aas-paas maujoud

Din shuru ho uska savera ho jab
raat taron ka paigam le aaye

Pal-pal ho jata hai shabnami
din shuru hua kab gujar gaya

Zindagi me jab tak woh na tha
rang the sabhi par kuch rangeen na tha:)

Unki ek muskurahaat se mahak gai zindagi
Jeene ka es dil ko ab ek naya armaan mila

Chahe kitna bhi door rahe ab woh hamse
Dil mein dhadkata hua unka hi naam mila

Subah ki shuruat hui bas unki hi yaad se
Shaam hui to unke pyaar ka paigaam mila

Berang si udaas gazal jaisi thi ye zindagi
Shaayari ko aaj fir koi naya qalaam mila

Barso se intezar tha jis haseen lahme ka
Meri mohabbat ko aaj uska anjaam mila
 
Yun to zindagi se hazaron lamhe guzarey
thahra waqt jo lamha tumhey mere paas laya

na bhi kehna chahu to jaan jaye woh
ahsaas ka silsila ye pehli baar aaya

lipti-seemati gehrayi si meri jindagi ke
har taar ko suljhaya aisa ek jhonka aaya

khwaab jab banney lage haqeekat se
na jane kaisa ye mukaam aaya....

Jab se mere dilbar ka paigaam aaya
dil mein armanoon ka ek tufaan aaya

Na jeete bante hai , na marte bante
mohabbat mein kaisa makaam aaya

Jis bhi rah se mein guzaroo chahe
har mod par uska he makaan aaya

Yu to hazaroon se hai milna julna
par lab par wahi naam,har shaam aaya
 
Yun to zindagi se hazaron lamhe guzarey
thahra waqt jo lamha tumhey mere paas laya

na bhi kehna chahu to jaan jaye woh
ahsaas ka silsila ye pehli baar aaya

lipti-seemati gehrayi si meri jindagi ke
har taar ko suljhaya aisa ek jhonka aaya

khwaab jab banney lage haqeekat se
na jane kaisa ye mukaam aaya....

Dil kahta hai aaj waqt thaahar jaaye yahin par
Andheri kaali raat ke baad khubsurat subah hui

Khawaab bhi ab haqeeqat se lagne lage hain
Eska ahsaas hi to dil ki baat kahne ki wajah hui

Chand asman mein hai ya mere pass baitha hai
Ees baat par to meri har kisi se bahut jirah hui

Tamam umar gam ke saath hi dostaana rahaa
Aaj 'Vijay' ki zindagi ki khushiyon se sulah hui
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top