Jaisa maine pehle bhi kaha hai ki Rigved ki kriti 1900 BC se pehlu hui hai. Kitna pehle hui hai yeh khaina mushkil hai. Dikkat yeh hai ki Aryon se koi puratatvik samagri nahi judi hai. Isi kaaran inka ghar kahan tha yeh abhi tak nirdharit nahin ho paya hai. Puratatvik samagri ke aabhav mein to kitabon ko hi samman dena padega.Dost,
Aap ke adhyana ke anusar Rigveda ki Rachana kab hui?
Kya aapka manana hai ki Rigveda ki rachana se pahle koi Aryans ka ghar baar nahin tha
aur Rigveda ki Rachna ke saath hi Arya achanak pragat ho gaye.
Baat itani sadharan nahin hai, literary sources ke atirikat bhi aneka suchana srot hote hain,
Jinka itihas lekhan me mahatavpuran sarot ke rup mein prayog karke itihas ki sanrachana kee jaati hai.
Mere vichar se Aryans ko swadeshi ya videshi mool ke sidha karane ke liya katibadh log Vedic Aryans ka yah kathan Bhool gaye lagate hain ki,
VASHUDHEVA KUTUMBAKAM;
Agar hum prvagraha chhod kar khule man se etihasik samgri ka mulyankan karne ke liya
tayar tayar nahin hain to kabhi bhi is prashn ka uttar nahin dundh sakte.
Ekmattar samadhan yahi ho sakta hai ki pruratatvik samgri aur literary traditions ka
tulanatamak prikshan kiya jawe aur jo tathya ubhar kar aate hain unhe mana jawe.
Kya hum aisa manane ke liye tayar hai, Pahale is baat ka faisala karana hoga !!
[Koi ek srota ko lekar sarvamanaya niskrash nikalane ki hathdharmita humein chhodani padegi]
Dhanyavaad
Last edited: