mca_malik said:vijay
itna talent or collection
fabulous or i can say amazing .
can
Monika,
Thanks a lot for the appreciation.
mca_malik said:vijay
itna talent or collection
fabulous or i can say amazing .
can
nikitadhaiya said:Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishq karne wale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
rana1979 said:Ankhein wo khole to paaye mujhe...,
Har dam har pal chaahe muze...,
Bas wo hi pehchaan hai meri...,
Milna unse kismat hai meri..!!!
vijay said:Pyas woh dil ki kabhi bujhane kabhi aaya hi nahin
Kaisa humdam hai woh jisne kuchh jataya bhi nahin
Ye kaisa pyar hai unka aur kaisi bekhudi
Jisne mujhe chaha aur mujhe bataya bhi nahin
choudharyneelam said:hey dude, you are really great....only few have this good talent...just carry on....very interesting!!!!!!
sunitahooda said:Vijay this one is simply great and i am kinda motivated to use my creativity and add few words, i am scratching my head and will soon my contribution will show up here....![]()
vijay said:Pyas woh dil ki kabhi bujhane kabhi aaya hi nahin
Kaisa humdam hai woh jisne kuchh jataya bhi nahin
Ye kaisa pyar hai unka aur kaisi bekhudi
Jisne mujhe chaha aur mujhe bataya bhi nahin
devdahiya said:Wo aaye thhe pyaas bujhhane apni, tumhari nahin
Wo thhe sauddagar nirale,eitbaari nahin
Uddtte panchhi ka thhikana hi kya
Unko chaddhi thhi masti, khummari nahin.
vijay said:Doobte taron ne kya kya rang dikhaye humen
Kuchh purane din rah rah kar yaad aaye humen
Hum yeh kya jane ki kyon hamara sukoon jata raha
Tu jo ek din pas aa baithe to samjhaye humen
devdahiya said:Yaad karne lagge to aankh bhar aai
Aaj ashkkon ko dekh kar mohobbat sharmai
Humara jahaan lutta to koi baat nahin
Issi bahane unki yaad to aai.
vijay said:Woh hum par meharbaan rahe char din
Unhone mohabbat ki humse char din
Seene main dard ban kar bas gaye woh
Hum bhi unke talabgaar rahe char din
devdahiya said:Dard aissa de gaye,affssana ban gaya
Harr lafj meri ruh ka deewana ban gaya
Wo kar gaye shararat iss dil ke tukdde se aissi
Harr ek din paimmana bann gaya.
vijay said:Thi jo apne dil ki khabaren mere dil se mil rahi hai
Main jo tumse rooth jaon to payaam tak na pahoonche
Main najar se pee raha tha ki dil ne ye bad dua di
Tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pahoonche
devdahiya said:Hum to jee hi rahe thhe badd-duwaon ke sangg,ek aur sahi
Kiss ko dhyan rehta hei ke kissne kab aur kya kahi
Abb humein na rokk payega jinne se koi
marte-2 har roz jinddagi rotti rahi.
We use essential cookies to make this site work, and optional cookies to enhance your experience.