Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishq karne wale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
 
nikitadhaiya said:
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishq karne wale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.

Inkaar karenge woh kab tak in laboon se
Dard-e-dil ka dushman har chehra nahin hota
Chahat kabhi nahi chhupegi esse lakh chhupaao
Phool ki Khushboo pe kisi ka bhi pehra nahi hota

-------------------------------------------------------------------------

Mere najdeek se gujar gaye aur mera haal bhi na poochha
Kaise maan loon ki woh door jaakar bahut roye
 
Last edited by a moderator:
Mere Kismat !!!

Ankhein wo khole to paaye mujhe...,
Har dam har pal chaahe muze...,
Bas wo hi pehchaan hai meri...,
Milna unse kismat hai meri..!!!
 
rana1979 said:
Ankhein wo khole to paaye mujhe...,
Har dam har pal chaahe muze...,
Bas wo hi pehchaan hai meri...,
Milna unse kismat hai meri..!!!

Pyas woh dil ki kabhi bujhane kabhi aaya hi nahin
Kaisa humdam hai woh jisne kuchh jataya bhi nahin
Ye kaisa pyar hai unka aur kaisi bekhudi
Jisne mujhe chaha aur mujhe bataya bhi nahin
 
Simply Great

Vijay this one is simply great and i am kinda motivated to use my creativity and add few words, i am scratching my head and will soon my contribution will show up here....:)

vijay said:
Pyas woh dil ki kabhi bujhane kabhi aaya hi nahin
Kaisa humdam hai woh jisne kuchh jataya bhi nahin
Ye kaisa pyar hai unka aur kaisi bekhudi
Jisne mujhe chaha aur mujhe bataya bhi nahin
 
choudharyneelam said:
hey dude, you are really great....only few have this good talent...just carry on....very interesting!!!!!!

Thanks for the appreciation Neelam.

-------------------------------------------------------------------------

sunitahooda said:
Vijay this one is simply great and i am kinda motivated to use my creativity and add few words, i am scratching my head and will soon my contribution will show up here....:)

Thanks Sunita, I am waiting for your contribution here.
 
Last edited by a moderator:
vijay said:
Pyas woh dil ki kabhi bujhane kabhi aaya hi nahin
Kaisa humdam hai woh jisne kuchh jataya bhi nahin
Ye kaisa pyar hai unka aur kaisi bekhudi
Jisne mujhe chaha aur mujhe bataya bhi nahin

Wo aaye thhe pyaas bujhhane apni, tumhari nahin
Wo thhe sauddagar nirale,eitbaari nahin
Uddtte panchhi ka thhikana hi kya
Unko chaddhi thhi masti, khummari nahin.
 
devdahiya said:
Wo aaye thhe pyaas bujhhane apni, tumhari nahin
Wo thhe sauddagar nirale,eitbaari nahin
Uddtte panchhi ka thhikana hi kya
Unko chaddhi thhi masti, khummari nahin.

Kuchh palon ki mohabbat hai do ghadi jee le hum
Nafaraton ke saaye main umar kya bitana hai
Aao apne jakhmon par hi jashn mana daaale
Dard-e-gum pe ro lena to chalan purana hai
 
Hum shikve bhi karte thhe to darte thhe
Aur wo dillaggi sarre aam karte thhe
Ek waqt wo bhi aaya, ke wo ye bhool gaye
Ke kabhi hum unpe dilo-jaan se marte thhe.
 
Doobte taron ne kya kya rang dikhaye humen
Kuchh purane din rah rah kar yaad aaye humen
Hum yeh kya jane ki kyon hamara sukoon jata raha
Tu jo ek din pas aa baithe to samjhaye humen
 
vijay said:
Doobte taron ne kya kya rang dikhaye humen
Kuchh purane din rah rah kar yaad aaye humen
Hum yeh kya jane ki kyon hamara sukoon jata raha
Tu jo ek din pas aa baithe to samjhaye humen

Yaad karne lagge to aankh bhar aai
Aaj ashkkon ko dekh kar mohobbat sharmai
Humara jahaan lutta to koi baat nahin
Issi bahane unki yaad to aai.
 
devdahiya said:
Yaad karne lagge to aankh bhar aai
Aaj ashkkon ko dekh kar mohobbat sharmai
Humara jahaan lutta to koi baat nahin
Issi bahane unki yaad to aai.

Woh hum par meharbaan rahe char din
Unhone mohabbat ki humse char din
Seene main dard ban kar bas gaye woh
Hum bhi unke talabgaar rahe char din
 
vijay said:
Woh hum par meharbaan rahe char din
Unhone mohabbat ki humse char din
Seene main dard ban kar bas gaye woh
Hum bhi unke talabgaar rahe char din

Dard aissa de gaye,affssana ban gaya
Harr lafj meri ruh ka deewana ban gaya
Wo kar gaye shararat iss dil ke tukdde se aissi
Harr ek din paimmana bann gaya.
 
devdahiya said:
Dard aissa de gaye,affssana ban gaya
Harr lafj meri ruh ka deewana ban gaya
Wo kar gaye shararat iss dil ke tukdde se aissi
Harr ek din paimmana bann gaya.

Thi jo apne dil ki khabaren mere dil se mil rahi hai
Main jo tumse rooth jaon to payaam tak na pahoonche
Main najar se pee raha tha ki dil ne ye bad dua di
Tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pahoonche
 
Hum to jee hi rahe thhe badd-duwaon ke sangg,ek aur sahi
Kiss ko dhyan rehta hei ke kissne kab aur kya kahi
Abb humein na rokk payega jinne se koi
marte-2 har roz jinddagi rotti rahi.
 
devdahiya said:
Hum to jee hi rahe thhe badd-duwaon ke sangg,ek aur sahi
Kiss ko dhyan rehta hei ke kissne kab aur kya kahi
Abb humein na rokk payega jinne se koi
marte-2 har roz jinddagi rotti rahi.

Dil ke jakham aur ye bad duwaae lekin phie bhi
Apno se apna haal chhupate rahe hain hum
Iski to daad to dega hi hamara koi raqeeb
Kyuonki phir bhi sar utha ke jeete rahe hain hum
 
phir wahi shaam, phir wahe mayhkhaane,
bhare bhare, chalakte chalakte paimaane,
en dilwaaloon ke kisse hain bade poorane,
ghar ghar mein mashhoor inke afsaane,
mehboob se milne ke inse pass hain lakhoon bahane,
har shama par mandrate parwaane,
inke fitrat se kahan hain ab log anjaane,
saare jamane ke liye ye hain 'pagal deewane',
ye tadap, ye kashish, ye uljhan, ye josh, ye junoon, ye chahat,uff ye mohabbat,
kyo ruke koi,zindajaani mein ye jawani ke din hain sabse suhane
.
 
Hey Vijay & all the contributers,
very good stuff, very much admirable,
I'm also excited to add some gud sher-o-shayri by my side,
but in some spare time :)

keep on contributing some more...

regards
Kiran
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top