Nice !
Gairon se to woh waise bhi koi umeed nahin karte
Jinhe apno ne bhi kabhi seene se nahin lagaaya ||
Wada kar baithe the muflisi mein kabhi na rone ka
Dil zar-zar ho gaya magar ek ashq nahin bahaaya ||
Khwab kya ayenge unhe jo soye nahin sadiyon se
Shayad unhe kisi ne hamara haal nahin dhikhaya ||
Ye sochkar ki kabhi chandni utregi mere aangan mein
Bahut din ho gaye humne koi chiraag nahin jalaaya ||
Kai baar dil mein chahaat jagi unse mulakaat ki lekin
Khushiyon ne "Vijay" ko apna pata nahin bataaya ||
ashqon se haal-e-dil bayaan hota nahi
har toota dil aakhir yu rota nahi
aate hain unko khwaab kisi gair ke
yahan koi unke yaad mein sota nahin