Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
Dil ke khayaalaat hi hain insaan ki pehchaan
Log yahan chehre par chehra lagakar rahte hain
Apno ko hi dhokha deti hai ye matlabi duniyan
Hum to dushman ko bhi apna banakar rahte hain
Is matlabi duniya ke taur-tareekon par chalna seekho
Dushmano ko he nahin apno ko bhi parakhna seekho:)
 
Mohabbat mein koi majboori nahin hoti
Har baat poochne zaroori nahin hoti
bante hain bawafaai ke bahane kai
tabhi dilo ke dastan poori nahin hoti

Majboori to bachpan se leke maut tak
Har insaan ke saath judi hoti hain
Bas koi inhe bewafai ka naam deta hai
Aur kuch log inke kaaran samajh lete hain
 
Is matlabi duniya ke taur-tareekon par chalna seekho
Dushmano ko he nahin apno ko bhi parakhna seekho:)

Apne bhi dekh liye aur dushman bhi humne
Hum to jaise bhi hain bahut aachhe hain
Ye duniyan ke taur-tarike unko hi mubarak
Kam se kam hum dil ke to sachhe hain
 
Mohabbat mein koi majboori nahin hoti
Har baat poochne zaroori nahin hoti
bante hain bawafaai ke bahane kai
tabhi dilo ke dastan poori nahin hoti

Ha mohaabat mein nahin koi majboori hoti
Par dilo dimag ko nahin yeh chalne deti

Jab suada dilo ka ho hi gaya to raj na bache koi
Fir dil dimag ko kya ilm bewafaai kyon kare koi.
 
Apne bhi dekh liye aur dushman bhi humne
Hum to jaise bhi hain bahut aachhe hain
Ye duniyan ke taur-tarike unko hi mubarak
Kam se kam hum dil ke to sachhe hain

Yeh duniya nahin sachhe logo ki hoti
Yahan to vahi sukhi jisko mohabbat nahin hoti

Dil ko jakhm dene ki unki fitrat nahin hoti
Mohabbat karne walo ko dunia ki pehcahn nahin hoti
 
Jo dil mein hota hai wo jubaan pe apne aap aata hai
Koi yahan bahurupi chehra kab tak laga ke rakh sakta hai
Dhoke milna to zindagi ki reet hai jisse insaan kuch seekhta hai
Wo insaan kaamyaab hota hai jo har kathinayi se gujar jata hai

Woh sachhe hote hain jinki baat jubaan par aati hai
Warna log yahan umar bhar dhokha dete rahte hain
Koi to bas eek waada karta hai zindagi bhar ke liye
Aur kuch log to zindagi bhar waade karte rahte hain
 
Jo log baat baat mein waada karte hain
Waqt aane par wahi unse mukarte hain
chahat hai unke bhi dil mein bahut,par
jaane kyo duniya ki rasmo se darte hain
 
Jo log baat baat mein waada karte hain
Waqt aane par wahi unse mukarte hain
chahat hai unke bhi dil mein bahut,par
jaane kyo duniya ki rasmo se darte hain

Rasmo se darne waale mohabbat kya karenge
Zamane se na darna hi pyar ki pehchan hoti hai
Jab dil ki yeh mohabbat jubaan par aa jaayegi
Koi jaagega raat bhar jab saari duniya soti hai
 
Us ajnabi ke saath zindagi itne rangeen kyo hai
Uske saath beta har lamha itna haseen kyo hai
Yu to dil apna dhadka hai pehle bhi kai baar
par is baar mamla jaane itna sangeen kyo hai
 
Us ajnabi ke saath zindagi itne rangeen kyo hai
Uske saath beta har lamha itna haseen kyo hai
Yu to dil apna dhadka hai pehle bhi kai baar
par is baar mamla jaane itna sangeen kyo hai

Jo dil mein bas jaaye woh ajnabi to nahin hota
Saath gujaare hain jo woh lamhe yaad karnaa
Ye dil ke rishte hamehsa hi sangeen hote hain
Kabhi bichhud gaye to milne ki fariyaad karnaa
 
Rasmo se darne waale mohabbat kya karenge
Zamane se na darna hi pyar ki pehchan hoti hai

Rasmon aur reeti-reewaaj se chalta jahan hai
Inse aage jo nikla unki na rahti kadar hai
Jo todke jiye duniya ke sab bandhanon ko wo kuch aur nahin
Bas maa-baap ke ahsaanon tale palta hua ek bhojh hai

sorry guys for using such strong words...lekin ye baat sacchi hai jo bandhanon ko todkar jiye uski kadar aajkal ke mahaul ko dekhkar to sahi hai lekin fir bhi i'm still a lady of 19th century and i never like such people who all breaks the boundaries of customs, traditions, relations, etc. etc. ....mujhe ye upar ki do lines acchi nahin lagi issliye aisa reply diya...sorry if it hurt anybody :)

with regards
Neelam
 
Last edited:
Us ajnabi ke saath zindagi itne rangeen kyo hai
Uske saath beta har lamha itna haseen kyo hai
Yu to dil apna dhadka hai pehle bhi kai baar
par is baar mamla jaane itna sangeen kyo hai

Naa jaane ye ajnabi kaise ban jata sabse kareeb hai
Naa kabhi dekha na kabhi suna aur ye hi sabse hanseen hai
Har saans ke saath sabka dil dharakata hai
Lekin dekh kar uss ajnabi ko kuch ahsaas hi alag jhalakta hai
 
Grow up, Neelam !

Rasmon aur reeti-reewaaj se chalta jahan hai
Inse aage jo nikla unki na rahti kadar hai
Jo todke jiye duniya ke sab bandhanon ko wo kuch aur nahin
Bas maa-baap ke ahsaanon tale palta hua ek bhojh hai

sorry guys for using such strong words...lekin ye baat sacchi hai jo bandhanon ko todkar jiye uski kadar aajkal ke mahaul ko dekhkar to sahi hai lekin fir bhi i'm still a lady of 19th century and i never like such people who all breaks the boundaries of customs, traditions, relations, etc. etc. ....mujhe ye upar ki do lines acchi nahin lagi issliye aisa reply diya...sorry if it hurt anybody :)

with regards
Neelam

Neelam,

Rasmon ko todna sirf maa-baap ya rishton ko todna hi nahin hota. Plz try to expand your way of thinking. It's in larger prospective rather than just ignoring parent's decisions or so. Duniyan mein aur bhi bahut dakiyanoosi rasme hain. Zamaane mein bahut saare jhuthe aur nakli riti riwaaz hain.

Ok, you are a girl/lady of 19th century lekin log us se pahle se bhi pyar karte aaye hain aur karte rahenge jab tak ye duniyan rahegi. Sacha pyaar kabhi ye nahin kahta ki parents ko ignore karo aur unhe neecha dekhna pade. :)

And above all it's just poetry.:)
 
Humne chaha tha jise dil ke gehraai se
Woh chod chala hume bade chaturaai se
Saham gaya hai dil asa,uske bewafaai se
Darne lage hum khud apne he parchaai se
 
Humne chaha tha jise dil ke gehraai se
Woh chod chala hume bade chaturaai se
Saham gaya hai dil asa,uske bewafaai se
Darne lage hum khud apne he parchaai se

Ek pal bhi bhool nahin pata haseen dilbar ko
Woh to basaa hai ess dil ki gehraaiyon mein
Kaun kahta hai ki unse mulakaat nahin hoti
Milne aata hai woh raat ki tanhaaiyon mein
 
Peechhe mud kar bhi kisliye dekhe koi
Zindagi jeene ka apna yahi andaaz hai
Humne to kissa kab ka khatam kar diya
Fir bhi kahin se aa rahi koi awaaz hai
 
Peechhe mud kar bhi kisliye dekhe koi
Zindagi jeene ka apna yahi andaaz hai
Humne to kissa kab ka khatam kar diya
Fir bhi kahin se aa rahi koi awaaz hai

Us aawaz mein hai ye ek khaas baat
Guzare paloon ko woh laaye apne saath
aapne to kissa kar diya tha khatam
fis kasie achanak ubhar aaye jasbaat
 
Us aawaz mein hai ye ek khaas baat
Guzare paloon ko woh laaye apne saath
aapne to kissa kar diya tha khatam
fis kasie achanak ubhar aaye jasbaat

Ab ye awaajen bhi humen nahin rok sakti
Woh yaadon ke pal ab bhi sazaa dete hain
Jis zindagi ko hum peeche chhod aaye kahin
Woh lahme ab humen kyon sadaa dete hain
 
Ab ye awaajen bhi humen nahin rok sakti
Woh yaadon ke pal ab bhi sazaa dete hain
Jis zindagi ko hum peeche chhod aaye kahin
Woh lahme ab humen kyon sadaa dete hain
In poorani yadoon ka he to sahara hai
guzara waqt he to saathi hamara hai
nahin ab koi umeed is zingadi se
sachha pyaar kahan milta doobara hai
 
In poorani yadoon ka he to sahara hai
guzara waqt he to saathi hamara hai
nahin ab koi umeed is zingadi se
sachha pyaar kahan milta doobara hai

Kab tak humen woh beete zammane yaad aayenge
Kisliye ab woh dard bhare afsaane yaad aaynege
Jo insaan bhul gaya humko bas ek kahaani ki tarah
Sochenge to humen bas maikhaane yaad aayenge
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top