Zakhm-e-dil

Status
Not open for further replies.
dil main sameta hua hai samundar humne dard ka
fir bhi jaane kaise muskura paa rahe hain hum
log kehte hain bade khush hain aap to
wo kya jaane is dil ko kaise jala rahe hain hum

socha tha na girne denge in ashkon ko kabhi
kahi humare ashk na de jaaye unko koi gum
magar kitna piye in ashkon ko
ab to inmain doobte jaa rahe hain hum

toote sapne, bikhri chahat aur bhi bahut kuch mila hume
in tohfon ko daman main samete bas jiye jaa rahe hai hum...
 
Rajesh bahi jab tanne title dikhe tha ki tere kaam kaa koni fer ke doke len aaya tha aade :p
bhai vivek mai to nu dekhu tha ek ser ka ke haal kar rakhya hoga aaj do jaatan bichale funsra s, ha ha ha par teri batan te lagya ek tam to seran ki punjad pakad ke doke babat gahta tar re ho, ha ha ha ha . chinta manya kare ye doke tum-a leliyo m konya aau.ha ha ha kilki .....kilki...kilki...
 
dil main sameta hua hai samundar humne dard ka
fir bhi jaane kaise muskura paa rahe hain hum
log kehte hain bade khush hain aap to
wo kya jaane is dil ko kaise jala rahe hain hum

socha tha na girne denge in ashkon ko kabhi
kahi humare ashk na de jaaye unko koi gum
magar kitna piye in ashkon ko
ab to inmain doobte jaa rahe hain hum

toote sapne, bikhri chahat aur bhi bahut kuch mila hume
in tohfon ko daman main samete bas jiye jaa rahe hai hum...

viswaas jo mainne tujh par kiya,
toot-toot kar kiya kyounki mujhe laga tha,
tum merre viswaas ke rakshak ho,
aur ye bhi laga tha ki tumhari sohbat main,
mera viswaas akhandit rahegga,
lekin yuggen jhanjhawaatoien ke,
kroor thapado ki chhot se,
dhazziyaan udd gayi mere komal viswaas ki,
aur tum bhi aisse hi nikle,
to aaj ka aati shadharan samanya alpax maanav,
jo viswaas ko ek vastu maatr samjhkar,
aapne aham talle raundh daalta hai...............
 
ab dekh ke jee ghabrata hai saawan ki suhaani raatoien ko,
piya chhod gaye , dil tod gaye, ab aag lagge barsaatoien ko,
ae jaane mohabbat jaane gajal aao to tumhari nazar karre,
aankhoien me sajayee baithe hai, hum pyaar bhari sogaatoien ko,
youn pyar ke kasmein kha kha kar kyoun jhotti tasalli detti ho,
bas rahne to hum jaan gaye sarkaar tumhari baatoien ko,
khiska hua aanchal kandhoien pe, yeh julf ke latte uljhi hui,
aankhoien ki khumari kahti hai, tum soyye nahi kai raatoien se,
julfoien ko hawa main lehrana, has -has ke tumhara bal khana,
andaaz hai sab dil lenne ke , hum jaan gaye in baatoien ko,
bedard haseenoien ki khatir kyoun badnaam hotte ho " fanaa"
yeh sitamgar kya samjhe, hum dil waaloien ki baatoien ko...................
 
अपने हालत का अंदाजा नही है मुजे
दोस्तों से सुना है परेशान हुं मैं बहुत
:(
 
इस के सिवा अब मुहब्बत में रखा क्या है????
जब तेरी याद आई तो चन्द आंसू बहा दिए ....
 
ग़लत-फ़हमी ने बातो को बे- मतलब कर डाला यूँही वरना
कहा कुछ था, वो कुछ समझी, मुझे कुछ और कहना था
 
Jab teri dhun mein raha karte the,
Hum bhi chup chap jiya karte the,
Aankhon mein pyaas hua karti thi,

Dil mein toofan utha karte the,
Log aate the ghazal sun ne,

Hum teri baat kiya karte the,
Sach samajhte the tere waadon ko,

Raat din ghar mein raha karte the,
Kisi viraane mein tujhse milkar,

Dil mein kya phool khila karte the,
Ghar sajane ke khatir,

Hum tera naam likha karte the,
Kal tujhe dekh yaad aaya,

Hum bhi kabhi mohabbat kiya karte the!!!!:)
 
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai...
Ghar Hai Kaccha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai...

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye...
Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai...

Pyaar Ko Chhod Ker Tum Aur Koi Baat Karo...
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai...

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahin Ho Jaein...
Iss Liye UsKi Mulaqaat Se Dar Lagta Hai...:)
 
diljalle...........diljalle.............. laallle..........yaha to sabhi diljalle hai...........................kadhubbaaaaaaaaaa ROOKKAAAAAAAAAAAAA @ diljalle@ dile se ROOKKKAAA........

ek aur meri udd tai........

gar yon hi ghar main baitha raha,
maar daalleggi yeh tanhaiyyaan,
chal jara maikadde main challe,
yeh dil bahal bahal jaayega..................

aag daaman main lag jaayegi,
dil main solla machal jaayega,
merra sagar na chhoona kabhi,
saakiya haath jal jaayega...........

ek din wo jaroor aayenge,
dard ka saaya tal jaayega,
iss jamanne ko hamari parwaah nahi,
yeh jamana badal jaayega..............

aa gaya abb to aankhoen main dum,
abb to jalwa dikha deejiye,
aapki baat rah jaayegi,
merra armaan nikal jaayega...................
 
baato se kab dil ki jubani baya hoti hai
baate to hai bus takluuf ke liye
sacchi mohbaat to aankho se kahi aur annkho se hi suni jaati hai
ग़लत-फ़हमी ने बातो को बे- मतलब कर डाला यूँही वरना
कहा कुछ था, वो कुछ समझी, मुझे कुछ और कहना था
 
Waade bhi dost ne kya khub nibhaye,
Zakham muft mein aur dard tohfe me bhijwaye,
Is se badhkar wafa ki misaal kya hogi,
Maut se pehle hi dost kafan le aye...:)
 
hazar gum the meri jindgi akeli thi
khushi jaha ki merre waaste paheli thi
wo aaj bach ke nikalte merre saaye se
ki mainne jinke liye gum ki dhoop jhelli thi

chadda rahe hai wo hi aasteen mujh pe
ki jinki peeth par kal tak merri hatheli thi
wo jhuk ke kar `rahe hai merri turbat pe sallam
issi ada ne to "mahir" ki jaan le li thi.......................
 
baato se kab dil ki jubani baya hoti hai
baate to hai bus takluuf ke liye
sacchi mohbaat to aankho se kahi aur annkho se hi suni jaati hai

गर करना है इजहारे महोबत्त तो लब से करुंगा मैं
उनको देखते ही खाबों मे खो जाती हैं मेरी आंखे
देखते रहना उनको अच्छा नही ऐ मेरे दोस्त
वो कांच के बने हैं तो पथर की हैं मेरी आंखे
 
Teri yaadein ruburu bhi hain,
tujhse milne ki justju bhi hai,
pehle khayal aaya is dil ko hi jala daalein ,
fir yaad aaya is dil me tu bhi hai.....:)

Regards,
Maniisha

Sorry i have edited again
 
Last edited:
मैं इस से बड़ के उनके दिए दर्द की मिसाल क्या दूँ ?
वो मुझ से लग कर रोये , " किसी और के लिए "..







Waade bhi dost ne kya khub nibhaye,
Zakham muft mein aur dard tohfe me bhijwaye,
Is se badhkar wafa ki misaal kya hogi,
Maut se pehle hi dost kafan le aye...:)

Regards,
Maniisha
 
मैं इस से बड़ के उनके दिए दर्द की मिसाल क्या दूँ ?
वो मुझ से लग कर रोये , " किसी और के लिए "..

o teraa bhallaaa ho jaaa.. waaah waaah... :)

sochtaa hoon, aankh namm hai aaaj meri... orr kyaa kahooon
aasmaa bhi roo padaa, jabb chodaa teraa shahar mainey
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top