Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
devdahiya said:
Wo kya kreingge yaad gujre jammane ko
Unhein to shauk hei sab kuchh bhool jane ka
Ye to hum hein ki lagga baithhe dil apna
Ye jante huwe bhi ki ke unhein nahin hei shokk kissi ko apnane ka.

Badha ke pyas meri usne haath chhod diya
Woh kar raha tha muhabbat bhi dillagi ki tarah
Kabhi bhi na socha tha ye humne uske liye
Karega sitam humpe woh bhi har kisi ki tarah
 
vijay said:
Badha ke pyas meri usne haath chhod diya
Woh kar raha tha muhabbat bhi dillagi ki tarah
Kabhi bhi na socha tha ye humne uske liye
Karega sitam humpe woh bhi har kisi ki tarah

Kyunki pyar ko hamne paak samajh liya
Aur dil de baithhe ek pal mei
Ye sohne ki hamne na ki jurratt
Ke machhali to rehti hei hamesha jall mei
 
devdahiya said:
Kyunki pyar ko hamne paak samajh liya
Aur dil de baithhe ek pal mei
Ye sohne ki hamne na ki jurratt
Ke machhali to rehti hei hamesha jall mei

Na meri nighahon se sagar chhalakte
Jo tauba na karta pilane se koi
Sataye hue dil sataye na jaate
Agar baaz aata satane se koi
 
vijay said:
Na meri nighahon se sagar chhalakte
Jo tauba na karta pilane se koi
Sataye hue dil sataye na jaate
Agar baaz aata satane se koi

Sattane se jinko milti khussi ho
To koi kissi ko kaisse bataye
Iradda tha unka satana hamesha
pyar ka kaydda koi kaisse padhhaye.
 
devdahiya said:
Sattane se jinko milti khussi ho
To koi kissi ko kaisse bataye
Iradda tha unka satana hamesha
pyar ka kaydda koi kaisse padhhaye.

Dard jab humse sawalat karte rahe
Hum darkhato ke sang baat karte rahe
Bewajah ro diye bewajah hans diye
Raat din yeh khurafat karte rahe
 
vijay said:
Dard jab humse sawalat karte rahe
Hum darkhato ke sang baat karte rahe
Bewajah ro diye bewajah hans diye
Raat din yeh khurafat karte rahe

Jab-2 insaan ko diya hoga dhoka kissi dile-yaar ne
Uppar wale ko bhi diya hoga dukhh iss sansar nei
Bikhre hongge aanssu hazaron chaman mei
Kya nahin mehsoos kiya hoga ye dard harr bahar nei?

-------------------------------------------------------------------

Dono jahan teri muhabbat main haar ke
Woh ja raha hai kaun shabbe-gum gujaar ke
Veeran hai maikaida aur ye shahar udaas hai
Tum kya gaye ki ruth gaye din bahar ke
 
Last edited by a moderator:
main aaya thaare wafa muhabbat ke hawan main khoon ki haandi ar haadi....haha

vijay se inspire hokar likhne ki kohsish kar raha hun..........mera saath dena aashiq mizaz vijay..............

tumhaari bewafai se dil me jaisi chubhi hai suiiii

dard bahut ho raha hai uii uii uiii......................hahahaha

aadaab............aadaabb...........lyoo thaare hawan main baga di khoon ki baroli ar haadiii............hahahahaha:D:D:D
 
ratheetheraist said:

Rathi, that's what i can expect from you only . What else you can do ?

It needs a genius mind to input something constructive.
 
ooooooo bhupadddd

vijay said:
Rathi, that's what i can expect from you only . What else you can do ?

It needs a genius mind to input something constructive.

aarey oo tutte hodd aashiq...........issa laage sai janu aaaj taain tera ek bhi offer kaamiyaab na rehya jis chori te tanne maaraa.............ar tu tattu ki dhaal rowe sai ibb un jawani ke dinaa nee..............hahahahahaha:D:D

ar tanne ibbe te mera 2% roop dekhya sai ................arr ye betuki bbaten likhne ke liye genius ki jarrorat hoti to saare iitians ye e likh likh ronde na rehnde saara din teri dhaal...............hahahahaha.................:D:D:p

arr main te thaare hawan ne rokkan aaya tha......arr manne haadi baga di .......khon bakher diyaa........ib tera yo hawan grl frnd paan ka kadde bhi safal na howe..............hahahakillkiii..........hahaha....killkiiiiiii:D:D

AAPAN TE CHAALE APNI POTLI THAA KE ..................DEKHAAN AUR KIT HAWAN CHAAL RYA SAII..............hahahahah:D:D:D
 
Ha..ha..ha...Bhabooti de di dyakki............Vikas nyu ke rail rukkyaa krein bhai...ya te nyuwein challein jagi...chehe kilki marro arr chehe adhhkaar lyo. Ha...ha...ha..ha...Bhaio deemaag te chehiye jaroor.....Wa nahi sunni sei......AKKAL KE BINA UUNTT UBHHANNE HANDDEIN? Kheir appna massalla bhi chhoddein jao.....Thoddi Tarri ki bhi jaroorat reh sei Dal nei. Ha..ha..ha.

Ishaq mein phanchhar ghanni,kuchh teri kuchh meri
Unn phhanchraan ke karran manne ya jaan dobhal mei geri
Mei jib teri gaddarri nei pacha gya
Te batta ke darrawei manne chhotti-motti hera-feri.

Come on Vijay....bang on regardless!
 
Kitne yudh ladne abhi baki hai saanjh uttarti aati hai
Dhalte hue suraj dekh ghayal peeth nahi meri chhati hai
Mahanagar ka shbhya jagat, yah jangal ajab nirala hai
Dhan satta ke bal par aaj bakari bhi shero ko khati hai
 
Last edited:

NAHI Waqt badalte derr lage ye maya ajab nirali hei
Kuchh mamta se bhare huwe aur kissi ka harday khali hei
Peechhe wala gujjar gaya,abb aggle pal ki barri hei
Likhte-2 bhool gaya ke,Waqt gujjarna jarri hei.
 
Apne kadmo pe bharosa karo ae humdam
Sath chalne ko jamane ki jarurat kya hai
Zindagi apne, kadam hai apne aur manzil bhi apni
Raah chalne ko bahane ki jarurat kya hai
 
vijay said:
Apne kadmo pe bharosa karo ae humdam
Sath chalne ko jamane ki jarurat kya hai
Zindagi apne, kadam hai apne aur manzil bhi apni
Raah chalne ko bahane ki jarurat kya hai

Kaddam behke ek baar to sambhal na paye
Bewaffai humne ki nahin firr bhi bewaffa kehlaye
Jammane ke suur mei suur hum na mila paye
Issliye hum duniya ke rang mei na rang paye.
 
devdahiya said:
Kaddam behke ek baar to sambhal na paye
Bewaffai humne ki nahin firr bhi bewaffa kehlaye
Jammane ke suur mei suur hum na mila paye
Issliye hum duniya ke rang mei na rang paye.

Hum tere pyar main ae yaar kahan tak pahoonche
Jahan ye bhool gaye hum ki kahan tak pahoonche
Issi umeed pe kar lee hai aaj band juban apni
kal ko shayad meri awaaz jahan tak pahoonche
 
chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega

Tum rooh mein shamil ho, Ragon mein rawa ho
Magar mere hathon ki lakeeron mein kahan ho ?
 
Last edited by a moderator:
rana1979 said:
chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega

Good one !

Ye samandar mein kahan himmat jo in kishtiyon ko dubayega
Har machalti mauz ko hai maloom ki kya manzil hamari hai
Tumhare liye hi ab tak raah main khada hoon mere sathi
Jahan mil jayenge hum aur tum wahi manzil hamari hai

---------------------------------------------------------------------

rana1979 said:
Tum rooh mein shamil ho, Ragon mein rawa ho
Magar mere hathon ki lakeeron mein kahan ho ?

Apne haathon ki lakeeron main basa le mijhko
Main hoon tera tu apna naseeb bana le mujhko
Mujhse tu poochhne aaya hai wafa ke mayne
Ye teri sadadili kahin maar na daale mujhko
 
Last edited by a moderator:
main itnaye bade shaher main tanha hoo kiss tarhan...
log tu sahra main bhi aashna bana latey hain

-------------------------------------------------------------------------

Har shama bujhi rafta rafta,Har khwaab luta dheeray dheeray
Sheesha na sahi pathar bhi na tha dil,Toot gaya dheeray dheeray

Barson main marasim bantay hain,Lamhon main bhala kia tootainge
Tu mujhse bicharna chahye toh,Deewar utha dheeray dheeray

Ehsaas hua barbaadi ka jab,Saray ghar main dhool urri
Aaye hai hamaray ghar main,Pathjhar ki hawa dheeray dheeray

Woh haath paraaye ho bhi gaye,Ab duur ka rishta hai "Qaiser"
Aati hai meri tanhayee main,Khushboo-e-Hina dheeray dheeray
 
Last edited by a moderator:
rana1979 said:
main itnaye bade shaher main tanha hoo kiss tarhan...
log tu sahra main bhi aashna bana latey hain

Kiya hai pyar jise hamne zindagi ki tarah
Woh aashna bhi mila humse ajnabi ki tarah
Badha ke pyaas meri usne haath chhod diya
Woh kar raha tha mohabbat bhi dillagi ki tarah

-------------------------------------------------------------------------

rana1979 said:
Har shama bujhi rafta rafta,Har khwaab luta dheeray dheeray
Sheesha na sahi pathar bhi na tha dil,Toot gaya dheeray dheeray

Barson main marasim bantay hain,Lamhon main bhala kia tootainge
Tu mujhse bicharna chahye toh,Deewar utha dheeray dheeray

Ehsaas hua barbaadi ka jab,Saray ghar main dhool urri
Aaye hai hamaray ghar main,Pathjhar ki hawa dheeray dheeray

Woh haath paraaye ho bhi gaye,Ab duur ka rishta hai "Qaiser"
Aati hai meri tanhayee main,Khushboo-e-Hina dheeray dheeray

Dil ki har aarzoo nakaam hui jati hai
Zindagi dard ka paigaam hui jaati hai

Kaise mumkin hai sajaa pyar ki na mile mijhe
Har safai meri jab naakam hui jaati hai

Jikar aate hi tera dekhte hain sab meri taraf
Tu to ab meri humnaam hi hui jaati hai

Zindagi hath main mere thi zahar ka pyala
Tere haathon main magar jaam hui jaati hai

Hum dubo aaye hain khud apni hi kishti
Tu to unhi bekaar main badnaam hui jaati hai

----------------------------------------------------------------------------

rana1979 said:
Har shama bujhi rafta rafta,Har khwaab luta dheeray dheeray
Sheesha na sahi pathar bhi na tha dil,Toot gaya dheeray dheeray

Barson main marasim bantay hain,Lamhon main bhala kia tootainge
Tu mujhse bicharna chahye toh,Deewar utha dheeray dheeray

Ehsaas hua barbaadi ka jab,Saray ghar main dhool urri
Aaye hai hamaray ghar main,Pathjhar ki hawa dheeray dheeray

Woh haath paraaye ho bhi gaye,Ab duur ka rishta hai "Qaiser"
Aati hai meri tanhayee main,Khushboo-e-Hina dheeray dheeray

Great ! The gazal is so nice so i am commenting again !

Ziyunga jab talak tere fasane yaad aayenge
Kasak ban kar mohabbat ke taraane yaad ayenge

Mujhe to zindagi bhar teri yaadon pe jeena hai
Tujhe bhi kya kabhi gujre zamane yaad aayenge

Kahin gunjegi shahnai to dard lega angarai
Hazaaron gum tere bahane yaad aayenge
 
Last edited by a moderator:
Status
Not open for further replies.
Back
Top