Very nice, Divya ! Simply great !
Ye mohabbat ke paigaam aur unki yaad
Lagta hai aaj koi qayamat hone waali hai
Koi meharbaan hai hum par zindagi ki tarah
Khushiyon ki aab to inaayat hone waali hai
Ek chehra dikhta hai chand se bhi haseen
Aaj chand ko bhi shikaayat hone waali hai
Dil dhadak raha hai bar-bar unke naam se
'Vijay' ko to aaj mohabbat hone waali hai
Jab se mere dilbar ka paigaam aaya
dil mein armanoon ka ek tufaan aaya
Na jeete bante hai , na marte bante
mohabbat mein kaisa makaam aaya
Jis bhi rah se mein guzaroo chahe
har mod par uska he makaan aaya
Yu to hazaroon se hai milna julna
par lab par wahi naam,har shaam aaya